bilkul sach hay or usi larki ki zabani bayan kar rahi hoon jisay pyar kabhee samajh hi nahi aya.....or aghla insaan bewafa lagh gya
*********************************
Woh muhabat ko peristish ka maqam detta tha
Aur guzrey qisson ko ibadat ka darja samaghta tha
Kehta tha muhabat meen koi gharz posheeda naheen hotti
Muhabat to begharz aur lafani hotti hey
Kuch ajjeb falsafa muhabat meen us ka tha key
Woh meri muhabat ka talib bhi tha
Aur mein usey matloob bhi na thi
Kehta tha key meen us ki rooh meen gazb hoon aisey
Key mujh ko panney ki us ko hasrat bhi naheen
Ajeeb shakhs tha kuch ajjeb se us ki kahani thi
Yeh dor ab aisi muhabatoon ka naheen raha
Millan key baghair muhabatoon ka kia tassawer hey
Deed key baghair chahatoon ka kia rang hey
Yeh dor to faqt aghraz pey mabni hey
Meru muhabat bhi sirf char din ki kahani thi
Koi garri aik hee station pey hamesha naheen rukti
Waqt key sath khialat badaltey gatey heen
Muhabat baqqi rehti hey mehboob badaltey jatey heen
Mein ney chaha key khialat us key badal dallon aur
Muhabat ki haqeeqi tasweer dikha doon us ko
Woh muhabat ka pujari tha meen ney
Us ko tanhai ki saza dey dalli
Mujhey yaqqn hey woh sota to ho ga magar
Neend us ki ankhoon mein na utarti ho gee
Mehfal men woh muskarata to ho ga magar
Us tabassum men ik tees see uthti ho gee
Ankh meen aansoo to nazar na atey hoon gey
Palkoon taley ik barish zarror hotti ho gee
Meri yaad to us ki khon ki gardish key saath thi
Dil dharakta to ho ga magar ik aah bhi nikalti hoo gee
Kion sochto hoon yeh sab kuch meen
Jo taaluq tha woh to meen ney toor dia
Woh zinda rahey na rahey mujheu is sey kia
Us ki saans rukey ya chaley mughey kia lena
Merey liey to faqt yehi kaafi hey key
Meen aik dunia dar larki aur
Woh
??