samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
Rau: 1
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:19 days, 10 hours and 36 minutes.
always smile
Posts: 15216 Member Since: Aug 2004
|
chand uljhe hue be matlab sawaalo ki trah zindagi aaj pareshan hai khayaalo ki trah
khawaab ban ke meri aankho me samane wale aa bhi ja subah musarrat ke ujalo ki trah
haalaat mere pao ki zanjeer ban gaye shart-e-wafa kisi se nibhau to kis trah
rafaqaten kabhi zanjeer pa nahi hoti na mil sako to bichad jao dosto ki trah
jane ahbab mujhe se gureza kyun hai main to mukhlis tha kisi man ki duaon ki trah
zindagi ab to humaari khata bakhs de dost milne lage hai ab mohsino ki trah
meri baaton pe hasti hai dunya abhi main suna jauga phir faislo ki trah
tujhe bhi wakt ki choukhat pe neend a hi gayi palat ke tu bhi na aaya meri khushi ki trah
tujhe to main ne badi shiddat se chaha tha ye kya ki tu bhi mujhe chod chala sab ki trah
dil me kya hum rooh me bhi utre hote tu ne chaha hi nahi chahne walo ki trah
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #1 on: December 16, 2004, 02:58:29 PM » |
|
Wah!!! Samnoj!!!! Good one!!!!!
Yoon na mil mujh se, khafa ho jaise Saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
Log yoon dekh kar hans dete hain Tu mujhe bhool gayaa ho jaise
Maut bhi aayee to is naaz ke saath Mujh pe ehsaan kiyaa ho jaise
Aise anjaan bane baithe ho Tum ko kuchh bhi na pata ho jaise
Hichkiyaan raat ko aati hi rahin Tu ne phir yaad kiya ho jaise
Zindagi beet rahi hai ae dost Ek bejurm sazaa ho jaise!! (NM)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Soheb_Khan
Guest
|
|
«Reply #2 on: December 16, 2004, 03:48:35 PM » |
|
gud both of u
|
|
|
Logged
|
|
|
|
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
Rau: 1
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:19 days, 10 hours and 36 minutes.
always smile
Posts: 15216 Member Since: Aug 2004
|
|
«Reply #3 on: December 17, 2004, 02:19:17 PM » |
|
thanx talat n soheb good talat
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #4 on: December 17, 2004, 02:22:23 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nishita
Guest
|
|
«Reply #5 on: December 17, 2004, 05:52:24 PM » |
|
tujhe bhi wakt ki choukhat pe neend a hi gayi palat ke tu bhi na aaya meri khushi ki trah tujhe to main ne badi shiddat se chaha tha ye kya ki tu bhi mujhe chod chala sab ki trah waah sam ye lines sahi tha..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Meena
Guest
|
|
«Reply #6 on: December 17, 2004, 08:03:26 PM » |
|
"tujhe to main ne badi shiddat se chaha tha ye kya ki tu bhi mujhe chod chala sab ki trah
dil me kya hum rooh me bhi utre hote tu ne chaha hi nahi chahne walo ki trah "
beautiful lines!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #7 on: December 18, 2004, 02:22:42 PM » |
|
tune chaha hi nahin chahne waalon ki tarah hum to mitne ko tayyar the mehendi ki tarah!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
Rau: 1
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:19 days, 10 hours and 36 minutes.
always smile
Posts: 15216 Member Since: Aug 2004
|
|
«Reply #8 on: December 18, 2004, 02:26:19 PM » |
|
thanx nishi n meena good talat
hum ahale-e-intezaar ki chaukhat pe kaan the tu aaya aur chala gaya ek aandhi ki trah
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #9 on: December 18, 2004, 02:30:23 PM » |
|
jaana hi tha humko ae mere humnavaz tu ghair ke saath reh mujhe bhool gaya tha
|
|
|
Logged
|
|
|
|
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
Rau: 1
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:19 days, 10 hours and 36 minutes.
always smile
Posts: 15216 Member Since: Aug 2004
|
|
«Reply #10 on: December 18, 2004, 02:33:13 PM » |
|
haalaat mere paau ki zanjeer ban gaye shart-e-wfa kisi se nibhau to kis trah
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #11 on: December 18, 2004, 02:34:36 PM » |
|
haalat ke aage tu majboor ho gaya waade tere main bhulaoon kis tarah!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
Rau: 1
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:19 days, 10 hours and 36 minutes.
always smile
Posts: 15216 Member Since: Aug 2004
|
|
«Reply #12 on: December 20, 2004, 02:35:58 PM » |
|
halaat ke zakhmo se kabhi 'sam' nahi derta toote jo tara to kabhi zameen per nahi girta girte hai badi shouk se samunder me darya lekin kisi darya me kabhi samunder nahi girta
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #13 on: December 20, 2004, 03:35:26 PM » |
|
Good one!!!
Maana ki haalat se nahin tu darta Par mera muqaddar bhi hai taare ki tarah toot kar zameen par nahin girta par toot jata hai, asmaan pe nahin chamakta!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Meena
Guest
|
|
«Reply #14 on: December 20, 2004, 04:58:28 PM » |
|
very gud talat and samnoj!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|