Wo beete lamhe yaad aate hain

by klaskar on April 09, 2010, 10:41:40 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 27831 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote
Aaj wo mere paas nahi. wo mere saath nahi . par fir bhi jaane q uski yaad chhed jati hai mujhe. Ek meethi si chubhan hoti hai jab bhi wo yaad aati hai. Unhi yaadon ko jodke kuch likhne ki koshish ki hai maine...straight from the heart...

Wo beete lamhe yaad aate hain

tere shahar jaata tha jab main,
milne tujhse banke deewana,
bhoola nahi hoon aaj bhi wo din,
jab mili thi mujhse pehli baar,
wo teri masoom si nazar,
jaane kaisa asar kar gayi,
mujhko dekh tera muskurana,
aaj bhi wo pal yaad aata hai,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain,

chori chori chupke chupke,
milne jab aati thi mujhse,
nazrein churaake har kisi se,
jab tu mila karti thi mujhse,
ghanto tak hum baatein karte,
ghum aur khushiyaan baanta karte,
un palon ki kuch baatein hain,
jo aaj bhi mujhko yaad aate hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain,

pagal banke milta tha tujhse,
hosh na rehta tha ek pal ka,
saath jo hota tha kuch pal ka,
mere liye wo jannat sa tha,
baatein jab karti thi mujhse,
jaane kahaan main kho jaata tha,
shahad si meethi baatein teri,
jo aaj bhi mujhko yaad aate hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain,

sang beeta wo waqt tha aisa,
kam tha lekin tha wo pyara,
kabhi kabhi ye sochta hoon main,
kaash wo waqt wapas laa pata,
kuch palon ki khushiyaan dekar,
jaane kahaan wo aaj kho gayi,
un dino ki kuch yaadein hai,
jo aaj bhi mujhko yaad aate hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: April 09, 2010, 10:55:20 PM »
Reply with quote
Wah! Bahut Khoob likha hai aap ne Kapil Ji
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: April 09, 2010, 10:58:32 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Rajesh ji... aap sab ki taarife hi hain jo aur likhne k liye protsaahit karti hain... bahut bahut shukriya Rajesh ji...!!!

Wah! Bahut Khoob likha hai aap ne Kapil Ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: April 09, 2010, 11:05:27 PM »
Reply with quote
 Welcome Banner
Kapil Ji
Logged
neelgold
Guest
«Reply #4 on: April 09, 2010, 11:33:32 PM »
Reply with quote
Kapil "kya baat hai "

Mynd Blowing ........
U knoe gud abt ur writing Ur evry poem tells a story ...

jst "KAMAL JI KAMAL"

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 happy3
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: April 10, 2010, 10:54:35 AM »
Reply with quote
Thanx a lot Neel.... bahut bahut shukriya... haan sach hai meri har kavita ek kahani hoti hai...aur main isi wajah se koshish karta hoon ki simple words use karun taaki jo padhe use asaani se samajh me aa jaye... meri kavita ko waqt dene k liye bahut bahut shukriya Neel...thanx a lot...!!!

Kapil "kya baat hai "

Mynd Blowing ........
U knoe gud abt ur writing Ur evry poem tells a story ...

jst "KAMAL JI KAMAL"

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 happy3
Logged
cara
Guest
«Reply #6 on: April 10, 2010, 02:25:55 PM »
Reply with quote
Wah kya baat hai     Klaskar ji........



Wo beete lamhe yaad aate hai
pal pal mujhe satate hai
tu toh chod gayi mujhko yaadon mein jeene ke liye
kabhi yeh socha kya tere bin ham jee paate hai...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: April 10, 2010, 08:33:24 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Cara ji...!!!
Aur aapne bhi baut khoob likha hai...!!!

Wah kya baat hai     Klaskar ji........



Wo beete lamhe yaad aate hai
pal pal mujhe satate hai
tu toh chod gayi mujhko yaadon mein jeene ke liye
kabhi yeh socha kya tere bin ham jee paate hai...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: April 10, 2010, 08:40:28 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Shihab ji...!!!

Achchi Koshish Ki Hai Aapne Klaskar Ji
Haal e Dil Ko Lafzon Mein Pirone Ki


Khush Rahiye...


~Shihab~

Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: April 10, 2010, 08:54:32 PM »
Reply with quote
Wah Wah Kapil dost...Khamosh kar dia mujhe..mere dil ki awaz likh di apne yeh nazm main...woh beete lamhe yaad ate hai, woh guzre zamane yaad ate hai...sach pucho toh yeh do lines gun guna raha hoon main...kuch likhne ko mann kar raha hai mager apki nazm itni khubsoorat hai ke main kya kahoun..khair koshish karta hoon...

Woh beete lamhe yaad ate hai,
Jab hum tum ek the,
Ghum ka pata bhi nahin chalta tha,
Zindagi teri agosh main rehti thi,
Dil khushi se jhumta tha,
Mohobat ka jaise ek nasha tha mujh par,
Mager aj toh bas,
Woh guzre zamane yaad ate hai...

Woh beete lamhe yaad ate hai,
Jab hum tum ghanton ko baatein kiya karte the,
Waqt ka pata nahin chalta tha,
Aj zindagi kate nahin kat'ti,
Jaise main ruk sa gaya hoon,
Woh daur tha jab Rahim; Rahim bana tha,
Mager aj,
Woh guzre zamane yaad ate hai...

Kya tha aur kya hogaya,
Roshni ko marr andhere main dhal gaye,
Tumhe toh hum jaise hazaron miljaenge,
Hume tum jaise kabhi nahin milega,
Tum the toh sab tha,
Aj nahin ho toh kuch bhi nahin hai,
Kuch... bhi nahin,
Yakeen mano,
Kuch bhi nahin!!
Woh guzre zamane yaad ate hai...


Main sirf lavzon ko jhoda hai...dil ki pukar hai yeh...janta hoon, Dost ki tarha khubsoorat toh nahin likh paya mager dil se likha hai...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: April 10, 2010, 09:21:46 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Rahim bhai hamari kavita ki itni jyada taarif karne k liye...aur aapke hothon pe hamare geet hain isse jyada aur kya chahiye hume.... bahut bahut shukriya Rahim bhai... tahe dil se aapka shukriya adaa kar raha hoon main...

aur aapne bhi bahut khoob likha hai. dil se nikli hui awaaz aur hmein pasand na aaye aisa ho sakta hai kya ? aur aap tulna q kar rahe hain. aapke beete lamhe aur hamare beete lamhe alag the. bas ek hi baat dono me ek si hai ki wo dono lamhe bahut khoobsurat the. aur un lamho ko aapne bahut khoobsurti se apne shabdon me pesh kiya hai. bahut khoob Rahim bhai bahut khoob....!!!

kuch pal yun haseen hote hain,
rokna chaho to rukte nahi hain,
ek roz wo huye the apne,
par aaj wo hamare nahi hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo guzre zamane yaad aate hain...

Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: April 11, 2010, 08:36:07 AM »
Reply with quote
Bahaut acha likha hai Kapil dost phir se apne Applause

Teh dil se shukriya Kapil dost! Haan woh lamhe wakei khubsoorat the..bahaut...woh lamhon ne hi toh Rahim ko Rahim banaya hai...Jeena seekhaya hai..mohobat ka matlab seekhaya hai... par aj... sad5


Ankhein bhar jati hai askhon se,
Dil bhar ata hai dard se,
Saha bahaut hai maine pane ke bajae,
Kimat chukayi hai mohobat ki,
Sab manzoor hai ager usse paa loun main,
Wakei woh beete lamhe bahaut yaad ate hai,
Woh guzre zamane yaad ate hai...
Logged
neelgold
Guest
«Reply #12 on: April 11, 2010, 01:59:56 PM »
Reply with quote
WAh WAh!!!!!!!!
Gud Very Very Gud both Rahim Ji & kapil .......
Too GUDDD
Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: April 11, 2010, 05:39:52 PM »
Reply with quote
Shukriya Neel jee!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: April 11, 2010, 06:52:41 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Neel...!!!

WAh WAh!!!!!!!!
Gud Very Very Gud both Rahim Ji & kapil .......
Too GUDDD
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:20:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer