zarraa - ranjish ka hai fasaana

by zarraa on June 07, 2014, 01:12:11 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1141 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
Reply with quote
ye wasl wasl kya hai, jo hijr se bura hai
ranjish ka hai fasaana, unwaan ishq ka hai

be-saakhta naheeN kuchh, kuchh bhii n be-waja hai
kaisa hai ye maraasim, jo rasm par tika hai

mazloom hii hai mulzim, munsif* gawaah bhii hai
kis cheez ka hai daawaa, kaisa muqaddama hai

ulfat ka hum me maanaa, rehta n daur qaayam
phir kis liye musalsal*, nafrat ka silsila hai

maslaa n jaane kya hai, jhagrhaa n jaane kya hai
naaraaz aao ho leiN, sab ki yahi raza hai

suljhaaya is ko jitna, uljhee hai baat utnee
sochaa kuchh aur lekin, kuchh aur keh diya hai

dil bhii mileNge kaise, jab ho anaa ki takkar
neeyat bhale ho achchhee, izhaar par bura hai

aasaan bhi bahaut hai, dushwaar bhi bahaut hai
ye wo ilaaj jis meiN, naasoor hii dawa hai

furqat ki dhamkiyaaN bhii, qurbat ki haiN nishaanee
tark-e-wafa ka keh kar, ahd-e-wafa kiya hai

raah-e-hayaat meiN wo, rehzan bhi rehnuma bhii
saare azaab jis se, us se hi har sila hai

ye pech-o-kham* haiN kaise, ye zer-o-bam* haiN kaise
ye raah zeest kii hai, ye zeest kii nawa* hai

beghaana tu n "zarraa", lekin n raazdaaN bhii
jitna ayaaN hai tujh par, utna chhupa huwa hai


-zarraa

*
munsif = judge
musalsal = continuous
nawa = voice
pech-o-kham = twists and turns
zer-o-bam = low and deep rhythmic sounds
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ranjish hi sahi ........ by chiraaaaaaaaag in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek zara si ranjish se... by diya786 in Shairi - E - Zindagi
Na ranjish kisi se... by faqeer_daljeet in Shairi - E - Zindagi
Nahin ranjish kisi se... by daljeet_faqeer in Shairi - E - Zindagi
Ranjish by Gyan Prakash in Shayri-E-Dard
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: June 07, 2014, 04:36:59 PM »
Reply with quote
waah waah waah bahut khoob
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #2 on: June 07, 2014, 05:28:15 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Zarra saheb. Khubsurat ghazal . Yeh ashaar bahut achhe lage . Dheron mubarakbaad.


furqat ki dhamkiyaaN bhii, qurbat ki haiN nishaanee
tark-e-wafa ka keh kar, ahd-e-wafa kiya hai

raah-e-hayaat meiN wo, rehzan bhi rehnuma bhii
saare azaab jis se, us se hi har sila hai
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #3 on: June 07, 2014, 10:29:02 PM »
Reply with quote
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
bahut khoooooooooooooooob zarra ji
umda peshkash
behad haseen peshkash ke liye rau kubool karein
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #4 on: June 08, 2014, 12:54:22 AM »
Reply with quote
kuch bahut ahche sawaal uthaaye hain aapne saaheb... Usual Smile Waise kaafi alag si is rawaaN ghazal pe meri dili daad aur ek rau qubool farmaaiye...
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #5 on: June 08, 2014, 11:53:07 AM »
Reply with quote
waah waah waah bahut khoob

bahaut bahaut shukriya Saini sahab
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #6 on: June 08, 2014, 01:07:11 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah behtreen peshkash zara dheroooo daaaaaaaaaaadddddddddd kabool kare
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #7 on: June 08, 2014, 03:12:10 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Zarra saheb. Khubsurat ghazal . Yeh ashaar bahut achhe lage . Dheron mubarakbaad.


furqat ki dhamkiyaaN bhii, qurbat ki haiN nishaanee
tark-e-wafa ka keh kar, ahd-e-wafa kiya hai


raah-e-hayaat meiN wo, rehzan bhi rehnuma bhii
saare azaab jis se, us se hi har sila hai


Pazirai aur hausla afzai ka bahaut bahaut shukriya Hasan sahab
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #8 on: June 08, 2014, 09:14:04 PM »
Reply with quote
icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
bahut khoooooooooooooooob zarra ji
umda peshkash
behad haseen peshkash ke liye rau kubool karein


Aap ka tah e dil se mashqoor hooN Suresh ji

Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #9 on: June 08, 2014, 11:13:44 PM »
Reply with quote
kuch bahut ahche sawaal uthaaye hain aapne saaheb... Usual Smile Waise kaafi alag si is rawaaN ghazal pe meri dili daad aur ek rau qubool farmaaiye...

Taish sahab .... bahaut khushi huwee aap ka paighaam dekh kar ... bahaut bahaut shukriya pazirai ka aur rau ka bhi .... aap ko duaein ...
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #10 on: June 20, 2014, 02:15:12 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah behtreen peshkash zara dheroooo daaaaaaaaaaadddddddddd kabool kare


Bahaut bahaut shukriya Jeet ji !!!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #11 on: June 28, 2014, 02:25:14 AM »
Reply with quote

Zarra Sahaab Aadaab ...!

Waah janab kia umda fikr aur gazab ki gehrai hai aapke khayaaloN meiN ...
Bade hi pur asar aur umdaa ashaar rahe janab ...
Behad khoob aur behad laajawaab kalaam kahi hai ...

Is umdaa kalaam par humaari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul
kijiye ...

Likhte rahiye ... bazm meiN apni khoob kalaamoN ke saath aate rahiye ...
Shaad O aabaad rahiye ...

Khuda Hafez ...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:05:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer