<>*Udaas Kyun Hun*<>

by *KasaK*....Dil Ki on June 18, 2012, 06:15:07 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1595 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
Reply with quote
<>*Udaas Kyun Hun*<>


Ajeeb  uljhan me aaj  dil hai
Tumhe bhulakar udaas kyun hun
Tujhe na chahna ye zid thi meri
Tujhe ganwakar udaas kyun hun

Ajeeb tewar dekhe hain tere
Bahot thokar  hai tune khaai
Magar aaj jab tera sath  chhuta
Main  yun bad hawaas kyun hun
Ajeeb  uljhan me  aaj  dil hai
Tumhe bhulakar udaas kyun hun
   

Tujhe hi samjha tujhe hi jana
Tujhe hi dil ne hai apna mana
Yakin hai mujhko na ishq tumse
Fir aaj main yun beaas kyun hun
Tujhe na chahna ye zid thi meri
Tujhe ganwakar udaas kyun hun...!!


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AAKHAir KYun (KYUn)(KYun(KYUn) by muneeb in Shayri-E-Dard
udaas dil by budhu_1 in Shayri-E-Dard
udaas udaas sa manzar dikhai deta hai by nadanashiq in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dil udaas hai.. by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
-----/// Main udaas kyun hoon /// ----- Hriday by ~Hriday~ in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: June 18, 2012, 06:23:15 AM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 19 hours and 41 minutes.
Posts: 18617
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #2 on: June 18, 2012, 06:32:16 AM »
Reply with quote
boht painful likha kasak ji
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #3 on: June 18, 2012, 10:09:07 AM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
shukriya saini ji... bahot dino baad kuch likha shukra ai aapne pasand kiya.....
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #4 on: June 18, 2012, 10:09:35 AM »
Reply with quote
boht painful likha kasak ji

thnx saahil... par jo feel kiya wahi likha...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: June 18, 2012, 04:19:43 PM »
Reply with quote
<>*Udaas Kyun Hun*<>


Ajeeb  uljhan me aaj  dil hai
Tumhe bhulakar udaas kyun hun
Tujhe na chahna ye zid thi meri
Tujhe ganwakar udaas kyun hun

Ajeeb tewar dekhe hain tere
Bahot thokar  hai tune khaai
Magar aaj jab tera sath  chhuta
Main  yun bad hawaas kyun hun
Ajeeb  uljhan me  aaj  dil hai
Tumhe bhulakar udaas kyun hun
   

Tujhe hi samjha tujhe hi jana
Tujhe hi dil ne hai apna mana
Yakin hai mujhko na ishq tumse
Fir aaj main yun beaas kyun hun
Tujhe na chahna ye zid thi meri
Tujhe ganwakar udaas kyun hun...!!





Awesome.....Bahut Bahut Khooob..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Shukar Anuji Ki Kalam Chali To Varna
Hum To Soch rahe The Ke Anuji
Ab Sirf Padhne Hi Aayenge..
Thankyou Sooooooooooooo Much Ji Kuch likhne Ke Liye..
Chaliye Kuch Hum Bhi Haal-e-dil Likh lete Hai..


Main Kabhi Tujhe Khona Nahi Chaahta Tha..!!
Woh Baat Aur Hai Tu Mera Hona Nahi Chaahta Tha

Maine Kabhi Nahi Chaaha Ke Teri AankheiN Nam Ho
Main Apni Bhi PalkoN Ko Bhigona Nahi Chaahta Tha

Humesha Tere Hi Haq MeiN Faisle Ho Yehi Aarzoo Hai
Toote Dil Ke TukdoN Ko Sanjona Nahi Chaahta Tha

Tera Mujhpar Har Ilzam,Mere Sar AankhoN Ke Sadke
Khokar Tujhe Main Umar Bhar Rona Nahi chaahta Tha

Har Waqt Har Pehar Tere Liye DuayeN Maangta Hai "Khwaish"
Tere Siwa Main Kisi Aur Ka Bhi Hona Nahi Chaahta Tha....
Logged
mkv
Guest
«Reply #6 on: June 18, 2012, 04:27:25 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Kasak jee
Sach me bahut accha likha hai..kuch naya padhne ko dil taras gaya tha..likhtee rahe..
Tujhe gawankar udaas kyo hun. Applause Applause
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: June 18, 2012, 04:31:07 PM »
Reply with quote


Awesome.....Bahut Bahut Khooob..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Shukar Anuji Ki Kalam Chali To Varna
Hum To Soch rahe The Ke Anuji
Ab Sirf Padhne Hi Aayenge..
Thankyou Sooooooooooooo Much Ji Kuch likhne Ke Liye..
Chaliye Kuch Hum Bhi Haal-e-dil Likh lete Hai..


Main Kabhi Tujhe Khona Nahi Chaahta Tha..!!
Woh Baat Aur Hai Tu Mera Hona Nahi Chaahta Tha

Maine Kabhi Nahi Chaaha Ke Teri AankheiN Nam Ho
Main Apni Bhi PalkoN Ko Bhi Bhigona Nahi Chaahta Tha

Humesha Tere Hi Haq MeiN Faisle Ho Yehi Aarzoo Hai
Toote Dil Ke TukdoN Ko Sanjona Nahi Chaahta Tha

Tera Mujhpar Har Ilzam,Mere Sar AankhoN Ke Sadke
Khokar Tujhe Main Umar Bhar Nahi Rona Nahi chaahta Tha

Har Waqt Har Pehar Tere Liye DuayeN Maangta Hai "Khwaish"
Tere Siwa Main Kisi Aur Ka Bhi Hona Nahi Chaahta Tha....

Sirf kasak jee ki tareef se kaam nahi banega khwaish jee..
Sach me aapne jo rang bhare hai uska javaab nahi..
Last ka sher..Bhai VAAAAAAAAAAH...Sher of the day.
Laaajavaab...
Likhte rahiye.

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #8 on: June 18, 2012, 05:44:52 PM »
Reply with quote


Awesome.....Bahut Bahut Khooob..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Shukar Anuji Ki Kalam Chali To Varna
Hum To Soch rahe The Ke Anuji
Ab Sirf Padhne Hi Aayenge..
Thankyou Sooooooooooooo Much Ji Kuch likhne Ke Liye..
Chaliye Kuch Hum Bhi Haal-e-dil Likh lete Hai..


Main Kabhi Tujhe Khona Nahi Chaahta Tha..!!
Woh Baat Aur Hai Tu Mera Hona Nahi Chaahta Tha

Maine Kabhi Nahi Chaaha Ke Teri AankheiN Nam Ho
Main Apni Bhi PalkoN Ko Bhi Bhigona Nahi Chaahta Tha

Humesha Tere Hi Haq MeiN Faisle Ho Yehi Aarzoo Hai
Toote Dil Ke TukdoN Ko Sanjona Nahi Chaahta Tha

Tera Mujhpar Har Ilzam,Mere Sar AankhoN Ke Sadke
Khokar Tujhe Main Umar Bhar Nahi Rona Nahi chaahta Tha

Har Waqt Har Pehar Tere Liye DuayeN Maangta Hai "Khwaish"
Tere Siwa Main Kisi Aur Ka Bhi Hona Nahi Chaahta Tha....

love4 love4 love4 Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower itne din baad likhe ka ye gift milega socha bhi nahin tha khwaish ji..... itna khubsurat likha hai aapne ke aankhein num ho aai padhte hue.... wo har pal ki yaad bas simat gai dil me...... thnxxxxxxxxxxx alot for this lovely lovely post..ise main hamesha sambhalkar rakhungi apne pas......
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #9 on: June 18, 2012, 05:45:57 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Kasak jee
Sach me bahut accha likha hai..kuch naya padhne ko dil taras gaya tha..likhtee rahe..
Tujhe gawankar udaas kyo hun. Applause Applause

MKV ji bht bht shukriya aapka jo aapne meri ye itne waqt baad likhi koshish ko saraha aur asand kiya.....
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #10 on: June 18, 2012, 05:52:57 PM »
Reply with quote
Kasak Jee Aadaab!

WaaH jee aakhir aapne mehfil meiN raNg bhar hi diyaa...
Bahut khoob jee bahut khoob... bade hi khoobsurat aur
kafi sachche ahsaasoN ko lafz diye haiN aapne... Usual Smile

Is khoobsurat aur dilkash kalaam par humari dheroN daad
O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Aur Khawahish Jee aapke bhi kia kahne waaH jee bahut khoob
bada achcha reply kiya hai aapne ...
Humari dheroN daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye... Aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

khuda Hafez... Usual Smile                   

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #11 on: June 18, 2012, 06:00:30 PM »
Reply with quote
Kasak Jee Aadaab!

WaaH jee aakhir aapne mehfil meiN raNg bhar hi diyaa...
Bahut khoob jee bahut khoob... bade hi khoobsurat aur
kafi sachche ahsaasoN ko lafz diye haiN aapne... Usual Smile

Is khoobsurat aur dilkash kalaam par humari dheroN daad
O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Aur Khawahish Jee aapke bhi kia kahne waaH jee bahut khoob
bada achcha reply kiya hai aapne ...
Humari dheroN daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye... Aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

khuda Hafez... Usual Smile                   



yoooohoooooo aapka reply aagaya ... master ji...... kuch fark pada ya wahi ghisi piti likhawat rahi meri... iss bare me to aap kuch bole hi nahin.... bas yunhi jhut mut ki tareef kar gaye aap to..... 
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #12 on: June 18, 2012, 06:04:19 PM »
Reply with quote
<>*Udaas Kyun Hun*<>


Ajeeb  uljhan me aaj  dil hai
Tumhe bhulakar udaas kyun hun
Tujhe na chahna ye zid thi meri
Tujhe ganwakar udaas kyun hun

Ajeeb tewar dekhe hain tere
Bahot thokar  hai tune khaai
Magar aaj jab tera sath  chhuta
Main  yun bad hawaas kyun hun
Ajeeb  uljhan me  aaj  dil hai
Tumhe bhulakar udaas kyun hun
   

Tujhe hi samjha tujhe hi jana
Tujhe hi dil ne hai apna mana
Yakin hai mujhko na ishq tumse
Fir aaj main yun beaas kyun hun
Tujhe na chahna ye zid thi meri
Tujhe ganwakar udaas kyun hun...!!



veriiii naaaaaaaaaice--------------one rau
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: June 18, 2012, 06:07:51 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause  bahut bahut khoob Kasak ji.. at last aapki ek post dekhne ko mili main page pe... bahut bahut achcha laga mujhe.. bahut khoob likha hai aapne... kuch khaas ban nahi paayaa mujhse par reply diye bina raha nahi gaya ... !!!

bhoolaa ke mujhe tum mujhpe geet kyun sunaate ho,
todke rishta mujhse ab ye apnapan kyun jataate ho,
chaahaa tha tumse sabse badh ke ye maloom tha tumhe,
tod ke mera dil ab tum ye aansoo kyun bahaate ho,

ye kaisi uljhan hai tumhaari ki unjhan me bhi main hoon,
bhulaanaa hi hai mujhe to tumhaari geeton me kyun rahun,
bhulaa do mujhe, meri baton ko, meri har ek yaad ko tum,
toda hai jisne mera dil main use ab apna bhalaa kaise kahun,

mujhse ishq nahi hai tum har kisi se ye jhoot bataate ho,
kar ke bewafaai mujhse tum mujhe hi bewafaa bulaate ho,
raho kuch pal tanha to pata chale tanhaayi kya hoti hai,
kuch pal hi huye hain mujhse judaa ho ke aur khud ko tanha bataate ho....

*****HRIDAY*****
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #14 on: June 21, 2012, 07:24:41 AM »
Reply with quote


Waah Kasak Ji...bahut khoob kaha hai..dili mubaarakbaad...Raqeeb
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:28:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer