Wo beete lamhe yaad aate hain

by klaskar on April 09, 2010, 10:41:40 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 27905 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #15 on: April 11, 2010, 06:54:34 PM »
Reply with quote
Bahut khoob likha hai aapne Rahim bhai... bahut mohabbat hain aapke alfaazon me... bahut dard hai....

aur saath hi bahut bahut shukriya ...

kuch uski adaon ka yun nasha tha humko,
ki uski yaad me raato ko neend nahi aati thi,
neend to aaj bhi nahi aati,
fark bas itna hai ki wo aaj hamare nahi hain,
wo bas hamare khwaabo me aate hain,
kya kahen aapse ki aaj wo kitna yaad aate hain,
sach me wo humein bahut yaad aate hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo guzre zamane yaad aate hain...


Bahaut acha likha hai Kapil dost phir se apne Applause

Teh dil se shukriya Kapil dost! Haan woh lamhe wakei khubsoorat the..bahaut...woh lamhon ne hi toh Rahim ko Rahim banaya hai...Jeena seekhaya hai..mohobat ka matlab seekhaya hai... par aj... sad5


Ankhein bhar jati hai askhon se,
Dil bhar ata hai dard se,
Saha bahaut hai maine pane ke bajae,
Kimat chukayi hai mohobat ki,
Sab manzoor hai ager usse paa loun main,
Wakei woh beete lamhe bahaut yaad ate hai,
Woh guzre zamane yaad ate hai...
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #16 on: April 14, 2010, 10:29:49 AM »
Reply with quote
bahut achhe . Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #17 on: April 14, 2010, 05:27:09 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Suresh ji...!!!

bahut achhe . Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #18 on: April 14, 2010, 07:32:39 PM »
Reply with quote
Bahut khoob likha hai aapne Rahim bhai... bahut mohabbat hain aapke alfaazon me... bahut dard hai....

aur saath hi bahut bahut shukriya ...

kuch uski adaon ka yun nasha tha humko,
ki uski yaad me raato ko neend nahi aati thi,
neend to aaj bhi nahi aati,
fark bas itna hai ki wo aaj hamare nahi hain,
wo bas hamare khwaabo me aate hain,
kya kahen aapse ki aaj wo kitna yaad aate hain,
sach me wo humein bahut yaad aate hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo guzre zamane yaad aate hain...


Shukriya Dost...

Dard aur mohobat ne hi toh likhna seekhaya hai...Aur haan, lavz toh apke bhi inn dono ehsaason main doobe hue hote hai...

Bahaut acha likha hai apne...Main har line ke baad wah wah kar raha tha...kya line likhi hai ke woh aj humara nahin... Applause Dil ko choo gaye dost! Applause


Taraste hai hum uski ek jhalak ke liye,
Tadapte hai hum uske dil ki chaun ke liye,
Kyun woh chorr gaya mujhe beech raaste main,
Sab itna haseen lagta tha jab woh tha saath,
Wakei marte hai hum aj kal woh zamane ke liye,
Woh beete lamhe yaad ate hai,
Woh guzre zamane yaad ate hai...

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #19 on: April 14, 2010, 09:59:57 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya bhai. Apne bhi bahut hi khoobsurat likha hai. Unki yaadon ka rang hi kuch aisa hai ki uske saamne har rang feenka pad jaata hai...

bhulaake saari duniya bas uske the hum,
saath hote the to bas haste the hum,
aisa asar tha uski baaton me ki,
har gham me bhi muskurate the hum,
aaj na to wo hai na uski baatein hain,
aur na hi hum aajkal muskurate hain,
kaise bataun tumse ae mere dost,
wo beetey lamhe bahut yaad aate hain,
sach kehta hoon Rahim bhai,
wo guzre zamane bahut yaad aate hain...

Shukriya Dost...

Dard aur mohobat ne hi toh likhna seekhaya hai...Aur haan, lavz toh apke bhi inn dono ehsaason main doobe hue hote hai...

Bahaut acha likha hai apne...Main har line ke baad wah wah kar raha tha...kya line likhi hai ke woh aj humara nahin... Applause Dil ko choo gaye dost! Applause


Taraste hai hum uski ek jhalak ke liye,
Tadapte hai hum uske dil ki chaun ke liye,
Kyun woh chorr gaya mujhe beech raaste main,
Sab itna haseen lagta tha jab woh tha saath,
Wakei marte hai hum aj kal woh zamane ke liye,
Woh beete lamhe yaad ate hai,
Woh guzre zamane yaad ate hai...


Logged
dead heart
Guest
«Reply #20 on: April 17, 2010, 11:29:33 AM »
Reply with quote
Applause Applause

Woh jab the humare saath toh dard tha hi nahin zindagi main,
Woh kya chorr gaye mujhe,
Aisa lagta hai ke asmaan se ghir gaya main,
Jism toh nahin mager dil zaroor tukde tukde hogaya,
Ab toh sada khamosh rahega yeh dil mera,
Aj mager ek tadapti awaz se kehta hai tujhe ae Dost,
Woh lamhe yaad ate hai,
Woh guzre zamane yaad ate hai!!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #21 on: April 17, 2010, 09:18:26 PM »
Reply with quote
Shukriya Rahim bhai.. aur aapne bhi bahut khoob likha hai...

dil ro raha tha par chehre pe muskaan thi uske,
kehna chahti thi kuch par hothon pe khamoshi thi uske,
uske un aasuon ki boonden aaj bhi mujhko dikh jaate hain,
uski wo khamoshi mere kaano me kuch keh jaati hai,
wo beete lamhe yaad aate hain,
haan dost wo guzre zamane yaad ate hain...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #22 on: April 18, 2010, 02:32:50 PM »
Reply with quote
Applause Applause

Honth khamosh rahe uske mager nigahein sab keh deti hai,
Ankhon main mohobat dikti hai mujhe,
Mager uske lab kehte hai mohobat nahin tumse,
Pata nahin kispe yakeen karoun main,
Tadap kar kehta hoon,
Woh beete lamhe yaad ate hai,
Woh guzre zamane yaad ate hai...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #23 on: April 18, 2010, 08:08:01 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya dost.... aur bahut khoob likha hai aapne Rahim bhai... bahut khoob...!!!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #24 on: April 19, 2010, 12:43:20 PM »
Reply with quote
Shukriya Dost!
Logged
neelgold
Guest
«Reply #25 on: April 19, 2010, 11:47:21 PM »
Reply with quote
Bhut ache ja rehe ho dono .....
Khoob mehfil jama rakhi hai ....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #26 on: April 19, 2010, 11:53:14 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Neel ji...waise ye dard ki mehfil hai isliye jitni jaldi khatam ho jaaaye achcha hai... !!!

Bhut ache ja rehe ho dono .....
Khoob mehfil jama rakhi hai ....
Logged
neelgold
Guest
«Reply #27 on: April 20, 2010, 12:05:20 AM »
Reply with quote
To kar do na finish ........

Jst rembr... keep smiling alwyz
Logged
filu
Guest
«Reply #28 on: November 17, 2011, 04:23:30 AM »
Reply with quote
Wah kya baat hai     Klaskar ji........



Wo beete lamhe yaad aate hai
pal pal mujhe satate hai
tu toh chod gayi mujhko yaadon mein jeene ke liye
kabhi yeh socha kya tere bin ham jee paate hai...
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 09:36:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer