redwhitegang
Guest
|
«Reply #15 on: July 05, 2006, 05:41:32 AM » |
|
bahut khub Nitiesh ..........
jindagi roz gujarati hai sawalo ki tarah har baat ka de hum jawab yeh zaruri toh nahi
kar jaate hain chahne wale kabhi kabhi bewafai bhi hum bhi kar jaaye tujse kuch aisa yeh zaruri toh nahi
kis tarah mukamal hua hai meri jindagi ka safar aur kitna paaya hai hamne dard yeh tumhe bata de yeh zaruri toh nahi
dikahte hain apne chehare per hansi ha waqt hum tumhe per iske picche udaasi bhi dikha de yeh zaruari toh nahi
is tarah toh hum kabhi kamzor na they jindagi mein per tujhe dekh kar tere kandho per apna sirr rakh de yeh zaruari toh nahi Wow ....gr8 ranz-na :D Jawab na dekar jindagii ko uljhana bhi to jaruri nahi Haansii me harwakt gum ko chupana bhi to jaruri nahi Hamare kandhe mein sir rakkhkar jo do pal bitado, Is baat par khud ko kamjor samajh jana bhi to jaruri nahi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #16 on: July 05, 2006, 10:28:12 AM » |
|
wah kya baat hai sssss Shahid ji.............
yah zindagi roz gujarati hai sawalo ki tarah maine unhe chaha bas chahane walo ki tarha mere khawab itne kamzor toh na they ki yun mitti mein mil jaate tute pyaalo ki tarah
|
|
|
Logged
|
|
|
|
gumnam
Guest
|
|
«Reply #17 on: July 05, 2006, 01:54:07 PM » |
|
bahut khub gumnam ji ........ shukriya
hum dekahte rahe unka raha sadiyo tak unke bina jeena ek pal bhi manjur na thaa
har dard ,har gum hamko dekhta raha ghur ghur ke per hamko bewafa hona kabool na thaa wah...wah....
Gardish waqt jab bhi aata hai, Apna saaya bhi rooth jata hai. Ab dekhna hai aise haalaat mein, Meri hasti bachaane kaun aata hai.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #18 on: July 06, 2006, 03:50:12 AM » |
|
bahut khoob..........
zindagi kya hai ,hum yahan jeete hain kis liye umar bhar bas yahi socha hum kiye dil sulgata raha kisi ki yaad mein raat bhar hum ne is baat ke kab kisi se charche kiye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
redwhitegang
Guest
|
|
«Reply #19 on: July 06, 2006, 02:34:21 PM » |
|
wah kya baat hai sssss Shahid ji.............
yah zindagi roz gujarati hai sawalo ki tarah maine unhe chaha bas chahane walo ki tarha mere khawab itne kamzor toh na they ki yun mitti mein mil jaate tute pyaalo ki tarah Shukriya ranjana ji! ke aapne hamme is kadar tarif ke haqdar samjha!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #20 on: July 07, 2006, 05:14:03 PM » |
|
shukriya Shahid.......
jab bhi teri yaade deti hain dastak dil ke sune palo mein na chahane per bhi meri aankho se aansu chalak aate hain
dee thee mujhe kasame tumne ki tumhe bhul jaau main unhi kasamo ko nibhaane ke liye hum muskaraate hain
man ka suna pan darata hai mujhko aksar hum us pal apni yaado mein tere saaye ko pyaar kar aate hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sinritesh
Guest
|
|
«Reply #21 on: July 08, 2006, 07:01:41 AM » |
|
takiye per unki nishaan kabhi mila karte the bistaron per woh unke salwate dikha karte the
wo nikal gaye aaj humari aagosh se ye sabab kabhi kum hua karte the nahi saamne tum ...dhoonti hai nazrein naubaton ki ye manzil tum kabie nahi karte the
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #22 on: July 08, 2006, 10:13:16 AM » |
|
ek ek pal ke umar nikal rahi hai ek ek pal ko hum rooh mein sametate rah gaye
na jaane kitne mod aaye ,kitne rasate badal gaye hum sambhal bhi na paaye aur manzar badal gaye
koi khushi kabhi bhi hamari tabeer ko rang de na saki ham rote hue dil se labo ko muskarte hue se reh gaye
saathi toh bahut mile zindagi ki raaho mein hame chor gaye sabhi tanaha aur hum bhakate reh gaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
gumnam
Guest
|
|
«Reply #23 on: July 09, 2006, 02:22:24 PM » |
|
bahut khoob..........
zindagi kya hai ,hum yahan jeete hain kis liye umar bhar bas yahi socha hum kiye dil sulgata raha kisi ki yaad mein raat bhar hum ne is baat ke kab kisi se charche kiye BAHUT KHUB RANJANA JI.....
LOG PHULO SE MOHBBAT KARTE HAI, KAANTO KO KISNE YAAD KIYA. HUM KAANTO SE MOHBBAT KARTE HAI, KYONKI EK PHOOL NE HUME BARBAAD KIYA...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #24 on: July 10, 2006, 03:59:00 AM » |
|
bahut khub gumnam ji............
aankhe ashaq sukhaane lagi lab muskarna bhul gaye jaane kaise dard they jo hum jeena bhul gaye
bas har pal yeh soch ke heraan rahe ki gulab kaanto ke beech reh kar bhi muskarana kaise sikh gaye !!!!!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
gumnam
Guest
|
|
«Reply #25 on: July 12, 2006, 02:37:37 PM » |
|
bahut khub gumnam ji............
aankhe ashaq sukhaane lagi lab muskarna bhul gaye jaane kaise dard they jo hum jeena bhul gaye
bas har pal yeh soch ke heraan rahe ki gulab kaanto ke beech reh kar bhi muskarana kaise sikh gaye !!!!!!!! SHUKRIYA RANJANA JI...
MEHAKTA HAI MERI SAANSO MEIN TERA NAAM AAJ BHI, DHALTI HAI TERE INTEZAAR MEIN MERI SHAAM AAJ BHI. TUJHKO MUJHSE BICHHDE EK JAMAANA HO GAYA, MAGAR HOTI HAI TERE NAAM SE MERI PEHCHAN AAJ BHI..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #26 on: July 12, 2006, 05:22:08 PM » |
|
BAHUT KHOOB GUMNAM JI....
meri aankho mein ek badal ka tukda hai aaj bhi jab bhi aaye unki yaad yeh baras jaata hai aaj bhi koi tasali de toh aankhe chalak uthati hai unki diye dard mujhe yaad aate hain aaj bhi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
gumnam
Guest
|
|
«Reply #27 on: July 14, 2006, 02:07:50 PM » |
|
BAHUT KHOOB GUMNAM JI....
meri aankho mein ek badal ka tukda hai aaj bhi jab bhi aaye unki yaad yeh baras jaata hai aaj bhi koi tasali de toh aankhe chalak uthati hai unki diye dard mujhe yaad aate hain aaj bhi JABARDAST RANJANA JI.......
TERI YAADO SE GULJAR HAI MERA CHAMAN AAJ BHI, KI THEHRI HUI HAI TERE LIYE MERI JINDAGI USI MOD PE AAJ BHI..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #28 on: July 14, 2006, 02:34:08 PM » |
|
bahut khoob ji....
tujhe paa kar bhi dil yeh sochta raha ki jo fasala thaa pehle woh toh hai aaj bhi khud kho diya hamne tujhe paane ki chaha mein ham teri raha toh dekhate hain aaj bhi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
gumnam
Guest
|
|
«Reply #29 on: July 14, 2006, 02:52:13 PM » |
|
bahut khoob ji....
tujhe paa kar bhi dil yeh sochta raha ki jo fasala thaa pehle woh toh hai aaj bhi khud kho diya hamne tujhe paane ki chaha mein ham teri raha toh dekhate hain aaj bhi BAHUT KHUB.....
RAAH PAR GUJRE HUE PAL SE PUCHHTE HAI TERA PATA AAJ BHI, KI HUME TERE AANE KA INTEZAAR HAI AAJ BHI.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|