unke bina...............

by ranjana on June 30, 2006, 03:31:57 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 9172 times)
ranjana
Guest
«Reply #60 on: August 31, 2006, 07:59:50 AM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
ji shukarya oh sorry

RANJU ishq ka dusra part to JUDAAI hi hai na?

good jo 2 you

DEKHTA HOON TUJHE AAJ BHI MAIN DIL KI NAZAR SE
CHAHTA HOON TUJHE AAJ BHI MAIN DIL..O..JIGAR SE
CHALTI HAI HUMAARI SHANSHE TAK BHI ABTO AAPKE NAAM SE
NA JAANE AAP KO FIR BHI KYUN NAHI YAKIN MERI IS MOHABBAT PE....Huh?


bahut badiya ..majid ...sahi kaha aapne....

teri mohbbat per toh thaa hamko yakeen
per apni kismat per etabaar na thaa
kiya hamne tera sadiyo.n tak intezaar
per tere haatho ki lakeero per mera naam na thaa!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Shivji aur unke bhakth (no offence ppl) by nishita in SMS , mobile & JOKES
-Bagair Unke Bhi- by HumTum is back in Shayri-E-Dard
Dil unke naam kar ke...... by punam in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Unke bina by Noorafza in Shayri for Dard -e- Judai
ranjana
Guest
«Reply #61 on: August 31, 2006, 12:16:30 PM »
Reply with quote
bahut khoob ......Majid .

udas kar deta hai mujhe tera is dil se jaana
ab toh aake jara dil ko kuch sakoon de jaana
dhuaan dhuaan sa ho raha hai yehah dil  ka alam
tum aake ek deep fir se ek pyaar ka jala jaana !!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #62 on: August 31, 2006, 12:29:25 PM »
Reply with quote
tere khawabo ke sang sang hum chalte hain
is dil mein ab bhi teri mohbaat ke chiraag jalte hain
tu kahe toh hum apni jaan bhi de de  ishq mein
pyaar karne waale kab kisi mushkil se darate hain !!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #63 on: August 31, 2006, 01:46:31 PM »
Reply with quote
good one majid .....

mere khato mein mehek meri wafa ki thee
ho kabhi tere dil per bijali ban ke giri thee
kyu bhula diya tumne un sab pyaar ke palo ko
kya yahi meri mohbbat nibhaane ki saja thee!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #64 on: August 31, 2006, 02:26:19 PM »
Reply with quote
majid aapne dono mein same likh diya hai.. Usual Smile
Logged
ranjana
Guest
«Reply #65 on: September 01, 2006, 04:16:53 AM »
Reply with quote
kaise mitaau main apne dard ke ehsaas ko
na koi mere pass hai na main kisi ke pass hun

ek khamoshi si faili hai mere dil per
main jaise koi bujhta hua chiraag hun !!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #66 on: September 02, 2006, 08:26:43 AM »
Reply with quote
in zindagi ke veeraano mein bas dil ko behalna hai
ek khawab hi sahi tu per tujhe kabhi sach banana hai..
Logged
ranjana
Guest
«Reply #67 on: September 02, 2006, 09:10:37 AM »
Reply with quote
har mod per mil jaate hain mujhe chahane waale
hum har chehere mein unka chehera dhoondate hain!!

bahuy khoob  majid ..good reply
Logged
ranjana
Guest
«Reply #68 on: September 03, 2006, 08:55:00 AM »
Reply with quote
humne tanah taye kar liya hai zindagi ka safar
ab kisi ki justju nahi aarzoo bhi nahi

beet rahe hain dil mere kuch aise unke bagair
ki yah zindagi ab zindagi lagati hi nahi !!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #69 on: September 04, 2006, 06:37:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
WAH

barse to mere bhi nayan tujhko soch kar
woh alag hai jo aankho se nikla woh paani hi sahi

hain khabar mujhko bhi ki bekhabar tu bhi nahi
woh alag hai baat rishto ki khayalo ne maani na sahi

hum to aabhi wahi hai jise tune chaha tha
woh alag hai tune  is haqeqat ko maana hi nahi...


wah wah bahut khoob ....

har jagah ab meri pehchaan kho si gayi hai
tere ishq mein na jaane yeh kya baat hui hai

bekhabar nahi hai hum bhi is ishq ke anzaam se
dil mein kuch halchal si machi toh hui hai

kis ko pukaare kis ko de hum ab aavaaz
yahan apni hi  raha apni hi manzil kahi gumi si hui hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #70 on: September 04, 2006, 07:00:44 AM »
Reply with quote
yeh zindgaani do pal ki kahaani hai
jahan kabhi hans ke ro ke beetani hai
beet rahi hai yeh saanse kuch is tarah
ki jaise karz koi yeh zindgaani hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #71 on: September 04, 2006, 08:35:35 AM »
Reply with quote
kuch aarzoo bhi kitna tadpaati hain
jo ho  nahi sakate hamaare kabhi
unke dil ke kareeb hame le jaati hain
dhoondte hain hum har apne liye ek naya aasman
aur haqikat mein jameen bhi hame nahi mil paati hai!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #72 on: September 05, 2006, 01:40:48 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
WAH WAH RANJU


na thee apni buraiyon ki jo khabar
rahe dekhte auron ke aib-o-hunar
padi apne gunaho pe jo nazar
nigaah mein koyi buraa hi na rahaa


wah bahut khoob sahi likha hai ...

hame zindagi jeene ki itni chah thee
ki tera haam hum gair se sun ke bhi jeete rahe
tamaam umar bas isi tarah se gujaari
ki kabhi toh hum bhi apna naam sunenge teri  jubaan se!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #73 on: September 05, 2006, 03:38:57 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob,..

Bin Tere Na Din Hain Mere Din Ke Jaise,..
Aur Na Raatein Hain Raat Ke Jaise,..
Har Ghadi Har Pal Har Lamha,..
Meri Aankhein Tarasti Hain Tere Deedar ke Liye,..

___________________________-Jaanasheen-
Logged
ranjana
Guest
«Reply #74 on: September 12, 2006, 04:15:42 AM »
Reply with quote
Quote from: "Jaanasheen"
Bahoot Khoob,..

Bin Tere Na Din Hain Mere Din Ke Jaise,..
Aur Na Raatein Hain Raat Ke Jaise,..
Har Ghadi Har Pal Har Lamha,..
Meri Aankhein Tarasti Hain Tere Deedar ke Liye,..

___________________________-Jaanasheen-



too good azeem bhai ...

yeh dil kisi ke samajhaane se  behelata nahi
janoon yeh kaisa hai jo sirr se utarta nahi
wahi duri wahi tanhaai wahi dard hain ishq ke
ab waqt unki begair jaise katata hi nahi !!
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:39:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer