yeh anjali ki kahani hai...

by ANJALI33 on September 14, 2006, 06:33:19 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 5622 times)
ANJALI33
Guest
Reply with quote
[/b]
Sooni si zindagi mein meri is tarah aayi bahar,
dher saare sapne aur khushiya laayi hazaar
Armaano ke pankh kholkar udne laga yeh dil,
sapno se pyara lagne laga sansar

Khuda se jo bhi maanga tha maine,
woh sab jaise mil gaya
Mere gulshan mein jaise,
Har ek gul kjhil gaya

Par nadaan the ham,
ye jana hi nahi
Ki ye khushiya kuch palon mein,
kho jayegi kahin

Phir soona sa ho gaya
apna yeh aashiyana
Baaki tha toh bas aankho se,
ashkon ko bahana

Toot kar bikhar gaye saare sapne pyar ke,
Sheeshe ke the saare waade yaar ke
Zindagi mein dekhe the dukh pehle bhi,
Par har pal na mare the pehle aise haar ke

Sochte hai ke ab jo hua
uske peeche koi majboori hogi
Khuda ne kuch sochkar hi
tay kii yeh doori hogi

Yu milkar bichadne se achcha,
ham akele hote toh bhi na darte
Agar pata hota kismat ki is berehmi ka,
toh ham bhi kabhi mohabbat na karte !!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kahani........ by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
Anjali ki kahani.. by deepika_divya in General Stories « 1 2 ... 6 7 »
Shardha Anjali to B R Chopra ji by Pooja in Chit - Chat & General Discussion
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: September 14, 2006, 08:51:33 AM »
Reply with quote
good  job  Anjali.........   aap  ne  bahot accha likha...  keep  it  continue......
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #2 on: September 15, 2006, 02:26:46 PM »
Reply with quote
kya baat hai bahut hi umda bahut hi umda....


behtareen
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3 on: September 23, 2006, 03:27:59 PM »
Reply with quote
aapki yaad ne raat bhar sone na diya
teri oos baat ne mujhe rone na diya
jeene ki koi chahat to bachi na thi
par tere intjaar ne marne na diya




bahut achche anjali
Logged
ANJALI33
Guest
«Reply #4 on: September 24, 2006, 05:55:45 AM »
Reply with quote
THANK YOU SALIL..AUR AAPNE BOHOT ACHA LIKHA
Logged
ANJALI33
Guest
«Reply #5 on: October 09, 2006, 09:57:48 AM »
Reply with quote
THANKS MOHSIN,WAHEED AND SALIIL...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: October 09, 2006, 04:53:55 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Anjali Nice One Aise Hi Likhte Raho,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: October 09, 2006, 04:59:52 PM »
Reply with quote
Meri Kahaani,. Na Sun Saka Koi,..
Mera Haal Dekh Kar Har Koi Muskuraata Raha,..

Roshni Badi Hai Mehfilon Isliye "Jaanasheen".,
Bikhra Tha Mera Ashiaana Roshni Ke Liye Har Koi Jalaata Raha,..

Ab Kya Shika Karoon Main Zamaane Waalon Se Sab Mera Kasoor Tha,..
Main Hi Tha Jo Uske Liye Apne Sab Nishaan Mitaata Raha,..

Aaj Uske Hi Charche Hote Hain Har Kisi Ki Zabaan Par,..
Wo Main Hi Tha Jo Uske Liye Chahat Ke Geet Gaata Raha,..

Ab Na Koi Mera Humsafar Hai Na Koi Humraaz "Jaanasheen".,.
Main Akela In Hawaaon Aur Nadion Ko Khilaata Raha,..

Sab Dekhawe Ki Hasi Rakh Kar Labon Par Mujhse Mila Karte The,..
Main Tha Jo Sab Ki Khushi Ke Liye Apne Pyaar Ko Bhoolaata Raha,..

Ab Kisi Ko Yaad Nahi Hai Kahaani Meri, Afsos Hai Mujhe Bhi"Jaanasheen",.
Zamaane Kee Saath Saath Mera Apna Bhi Mujhe Aaj Sataata Raha,..

__________________________-Azeem-________________________

Love U Jaanasheen,..
Logged
gumnam
Guest
«Reply #8 on: October 21, 2006, 07:29:52 AM »
Reply with quote
Quote from: "ANJALI33"
[/b]
Sooni si zindagi mein meri is tarah aayi bahar,
dher saare sapne aur khushiya laayi hazaar
Armaano ke pankh kholkar udne laga yeh dil,
sapno se pyara lagne laga sansar

Khuda se jo bhi maanga tha maine,
woh sab jaise mil gaya
Mere gulshan mein jaise,
Har ek gul kjhil gaya

Par nadaan the ham,
ye jana hi nahi
Ki ye khushiya kuch palon mein,
kho jayegi kahin

Phir soona sa ho gaya
apna yeh aashiyana
Baaki tha toh bas aankho se,
ashkon ko bahana

Toot kar bikhar gaye saare sapne pyar ke,
Sheeshe ke the saare waade yaar ke
Zindagi mein dekhe the dukh pehle bhi,
Par har pal na mare the pehle aise haar ke

Sochte hai ke ab jo hua
uske peeche koi majboori hogi
Khuda ne kuch sochkar hi
tay kii yeh doori hogi

Yu milkar bichadne se achcha,
ham akele hote toh bhi na darte
Agar pata hota kismat ki is berehmi ka,
toh ham bhi kabhi mohabbat na karte !!!
bahut khub anjali...welcome...achha likha hai...

Logged
Yogi verma
Guest
«Reply #9 on: June 10, 2017, 08:29:32 AM »
Reply with quote
Very good anjale
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 01:40:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer