WAFA KAISI ..???

by SADIQA JAWED on October 25, 2004, 07:05:42 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8
ReplyPrint
Author  (Read 7573 times)
lovebites
Guest
«Reply #75 on: December 01, 2004, 04:43:02 AM »
Reply with quote
Quote from: "SADIQA JAWED"
THNKX.....LOVEBITES...!!!
ur welcome...!


 Dil Ki Mehfil Pe Cha Raha Hai
Nazar Mein Dhoka Sada Raha Hai

Mere Liye Woh Wafa Raha Hai

Isko Chaha Isko Poja

Sada Jo Hum Se Khafa Raha Hai

Ise Bhulaoon To Kis Tarah Mein

Jo Dil Ki Basti Basa Raha Hai

Jo Pi Ke Zinda Hai Zehr-e-Jag Mein

Yeh Dil Isi Ko Bula Raha Hai

Jo Bas Chuka Hai Dil O Nazar Mein

Nazar Woh Mujh Se Chura Raha Hai

Isko Chahoon Mein Misal.......

Jo Dil Ki Mehfil Pe Cha Raha Hai
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #76 on: December 02, 2004, 07:13:46 AM »
Reply with quote
HMMMMMMMMMMMM WAHT A COLLECTION TOO GOOD...

WO MUJH KO KADI DHOP MAIN JANY NAHI DEYTA
SORAJ HAI PAR DHOOP PIGHALNY NAHI DYTA...
HAR BAT BHULADI HAI PAR YH TERA TASAWUR
IK BHOLI HUI SHAM KO DHALNY NAHI DYTA
Logged
lovebites
Guest
«Reply #77 on: December 02, 2004, 10:02:31 AM »
Reply with quote
Thanks........Sadiqa-J bohat Shukriya............!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #78 on: December 02, 2004, 01:32:52 PM »
Reply with quote
Usual Smile


"PYAAR KERNA BHOOL JANA AEK JURM SANGEEN HAI...
BEWAFA SE PYAAR KERNA PYAAR KE TAUHEEN HAI..........
Logged
akela
Guest
«Reply #79 on: December 02, 2004, 03:02:45 PM »
Reply with quote
wowwwww sadiqa ji lovebites ji bahoot hi khoob
Logged
lovebites
Guest
«Reply #80 on: December 02, 2004, 05:36:39 PM »
Reply with quote
Quote from: "akela"
wowwwww sadiqa ji lovebites ji bahoot hi khoob

thanks and shukriya...............!

Sachaiee chup nahi sakti banawet ke asoolon se
khooshboo aa nahi sakti kabhi kaghez ke phoolon se
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #81 on: December 03, 2004, 07:23:14 AM »
Reply with quote
DUKH ANMOOL HOTAY HAIN
THNKX AKELA JE....!!! SHUKRIYAH


Qudrat ki wadiyat hotay hain

Kabhi kuch day kar jatay hian

Kabhi sub kuch cheen laitay hain

Kabhi bechain kartay hain

Kabhi jeena sikhatay hain

Kabhi bantay hain jab aansoo

Umer bhar yeh roolatay hian

Kabhi lab ki hansi ban kar............

Naie duniya sajatay hian...............

Kabhi meethi kasak ban kar................

Anjani khalish ban kar

Makeen-e-dil yeh bantay hain

Kisi sourat nahin mittay

Jo in say door bhago tou

Nahin janay nahin daitay

Na zindah rehnay daitay hain

Na yeh aazad kartay hian

Nahin jis ki dawa koi

Yeh aisa dard hotay hain

Magar yeh bhi haqeeqat hai

Har ik ko tou nhain miltay

Baray nayaab hotay hain,

Yeh dukh anmool hotay hian.........!

DUKH ANMOOL HOTAY HIAN !................
Logged
lovebites
Guest
«Reply #82 on: December 03, 2004, 12:58:18 PM »
Reply with quote
------------choti si galat fehmi !!---------------

choti si galat fehmi karde gi juda hum ko
halaat itnay badal jayenge, maloom na tha hum ko

kya bus yeh rishta itna kamzoar tha humara ?
jisay chaha pal bhar mein toor diya is ko ...

jo aik lamhay k liye bhi duur na hotey thai ..
aaj le jana para unhein judai k ghum ko ..

kabhi apne hi rastey per bichaye thai hum ne phool ..
aaj kaantey bichaye khud hi jaga dee pathar ko ..

ab to aik dard aur takleef rehti hai is dil mein ..
koi to aye ..marham lagaye is zakhm ko ...

ab bhi milan ki aas hai hum dono k dil mein
koi na samajh paye ga is pyar ki shiddat ko

mana k chahat abhi bhi bohat hai humein ..
to kyun na phir se uthayen pyar k qadam ko...
Logged
akela
Guest
«Reply #83 on: December 03, 2004, 02:52:30 PM »
Reply with quote
nice all
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #84 on: December 04, 2004, 10:14:50 AM »
Reply with quote
THNKX FRIENDS.... Usual Smile

kya kaha hai tum nai mujhe
ke
tumhare lafzon se
aik ajab ehsaas jaga hai
pal pal tumhain yadd kar ke
mare dil main pyar jaga hai
yeh uljhan yeh baiqarari
yeh udasi yeh lachari
ankhon main nayan khab jaga hai

magar

main khud se darti hon
yeh ehsass mujhe fana na kar dai
pyar mara mujhe ruswa na kar dai
khab tumhara mujhe bai raha na kar dai

mujhe khuf hai kuch tum se bhi
mujhe bich raha pai la kar
manzil ka pata dekha kar
kisi raste par chala ka

phier

tum mujhe bhula na du
tum mujh ko mita na du
kahin mujh ko rula na du
Logged
lovebites
Guest
«Reply #85 on: December 06, 2004, 08:18:49 PM »
Reply with quote
---------Akhri khawaish------------

Mere saathi,
Meri yeh roh jab mere jism se perwaz ker jaye,
Tu loat ana,
Meri be-khawab ratoon k azab per,
Sulaktey shaher mein tum beh,
Zara c dair ko rukna,
Mere be-noor hontoon ki duaoon per,
Tum apni sard peshani ka pather rakh k ro dena,
Bus atni baat keh dena,

Mujhe tum se mohabat hai................!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #86 on: December 10, 2004, 06:32:23 AM »
Reply with quote
GOOD LOVEBITES, ITS TOO GOOD  :D
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #87 on: December 10, 2004, 07:00:31 AM »
Reply with quote
wow   excellent work sadqia jawed,..............lovebites..........
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #88 on: December 10, 2004, 07:09:39 AM »
Reply with quote
THNKX WAHEED...!!!! glasses2
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #89 on: December 10, 2004, 07:26:43 AM »
Reply with quote
nayee manzil ki dushwaari musallam
magar hum bhi hain deewane puraane..............  tongue3
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 12:55:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer