~Yeh wafa ka silaa hai ~

by honeyrose on January 30, 2008, 09:29:58 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1440 times)
honeyrose
Guest
Reply with quote
Pyar na aata tha mujhe aapne  sikha diya..
pyaar mein itna aapne tadpa sikha diya..

Aaj kal udas reh ney lagey hai hum..
Rone laghe to kabhi aapne rula diya..

Yeh wafa ka silaa hai aapne sikha diya..
Yeh dard aap ney diya hai..

Yeh bahut hai ki unki chahat hai zindagi..
Hum  aapke pyaar mein dubh rahe hai...

Tammana sey nahi tanhai sey dartey hai
Pyaar sey nahi ruswaai-e-dard sey dartey hai

Aapko milne ki to bohat chahat hai humhe
Par milne ke baad judaai sey darte hai.

Aapka dil todna humari khwaish nahi..
Dil mein aapko basa kar hum  bhulate nahi..



 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hum ko yeh silaa bhi mohabbat ka mila hai by Zamir Ka Qaidi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Humne Ye Silaa Paaya by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
silaa hota...K_A by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri
wafaa ka kaisa silaa by saahill in Shayri-E-Dard
Taish- WAFA ka silaa aap kya dijiyegaa...!! by ghayal_shayar in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
jassworld
Guest
«Reply #1 on: January 30, 2008, 11:20:59 AM »
Reply with quote
Bhaut khoob honey...!!

Rakhte na thei hum khud pe bhi bharosa,
tum kyon apne saath ki umeed dikha gayi,
gar yuhin jaana tha gum-geen chod kar,
fir kyon humein hansna shikha gayi..!!
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: January 30, 2008, 11:51:07 AM »
Reply with quote
very nice jassworld bohat khoob..

Apni zindagi ki kitaab mein
Apna naam toh likha hota..
Meri khamosh mohabbat ko pehechan liya hota..
Dard-e-gum mein diye hai tanhayian..
Aab zindagi mein judai ke sahare jiye kaise...
Logged
jassworld
Guest
«Reply #3 on: January 31, 2008, 04:58:18 AM »
Reply with quote
shukariya honey....bahut acha likh rahin hain aap..!!

Hum kore kaagzon ki kahani hote,
gar pyar ke harf na tumne dil pe likhe hote,
hum akele hi kaat jaate yeh zindgi ka safar,
jo humraahi tumse zeene-marne ke na vaade kiye hote..!!
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #4 on: January 31, 2008, 07:53:06 AM »
Reply with quote
Shukriya jassworld..

Hum ney manga tha pyaar mein wafa..
Woh kar gayee zindagi koh kafa..
Seh liya har dard humne haste haste..
Wafa zindagi ke bewafai kar gayee...
Mujhe rulakar sapno ke sahare..
Logged
jassworld
Guest
«Reply #5 on: January 31, 2008, 08:44:10 AM »
Reply with quote
Ashkon ka yeh sailab,
meri wafa ka sila hai,
toote dil ke yeh haal,
meri wafa ka sila hai,
Hazaron kosishein kari marne ki,
par ab tak hoon zinda,
meri wafa ka sila hai..!!

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: January 31, 2008, 08:58:54 AM »
Reply with quote
Bohat acha hai jassworld..


Wafa karthe toh kyu juda hothe..
wafa key naam peh kyu mohabatt karthe.
wafa mein hum ney ki pyaar ki qurbani..

wafa key naam peh kyu loote dil ke arman.
wafa karthe toh kyu juda hothe..
wafa karthe toh kyu rukhsat hothe
Logged
rohit rai
Guest
«Reply #7 on: February 07, 2008, 06:32:27 AM »
Reply with quote
both r very gud honey & jass.....both posts r very nice..........

Na zindagi mili na wafa mili............
na jaane kyun har khushi hamse khafa mili...........
jhuti muskaan liye apne gum chupate rahe...........
sachi dosti karne ki bhi kya khoob sajha mili.........
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #8 on: February 07, 2008, 06:42:36 AM »
Reply with quote
Very nice rohit rai..

Woh mere liye kuch khaas hai 
Jinke laut aane ki na koi ahaas hai   
Woh hua hai judaa humse hum aise kafa hai unse
Woh nazron se durr hai humse..
Banke dil ki dhadkan mere paas hai..

 
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #9 on: February 07, 2008, 06:55:12 AM »
Reply with quote
Mohaabat mein jitney fasaney baney hain
haqikat mein woh sab adhoore rahey hain
ho majnoo ki chahat ya Shiri ki ulfat
wafa karkey bhi yeh sab kaha mil sakey hain.

mohabbat mein jitne bhi fasaney banenge
zaroori nahin sab mil he sakenge...




Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: February 12, 2008, 04:03:38 PM »
Reply with quote
bahoot khoob honey, jassworld, rohit and zakhmola ji!!
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #11 on: February 13, 2008, 05:11:20 AM »
Reply with quote
Honey ji aapki zindgi ki kitaab sey dhyaan aaya..

Meri Zindagi ab ek kitab
bas khuli kitab he na banke reh jaaye ab
chahta hun main kambhkat
ab ek Anpad bhi pad ley issey
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #12 on: February 25, 2008, 08:35:06 AM »
Reply with quote
Zindagi ko logo ne toh bas khel samajh liya
jisko chaha apna liya jisko chaha thukra diya
pata nahi ye bewafai ye log kaise sahete honge
magar apni wafai par humesha rote honge
in logo ne aisi wafai ki woh bewafa ho gayi
in logo ne aisi izzat di ki unlogo ne inlogo ko baizat kar gayi
magar aisi wafai kisi ne na dekhi hogi
jo chodkar chali gayi uski yaad mein ab bhi wafai karte hai
us bewafa ki yaad mein is wafai ko chod marne ko kahete hai

Aap log kis ko wafai ka sila dikha rahe ho
jisko dikhana tha woh toh dekhna nahi chahti ya chahta
tabhi toh kahete hai "ye aap logo ki wafai ka sila hai"

***************************************Muskan********************
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: February 25, 2008, 11:28:10 AM »
Reply with quote
Bohot khoob Honey, Jassworld, Rohit, Zakhmola, Muskan and Majid !
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #14 on: February 25, 2008, 11:42:59 AM »
Reply with quote
Shukriya Talat ji, majid ji,muskan, zakhmola .. Usual Smile

Wafa karte rahe aur badle mein kuch na mila..
Ek pyaar bhara nazrana na mila..

Hum dard mein sulagte chale gaye
Aur woh nazar andaz karthe chale..

Ek dard-e-gam mein guzare hai hum..
Iss pyaar ki seema na jaane the hum.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:31:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer