Us kaa kaheen patah naheen, jis kaa thaa intizaar!

by abdbundeli on February 18, 2009, 06:06:14 PM
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 3441 times)
abdbundeli
Guest
«Reply #15 on: February 21, 2009, 05:24:09 PM »
Reply with quote
BOhat Achche Abd Bhai Kamal Ka Likha Hai Aapne,.

And Nice One Roja sis,.
Thanks a lot, Jaanasheen ji!
                 - abd bundeli
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #16 on: February 21, 2009, 06:00:26 PM »
Reply with quote
Bahut hi khoobsoorat tasawwur kaa izhaar kiyaa hai aapney honeyrose ji! Applause Clapping Smiley

Jo mazah, dey key mileygaa, wahee leyney mein naheen!
Jo mazah bahr-e-zeyhn mein hai, safeeney mein naheen!
Jo mazah, bin piye, aataa hai us key pahloo mein;
Wo mazah, sharwat-e-angoor key peeney mein naheen!!
                              - abd bundeli
 


Waah waah Abd ji bohat khoobsurat likha aapne... Applause Applause
Shukriya Abd ji aapko mera likha pasand hai
Kuch likh rahi shayad teek lage aapko Abd ji...



Kuch yaadein dil se lagaye baithey hain
Kuch yaadein dil se sajaye baithey hain
Bin piye hi hosh kho baithey hain
Unke nazaron mein hum khawab-e-hasrath lagaye baithey hain

*Honeyrose* 
Logged
smardia
Guest
«Reply #17 on: February 21, 2009, 07:40:13 PM »
Reply with quote
abdbji bahut achha sher hai aapka... Applause

kab tak karu us ka intezaar
Ab tak pata nahi chala us ka
Gulshan k patte patte se puchha
Maine, bata us kamseen ka pata
Chaman ka har phool mehak raha tha
har ek pakshi chahak raha tha
Lagta tha gujri he wo isi rah se
Titliyon se,Bhawron se bhi puchha
Per Us ka kaheen koi pata nahee chala....



Us kaa kaheen patah naheen, jis kaa thaa intizaar!
Kaisey kateygee raat? Ho rahaa hoon beyqaraar!
Us dour-e-nisf shab kaa nazaarah hi tha kuchh aur;
Jab thaa uyoon-e-zeyhn key pahloo mein meyraa yaar!!

                                     - abd bundeli


Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #18 on: February 21, 2009, 07:54:19 PM »
Reply with quote
Us kaa kaheen patah naheen, jis kaa thaa intizaar!
Kaisey kateygee raat? Ho rahaa hoon beyqaraar!
Us dour-e-nisf shab kaa nazaarah hi tha kuchh aur;
Jab thaa uyoon-e-zeyhn key pahloo mein meyraa yaar!!

                                     - abd bundeli


Karte ho kyun ek bewafa ka intezaar
Chhor gayi saath jab mila koi aur yaar
Daulat ke tarazu mein taula tera pyaar
Kama le daulat aur ban ja tu bhi maaldaar
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #19 on: February 22, 2009, 05:08:09 AM »
Reply with quote
Waah waah Abd ji bohat khoobsurat likha aapne... Applause Applause
Shukriya Abd ji aapko mera likha pasand hai
Kuch likh rahi shayad teek lage aapko Abd ji...



Kuch yaadein dil se lagaye baithey hain
Kuch yaadein dil se sajaye baithey hain
Bin piye hi hosh kho baithey hain
Unke nazaron mein hum khawab-e-hasrath lagaye baithey hain
*Honeyrose* 

Thanks Honeyrose ji!

Yaadoun mein agar woh hai: har simt woh hi woh hai!
Rahney do usey yuun hi nazar-e-zeyhan ki zad mein!
Woh saath hi raheygaa tanhaayiyaan na hongeen;
Maayuusiyoun sey door, tasawwur raheygaa had mein!!

                          - abd bundeli

 
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #20 on: February 22, 2009, 05:22:29 AM »
Reply with quote
abdbji bahut achha sher hai aapka... Applause

kab tak karu us ka intezaar
Ab tak pata nahi chala us ka
Gulshan k patte patte se puchha
Maine, bata us kamseen ka pata
Chaman ka har phool mehak raha tha
har ek pakshi chahak raha tha
Lagta tha gujri he wo isi rah se
Titliyon se,Bhawron se bhi puchha
Per Us ka kaheen koi pata nahee chala....
Thanks smardia  ji!

Yeh justjoo pahunchaayegee zaroor us key paas!
Yeh purjunoon khoj, intihaa hai ishq kee!
Aaney lageygaa kuchh hi dinoun mein woh roo-b-roo;
Deykheyngey jahaan bhi, nazar mein aayegaa wahee!!

                                - abd bundeli

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #21 on: February 22, 2009, 05:33:04 AM »
Reply with quote
Karte ho kyun ek bewafa ka intezaar
Chhor gayi saath jab mila koi aur yaar
Daulat ke tarazu mein taula tera pyaar
Kama le daulat aur ban ja tu bhi maaldaar

Thanks Rajesh Harish ji!

Yaar meyraa kisee doulat kaa talabgaar naheen!
Beywafaa us ko kahuun, jis kaa aur yaar naheen?
Ham azal sey hain ham-aagosh, sirf paas naheen;
Kaisey kah paauungaa us sey, ki, usey pyaar naheen?

                            - abd bundeli
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #22 on: February 22, 2009, 05:39:18 AM »
Reply with quote
Thanks Rajesh Harish ji!

Yaar meyraa kisee doulat kaa talabgaar naheen!
Beywafaa us ko kahuun, jis kaa aur yaar naheen?
Ham azal sey hain ham-aagosh, sirf paas naheen;
Kaisey kah paauungaa us sey, ki, usey pyaar naheen?

                            - abd bundeli

Nice lines Abd Ji
Hum lajawaab hue
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #23 on: February 22, 2009, 05:55:26 AM »
Reply with quote
Nice lines Abd Ji
Hum lajawaab hue
Yah bhi aapkey pyaar kaa hi izhaar hai Rajesh Harish ji! Shukriyah!
           - abd bundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #24 on: February 22, 2009, 06:23:58 AM »
Reply with quote
Thanks Rajesh Harish ji!

Yaar meyraa kisee doulat kaa talabgaar naheen!
Beywafaa us ko kahuun, jis kaa aur yaar naheen?
Ham azal sey hain ham-aagosh, sirf paas naheen;
Kaisey kah paauungaa us sey, ki, usey pyaar naheen?

                            - abd bundeli


Nice lines ABD  jii

Aahista aahista dil mein sama gaye tum
Ishq se ishq karna sikha gaye tum


Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #25 on: February 22, 2009, 07:33:01 AM »
Reply with quote
Nice lines ABD  jii
Aahista aahista dil mein sama gaye tum
Ishq se ishq karna sikha gaye tum
Thanks Roja ji!

Paiwast huye dil mein, patah hi naheen chalaa!
Ham kis ko kyaa bataayen, hamain khud patah naheen?
Woh hain zeyhan mein, go ki, roo-b-roo kabhi na they;
Kaisey hain un key nain-o-naqsh kuchh patah naheen!!

                               - abd bundeli
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #26 on: February 22, 2009, 05:01:48 PM »
Reply with quote
Thanks Honeyrose ji!

Yaadoun mein agar woh hai: har simt woh hi woh hai!
Rahney do usey yuun hi nazar-e-zeyhan ki zad mein!
Woh saath hi raheygaa tanhaayiyaan na hongeen;
Maayuusiyoun sey door, tasawwur raheygaa had mein!!

                          - abd bundeli

 
 

Beautifull lines Abd ji... Applause

Meri nigahon mein joh tasveer hai
Woh tumhee toh ho
Meri dil mein joh chahat hai
Woh ehsaas tumhee toh ho
Kaise samjhaye aapne dil ko
Joh saasen chal rahe hai tumare dil tak ho
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #27 on: February 22, 2009, 05:05:50 PM »
Reply with quote
Beautifull lines Abd ji... Applause

Meri nigahon mein joh tasveer hai
Woh tumhee toh ho
Meri dil mein joh chahat hai
Woh ehsaas tumhee toh ho
Kaise samjhaye aapne dil ko
Joh saasen chal rahe hai tumare dil tak ho

Nice lines
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #28 on: February 22, 2009, 05:22:26 PM »
Reply with quote
Beautifull lines Abd ji... Applause

Meri nigahon mein joh tasveer hai
Woh tumhee toh ho
Meri dil mein joh chahat hai
Woh ehsaas tumhee toh ho
Kaise samjhaye aapne dil ko
Joh saasen chal rahe hai tumare dil tak ho

honeyrose ji!  Applause Clapping Smiley
Lovely excursion of imagination is depicted in simple words that appear to be emitting out right  from the core of  your heart!

Kaash, yah deed abhi us maqaam par pahunchey,
Jahaan woh deykhtaa khalaa mein khojtaa ho mujhey!
Kaash is zeyhn key pahloo mein woh qayaam karey;
Aur, yeh meyree shama'a us key uyoonoun mein bujhey!!

                                 - abd bundeli
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #29 on: February 24, 2009, 12:20:41 PM »
Reply with quote
honeyrose ji!  Applause Clapping Smiley
Lovely excursion of imagination is depicted in simple words that appear to be emitting out right  from the core of  your heart!

Kaash, yah deed abhi us maqaam par pahunchey,
Jahaan woh deykhtaa khalaa mein khojtaa ho mujhey!
Kaash is zeyhn key pahloo mein woh qayaam karey;
Aur, yeh meyree shama'a us key uyoonoun mein bujhey!!

                                 - abd bundeli



 




Applause ApplauseWonderfull lines Abd ji... 


Iss aag mein jalne mein humen dar nahi lagti
Iss barf mein phigalane mein humen khushi nahi lagti
Chaahe woh hume samjhe ya na samjhe iss duniya mein
Kahin door na ho jaye aapse humen khushi nahi lagti

*HR*
Logged
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 12:09:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer