Yaad teri aati hai

by Naziya Tahera on January 13, 2009, 07:25:08 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3154 times)
Naziya Tahera
Guest
Reply with quote
Shaam jab bhi dhalti hai, Yaad teri aati hai
Aarzoo machalti hai, Yaad teri aati hai
 
Narm narm bistar hai, need par nahin aati
Tanha rooh jalti hai, Yaad teri aati hai
 
Jalte jalte raaton ko, ho gayee Sehar apni
Sham-e jaan pighalti hai, Yaad teri aati hai
 
Khushbu bhini phoolon ki,Sa.ns me.n mahakti hai
Jab Saba ye chalti hai, Yaad teri aati hai
 
Subh ka haseen manzar, Kya suhana hota hai
Dhoop jab nikalti hai, Yaad teri aati hai
 
Kyoon hame.n rulate ho ashk khoon ke hardam
Kya hamari ghalti hai ?, Yaad teri aati hai
 
Intezar kar kar ke, Naziya ye haalat hai
Jaan ab nikalti hai, Yaad teri aati hai !
 
By me--( Naziya )
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
-Teri Yaad Bohot Aati Hai- by Meena is back in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
teri yaad aati hai. . . by tinda in Shayri for Khumar -e- Ishq
Teri Yaad Aati Hai by angel4u in Shayri-E-Dard
Jab bhi teri yaad aati hai by deepika_divya in Shayri for Khumar -e- Ishq
~ ~ Us Waqt Teri Yaad Aati Hai ~ ~ by angel4u in Shayri-E-Dard
abdulqadeer
Guest
«Reply #1 on: January 13, 2009, 07:32:36 AM »
Reply with quote
masha allah kya likha hai janab puri zindagi jaise eak ghazal ka roop de diya apne subhan allah !! u will be great shayara in coming days !!

Qadeer Toopchi
Logged
cara
Guest
«Reply #2 on: January 13, 2009, 08:12:02 AM »
Reply with quote
kya baat hai,bahut hi badiya likha hai...naziya ji.....

raat ho,din ho, subah ho ya sham,
ab toh ek hi hai kaam,YAAD TERI AATI HAI.
Logged
deewaani
Guest
«Reply #3 on: February 03, 2009, 12:22:08 PM »
Reply with quote
har saans lenay k saath, yaad uski aati hai
kya karoon bhool jaaun usko kaisay
sachi mohabbat ki hai, ye kasoor hai hamaara
kitna pyaar hai us say bataun usko kaisay
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 03, 2009, 12:24:23 PM »
Reply with quote
Bohat Bohat Achche Naziya Didi,.
Logged
Naziya Tahera
Guest
«Reply #5 on: February 08, 2009, 07:53:26 AM »
Reply with quote
masha allah kya likha hai janab puri zindagi jaise eak ghazal ka roop de diya apne subhan allah !! u will be great shayara in coming days !!

Qadeer Toopchi

Shukriya Abdul Qadir Sahab.
Allah aapki dua qobool kare.
Jazakallah.
Logged
Naziya Tahera
Guest
«Reply #6 on: February 08, 2009, 07:55:28 AM »
Reply with quote

Shukriya Cara ji.

kya baat hai,bahut hi badiya likha hai...naziya ji.....

raat ho,din ho, subah ho ya sham,
ab toh ek hi hai kaam,YAAD TERI AATI HAI.
Logged
Naziya Tahera
Guest
«Reply #7 on: February 08, 2009, 07:58:47 AM »
Reply with quote
Bahot khoob likhti hain aap Deewani ji
Aapka eik eik harf batata hai ki aap kisi ki Deewani hain.

har saans lenay k saath, yaad uski aati hai
kya karoon bhool jaaun usko kaisay
sachi mohabbat ki hai, ye kasoor hai hamaara
kitna pyaar hai us say bataun usko kaisay
Logged
Naziya Tahera
Guest
«Reply #8 on: February 08, 2009, 08:01:15 AM »
Reply with quote
Bohat Bohat Achche Naziya Didi,.
[/quote

 Shukriya janasheen..
Allaah tumhen khush rakhe , aabaad rakhe.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #9 on: February 08, 2009, 08:07:49 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Naziya Ji
Logged
Naziya Tahera
Guest
«Reply #10 on: February 09, 2009, 03:51:23 PM »
Reply with quote
Hausla afzaaii ke liye shukriya Rajesh ji
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #11 on: February 10, 2009, 01:12:33 PM »
Reply with quote
GHAYEL se ziyada uski yado ko tune chaha pagli
Tajjub kaisa jo waqt be_waqt tere paas chali jati hain

                        -Sajid Ghayel-
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #12 on: February 10, 2009, 01:16:39 PM »
Reply with quote
wah wah sajid sahab acha hai aur naziya saheba ka to jawab hi nahi !!

Ab kissi paid ke sa-a-me baitt bhi ja "Qadeer"
yun dar-ba-dar bhatakne se ghar nahi milta !!

Qadeer Toopchi
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #13 on: February 14, 2009, 06:32:51 AM »
Reply with quote
Naziya  Saheba

Adaab

Mashallah se khoob likhti hain, thoodi se ashar per tawwajeh de ker aur pur maana banene ki zahmat ker lain to kafi asani ho jaye gee
aap ke maqte mein hai ki jagah huyee
ya yun likhdoon
ker ker ke intezaar naziya yeh halat huye
kuinker nikle yeh jaan yaad teri aati hai



shukria

javed
Logged
rawattanha
Guest
«Reply #14 on: February 14, 2009, 06:55:16 AM »
Reply with quote
Shaam jab bhi dhalti hai, Yaad teri aati hai
Aarzoo machalti hai, Yaad teri aati hai
 
Narm narm bistar hai, need par nahin aati
Tanha rooh jalti hai, Yaad teri aati hai
 
Jalte jalte raaton ko, ho gayee Sehar apni
Sham-e jaan pighalti hai, Yaad teri aati hai
 
Khushbu bhini phoolon ki,Sa.ns me.n mahakti hai
Jab Saba ye chalti hai, Yaad teri aati hai
 
Subh ka haseen manzar, Kya suhana hota hai
Dhoop jab nikalti hai, Yaad teri aati hai
 
Kyoon hame.n rulate ho ashk khoon ke hardam
Kya hamari ghalti hai ?, Yaad teri aati hai
 
Intezar kar kar ke, Naziya ye haalat hai
Jaan ab nikalti hai, Yaad teri aati hai !
 
By me--( Naziya )


niziya di bahut khub

shaam jab bhi dhalti hai yaad teri aati hai
raat hote hi saanson mein uttar jaati hai

shab yaadon mein katti, neend kise aati hai
shaam shab mein dhalti hai yaad teri aati hai

hota nahin asar tujh par ey mohabat
rota hun har pal yaad teri aati hai

zindagi har pal khwaab tera dikhaati hai
kya kasoor hai joh yaad teri aati hai


Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:22:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer