<>*Yakeen aata nahin*<>

by *KasaK*....Dil Ki on October 14, 2010, 04:16:55 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1861 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
Reply with quote
<>*Yakeen aata nahin*<>


Sunne me bht pyaari hai ye tumhari baatein
Hakikat me na jane kyun inpe yakeen aata nahin
Mana k chahte ho tum hume behisaab magar
Dil se ye kal ki judaai ka dar mere jata nahin

Pehchan loge tum mujhe meri baton se  meri aahut se
Lekin kyun iss baat ko ye mera dil manta nahin
Gunjengi awaaz meri jot ere kaanon me ee sanam
Uss waqt meri awaaz itni surili to hogi nahin

Umra ka asar hoga meri baton pe meri saanson pe
Inme wo pehle si bheeni mahek hogi nahin
Kaise mehsus kar paoge tum mere pairon ki aahut
Inme wo pehle si chanchal khanak hogi nahin

Chaahut hai tumhe ye hum aaj bhi maante hain lekin
Kal bhi iss tarah deewane hoge tum iska yakeen aata nahin
Bht dekhe deewane kasak ne jo karte hain mahobbat ka daawa
Lekin *KasaK* ko koi apne *Hriday* me zyada din chhupa paya nahin…!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ye Yakeen aaj bhi Nahin by yasir_sensitive in Ghazals
tum ko tehwaar manana hi nahin aata he by khalidrawat in Occassion Specific Poetry
{Hamein Jeena Nahin Aata} by angel4u in Shayri-E-Dard
QARAAR AATA NAHIN HAI by saahill in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
yakeen nahi aata........... by Dineshkumarjonty in Shayeri for Dard -e- Bewafai
cara
Guest
«Reply #1 on: October 14, 2010, 04:50:36 AM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI         KASAK...DIL KI JI....

UMRA BEET GAYI TUMKO DEKHE, AAJ DEKHA TUMKO TO AISA LAGA
JAISE DIKHTI THI PEHELE TUM, AAJ BHI TUM ME KOI FARAK NAHIN
JAISE PANI KI JAWANI KABHI JAATI NAHIN
WAISE HI HAI TERI JAWANI MUJHKO "YAKIN AATA NAHIN"
WO KAISA "HRIDAY" HOGA JO IS "KASAK" KO RAKH PATA NAHIN....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: October 14, 2010, 08:44:33 AM »
Reply with quote
No Comments.... likhne ki aur kitni taarif karun.. aajkal shabd kam pad jaate hain.... bas taaliyon se hi kaam chalaa lijiye aur hamaara jawaab padh lijiye...

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

baat ye sach hai ki baaton se kisi ko samjhaaya nahi jaata,
jhoote kasmon aur vaadon se pyaar kabhi nibhaaya nahi jaata,
agar yakeen hain tumhe meri mohabbat pe to maan lo ye baat,
tumhaare "Hriday" se har kisi pe apna dil lutaaya nahi jaata,

kai haseen chehre aaye hain meri zindagi me aur chale gaye,
kisi ne khela mere dil se to koi mere paison ko uda gaye,
jab na raha ye "Hriday" unka kisi bhi kaam ka unke liye,
wo sangdil badi bedardi se mujhse apna daaman chhuda gaye,

na socho ki main badal gaya hoon zamaane ki thokrein khaake,
koshish karunga ek baar fir dil-o-jaan se mohabbat nibhaake,
na ho aetbaar agar tumhe meri mohabbat pe, mere vaadon me,
chhod jaana tum bhi mujhe mere haathon se apna haath chhudake,

ek "kasak" si uth_ti rahegi "Hriday" me har dhadkan ke saath,
ki kyun na mil paaya humein pyaar aur kisi humdum ka saath,
har baar chot hi khaai hai maine bepanaah mohabbat kar ke bhi,
kyun chhod jaata hai har koi nibhaake kuch lamhon ka saath,

ye na socho ki main bhool jaunga tumhe tumhaari baaton ko,
dil me chhupaaake rakhunga ta_umra main tumhaari yaadon ko,
kya hua agar tumhaari aawaaz badal gayi, chehra badal gaya,
tumhe pehchaan lunga duur se mehsoos karke tumhaare saanson ko,

"Kasak" to "Hriday" ki hai wo Hriday ki rahegi hamesha,
"Kasak" jo uth_ti hai mere "Hriday" me wo rahegi hamesha...
Logged
vikas tati
Guest
«Reply #3 on: December 31, 2011, 09:47:53 AM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI         KASAK...DIL KI JI....

UMRA BEET GAYI TUMKO DEKHE, AAJ DEKHA TUMKO TO AISA LAGA
JAISE DIKHTI THI PEHELE TUM, AAJ BHI TUM ME KOI FARAK NAHIN
JAISE PANI KI JAWANI KABHI JAATI NAHIN
WAISE HI HAI TERI JAWANI MUJHKO "YAKIN AATA NAHIN"
WO KAISA "HRIDAY" HOGA JO IS "KASAK" KO RAKH PATA NAHIN....

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:54:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer