Un ney, ham sey kahaa thaa: wa'adah hai, aayengey!

by abdbundeli on September 24, 2008, 02:09:17 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1034 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Un ney, ham sey kahaa thaa: wa'adah hai, aayengey!
Aur, aab-e-hayaat-e-wasl saath laayengey!!
Wa'adey aur bhi kiye they: na jaaney kyaa-kyaa?
Kis ko maaloom thaa roothheyngey, chaley jaayeyngey?
                                - abd bundeli
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #1 on: September 24, 2008, 02:22:49 PM »
Reply with quote
waah! bahot khoob!
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: September 26, 2008, 07:49:10 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Abd Ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: September 26, 2008, 10:05:38 PM »
Reply with quote
anjaan dharkan ji / Celmira ji,
Shukruyah!
      - abd bundeli
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #4 on: September 27, 2008, 08:27:41 AM »
Reply with quote
Abd Sb. Adaab
Wah kia jiddat paida ki hai
Jab aap ko AAbe hayaat e wasl mil gaya phir kia shikwa woh aayein ,ya bhad chulhe mein jain ,ya wade se muker jain,bas aapne aik ghoont pi liya aur mast. Un ney ki zarurat kahan rahi

mashallah bahut khoob


javed
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: September 27, 2008, 09:39:38 AM »
Reply with quote
javedarshad ji,
Shukriyaa bandah nawaazee key liye!
Aap jaisey khushmizaaj dost hain, tabhi to, yeh 'Abd', lagaataar ishq-e-aab-e-nosh hi peetaa hai, may ki zaroorat hi naheen parhtee! Janaab! 'ublaa paanee' peeney sey hi 'abd' key muttahidah anaasir ko beykhudee mein jeeney jaisaa suroor-e-nashah rahtaa hai, to, eik-aadh jaam key ba'ad kyaa hogaa, andaaz hi lagaayaa jaa saktaa hai!! Khushaamdeed!
                                             - abd bundeli
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #6 on: September 27, 2008, 02:23:14 PM »
Reply with quote
abd Sb

Nawazish aap ki
Main nahin samajh saka aap kia kahna chah rahe hain
 shayad aap likhne ke baad padhte nahin hain
doosri baat lafzoon ki tajdeed ki bhi koi tarkeeb hooti hai werna sab be maa'na wa ghair munasib ho jate hain ab main zubaan ki sirf-o-nahu mein gaya to shayad ghalat ho ga , ummeed hai aap isko taskeen aur shaur ke ujale mein samajhne ki koshish fermain gay to shaid nacheez ka nukta aayan ho jaye

basad shukria


javed
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: September 27, 2008, 04:02:40 PM »
Reply with quote
Un ney, ham sey kahaa thaa: wa'adah hai, aayengey!
Aur, aab-e-hayaat-e-wasl saath laayengey!!
Wa'adey aur bhi kiye they: na jaaney kyaa-kyaa?
Kis ko maaloom thaa roothheyngey, chaley jaayeyngey?
                                - abd bundeli
Janaab-e-aali,
Aap ne yeh farmayaa thaa:
Abd Sb. Adaab
Wah kia jiddat paida ki hai
Jab aap ko AAbe hayaat e wasl mil gaya phir kia shikwa woh aayein ,ya bhad chulhe mein jain ,ya wade se muker jain,bas aapne aik ghoont pi liya aur mast. Un ney ki zarurat kahan rahi

mashallah bahut khoob




javed

Un key ,'aaney', aur 'aab-e-hayaat-e-wasl' saath laaney ki baat thee! Aap ney, "Jab aap ko AAbe hayaat e wasl mil gaya phir kia shikwa woh aayein ,ya bhad chulhe mein jain ,ya wade se muker jain,bas aapne aik ghoont pi liya aur mast." kahaan sey paa liyaa? Wa'adah thaa: woh aaye to,par roothh kar chaley gaye! 'Eik ghoont' peenaa huaa hi kahaan? Aap ney, shaayad meyraa koyee doosraa kalaam padhha hogaa, par 'comments' is par dey diye hain. Dobaarah padhhney ki takleef gawaarah kareyngey, to, baat saaf ho jayegee!
                     - abd bundeli   
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:39:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer