unke bina...............

by ranjana on June 30, 2006, 03:31:57 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
ReplyPrint
Author  (Read 9049 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
kai din se unki koi khabar nahi milti
ab toh dil behlaane ki koi tadbir nahi milti

kab tak chhipa paayenge zamaane yeh raaz hum
meri hasti ko tere  siva koi aur manzil nahi dikhati

sab ko mil jaaye apni mohabbat  apni jinadgi mein
yeh mumkim hai kahan.............
yeh woh jageer hai jo sabko nahi mila karti

baag mein phool toh khilte  hain sabke liye
per har kisi ko is mehakte chaman ki khushboo nahi milti

jab se suna hai ki woh hain udas-udas
meri hansi mein bhi ab woh shokhiyaan nahi dikhati
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Shivji aur unke bhakth (no offence ppl) by nishita in SMS , mobile & JOKES
-Bagair Unke Bhi- by HumTum is back in Shayri-E-Dard
Dil unke naam kar ke...... by punam in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Unke bina by Noorafza in Shayri for Dard -e- Judai
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: June 30, 2006, 03:54:45 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
kai din se unki koi khabar nahi milti
ab toh dil behlaane ki koi tadbir nahi milti

kab tak chhipa paayenge zamaane yeh raaz hum
meri hasti ko tere  siva koi aur manzil nahi dikhati

sab ko mil jaaye apni mohabbat  apni jinadgi mein
yeh mumkim hai kahan.............
yeh woh jageer hai jo sabko nahi mila karti

baag mein phool toh khilte  hain sabke liye
per har kisi ko is mehakte chaman ki khushboo nahi milti

jab se suna hai ki woh hain udas-udas
meri hansi mein bhi ab woh shokhiyaan nahi dikhati


Deewana hoon mein toh mujhe meri Deewanagi kyu nahi milti......
Ab toh meri Dhadkano ko bhi Raftaar nahi milti......

Dil paseej jata hai kuch khushian paane ko......
Kheti hai meri Sanam ki GUl ko Gulistaan ki kabhi Mehek nahi milti.......

Dekhte hoon jab main apni Shakl aayene main.....
Toh sochta hoon kyu meri Zindagi me hee Bahar kyu nahi khilti......

Ab toh roo padti hai aankhein meri likhte hue yeh Lafz.....
Kheti hai Kalam kyu tujhe likhne ko Pyar ki Shayahein nahi milti........!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: June 30, 2006, 05:12:34 AM »
Reply with quote
bahut khub gaurav .........

din veerna thaa ,raat meri sunsaan thee
bojhil si beh rahi  kuch hawa bhi aaj thee

dil ko yeh zid thee ki tu aajaye khawabo mein
aur aankho mein tere bina neend na aaye

der tak aankho mein chubati rahi taaro ki roshni
na tum aaye na hi mere pass khawab aaye

sulagta raha mera tan mann teri yaado se
tarsa kiya dil ki kahi se teri ek jhalak mil jaaye

bahut dur se ek awaz deti rahi sada mujhko
koi toh ja ke meri ruthi hui neendo ko mana laaye.........
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #3 on: June 30, 2006, 08:33:08 AM »
Reply with quote
Nice Ranju and Gaurav.......

Bin unke jeena kuch aisa mushkl hua
jaise bin hawa ke saans lena

judai mai unke dhahdka dil ka mishkil hua
bina teri bahaonke ghero ke sona bhi mushkil hua....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: June 30, 2006, 09:28:35 AM »
Reply with quote
nice vikas.......

woh hamare sahare ki baat karte hain
ek bas hum hai ki khaaro ki baat karte hain

woh talshte hain panaah hamari bahaon mein
hum unse apni neend udaane ki baat karte hain
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: July 01, 2006, 10:39:06 AM »
Reply with quote
bahut khoob Ranjana di n B_s....
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #6 on: July 01, 2006, 10:45:58 AM »
Reply with quote
wah Ranju, BS JI and Vikas!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: July 01, 2006, 05:43:20 PM »
Reply with quote
shukriya nikki and pooja ...............
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: July 02, 2006, 03:04:27 AM »
Reply with quote
jinke liye hum pyaar mein diwane bane
wah bhi hame diwana jaan ke anjaan bane

yeh baat thee hum do dilo ke becch mein
is baat ke na jaane kitne afsaane bane

aati thee har khusi kabhi unke saath hi
unke bina dard hi mere taraane bane
Logged
gumnam
Guest
«Reply #9 on: July 02, 2006, 01:49:32 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
kai din se unki koi khabar nahi milti
ab toh dil behlaane ki koi tadbir nahi milti

kab tak chhipa paayenge zamaane yeh raaz hum
meri hasti ko tere  siva koi aur manzil nahi dikhati

sab ko mil jaaye apni mohabbat  apni jinadgi mein
yeh mumkim hai kahan.............
yeh woh jageer hai jo sabko nahi mila karti

baag mein phool toh khilte  hain sabke liye
per har kisi ko is mehakte chaman ki khushboo nahi milti

jab se suna hai ki woh hain udas-udas
meri hansi mein bhi ab woh shokhiyaan nahi dikhati
BAHUT KHUB RANJANA JI.....


TERI PALKO MEIN RUKNA HAI RAAT BHAR KE LIYE,
MAIN TO KHWAB HU SUBAH KO CHALA JAAUGA......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: July 03, 2006, 03:04:59 AM »
Reply with quote
bahut khub gumnam ji ........ shukriya

hum dekahte rahe unka raha sadiyo tak
unke bina jeena ek pal bhi manjur na thaa

har dard ,har gum hamko dekhta raha ghur ghur ke
per hamko bewafa  hona kabool  na thaa
Logged
phoenix
Guest
«Reply #11 on: July 03, 2006, 05:07:20 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
kai din se unki koi khabar nahi milti
ab toh dil behlaane ki koi tadbir nahi milti

kab tak chhipa paayenge zamaane yeh raaz hum
meri hasti ko tere  siva koi aur manzil nahi dikhati

sab ko mil jaaye apni mohabbat  apni jinadgi mein
yeh mumkim hai kahan.............
yeh woh jageer hai jo sabko nahi mila karti

baag mein phool toh khilte  hain sabke liye
per har kisi ko is mehakte chaman ki khushboo nahi milti

jab se suna hai ki woh hain udas-udas
meri hansi mein bhi ab woh shokhiyaan nahi dikhati


har tufan mein meri kashti ko sahara mile ye zaruri to nahi
har mod par tumhe deedar hamara mile ye zaruri toh nahi

kuch baatein labo tak layi jaaye ye zaruri to nahi
har zakham sabko dikhaya jaye yeh zaruri to nahi

har waqt aasman mein chand rahe ye zaruri toh nahi
har lakeer me mera namo nishan rahe ye zaruri to nahi

maanta hun mein bhi ki judai to badi mushkil hai tere bina
par muqaddar k har waar se lada jaye ye zaruri to nahi
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: July 03, 2006, 05:45:03 PM »
Reply with quote
bahut khub Nitiesh ..........

jindagi roz gujarati hai sawalo ki tarah
har baat ka de hum jawab yeh zaruri toh nahi

kar jaate hain chahne wale kabhi kabhi bewafai bhi
hum bhi kar  jaaye tujse kuch aisa yeh zaruri toh nahi

kis tarah mukamal hua  hai meri jindagi  ka safar
aur kitna paaya hai hamne dard yeh tumhe bata de yeh zaruri toh nahi

dikahte hain apne chehare per hansi ha waqt hum tumhe
per iske picche udaasi bhi dikha de yeh zaruari toh nahi

is tarah toh hum kabhi kamzor na they jindagi mein
per tujhe dekh kar tere kandho per apna sirr rakh de yeh zaruari toh nahi
Logged
phoenix
Guest
«Reply #13 on: July 03, 2006, 05:47:12 PM »
Reply with quote
bahoot khoob

excellent
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: July 04, 2006, 09:21:35 AM »
Reply with quote
shukriya Nitiesh.........
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:15:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer