AAAh...YE GUM-E-......!!!

by ahmad_rd on February 16, 2006, 02:00:46 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 3437 times)
ahmad_rd
Guest
Reply with quote
Kabhi hum bheegtey haiN chahtoN ki tez barish maiN
Kabhi barsoN nahi miltey kisi halki see ranjsh maiN

tumhi maiN devtaaoN ki koe khoo boo nahi thi warna
kumee koee nahi thee merey andaz-e-parsttish maiN

ye pahley soch lo kaheeN aur bhee tanhaa na ho jana
usey chhoone ki khwahish maiN usey paane ki koshish maiN
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AAAH (ALLAH NA KARE)....... by clicksahil in Shayri for Dard -e- Judai
Aaah Ko Chaahiye Ak Umar Asar Hone Tak by Masoom Shahzada in Mirza Asadullah Baig Khan
urs4evasomdev
Guest
«Reply #1 on: February 16, 2006, 02:14:46 PM »
Reply with quote
very nice ahmed
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #2 on: February 17, 2006, 11:35:02 AM »
Reply with quote
Quote from: "urs4evasomdev"
very nice ahmed

SHUKRIYA  Usual Smile
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #3 on: February 17, 2006, 11:49:29 AM »
Reply with quote
oosey kehna!
abhi tuk dill dharkta hai
abhi tuk saans chalti hai
abhi tuk meri aankhaiN
suhaaney khwab bunti haiN
merey hontoN ki junbsh maiN
tumhara naam rehta hai
abhi baarish ki boondoN main
tumhara piyaar baqi hai
abhi yaadoN ke kantoN se
mera damn uljhta hai
tumhara piyaar seeney maiN
kaheeN abb bhi dharkta hai
hawa abb bhi muwafiq hai
hamarey saath chalti hai
oosey kehna!
judaae ka mosam abhi nahi aaya
muhabt ki kahani maiN
kaheeN per ghum nahi aaaya
muger sub kuchh badlney maiN
Bhla kia dare lagti hai
kisi ki yaad dhalney maiN
bhla kia dare lagti hai
neya soorj niklney maiN
bhla kia dare lagti hai
oosey kehna!
jaldi faislah ker ley
naye rastoN peh chalney maiN
bhla kia dare lagti hai
Logged
Naila
Guest
«Reply #4 on: February 17, 2006, 03:00:39 PM »
Reply with quote
khoob ahmad ,

ahmad faraz ke do asshaar peshe khidmet hain

iss se pehle keh bewafa ho jaa.n
kyo.n na ai dost ham juda ho jae.n

tuu bhi heere se ban geyaa patther
hum bhi kal kiya se kiya ho jaae.n


        ALLAH HAFIZ
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #5 on: February 17, 2006, 03:06:27 PM »
Reply with quote
very nice ahmad ji.......................

rate kat rahi hai karwate badal badal ker ........
intzarr hai kab tu aaye or sawera ho...........
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #6 on: February 18, 2006, 11:36:32 AM »
Reply with quote
Quote from: "Naila"
khoob ahmad ,

ahmad faraz ke do asshaar peshe khidmet hain

iss se pehle keh bewafa ho jaa.n
kyo.n na ai dost ham juda ho jae.n

tuu bhi heere se ban geyaa patther
hum bhi kal kiya se kiya ho jaae.n


        ALLAH HAFIZ


shukria naila ji, Usual Smile

=========================                          
Kitnee qaatil adaa woh lagti thi
Nazar mila ke phir se nazar churane ki

Abhi bhi yaad hai mujhko wo rutthna tera
Alag hi baat thi us pe tujhe manane ki
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #7 on: February 18, 2006, 11:49:28 AM »
Reply with quote
Quote from: "tushar_4u_im"
very nice ahmad ji.......................

rate kat rahi hai karwate badal badal ker ........
intzarr hai kab tu aaye or sawera ho...........


thanks tushar,


ravish ravish pe ghata tergi ki chhai hai
sarapaa apna jalao ke roshni kam hai
Logged
BeNam
Guest
«Reply #8 on: February 19, 2006, 01:17:16 AM »
Reply with quote
bahot achhe Ahmad ji! good going ! Welcome to Yoindia!

Ahaton main unhi ki baat hai,
Kahin chupkar baithe hai,
Her ada main unki kuchh aisi baat hai,
Tnaha katati nahi badi lambi yeh raat hai!
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #9 on: February 19, 2006, 06:09:50 PM »
Reply with quote
Quote from: "BeNam"
bahot achhe Ahmad ji! good going ! Welcome to Yoindia!

Ahaton main unhi ki baat hai,
Kahin chupkar baithe hai,
Her ada main unki kuchh aisi baat hai,
Tnaha katati nahi badi lambi yeh raat hai!



        thanks beNam, Usual Smile
====================
Jaane kya baat hai jaane kya baat hai
neend nahi aati badi lambi raat hain
====================
shaam se aankh meiN nami si hai
    aaj phir aapki kami si hai
====================
Logged
BeNam
Guest
«Reply #10 on: February 19, 2006, 07:39:42 PM »
Reply with quote
bahot hi umada shayari karate ho Ahmad ji!

Raat ka sama aur yeh sard hawa,
Yaad teri dil main ho rahi jawa,
Lut raha mahobat ka jaha,
ab toh kah de tu hai kahan!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: February 20, 2006, 07:12:15 AM »
Reply with quote
Dil ki dharkano ka main sangeet hu
khawabo mai doobi, main manmeet hu
tere hi dil ke main bahoot kareeb hu
ankhon ko band kar ke dekh, mai teri preet hu!!!
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #12 on: February 20, 2006, 08:11:49 AM »
Reply with quote
Quote from: "BeNam"
bahot hi umada shayari karate ho Ahmad ji!

Raat ka sama aur yeh sard hawa,
Yaad teri dil main ho rahi jawa,
Lut raha mahobat ka jaha,
ab toh kah de tu hai kahan!


zarrah nawaazi ka shukriya,
======================
dill ki dharknoN pe
zara ghor tu karo
machltey juzbaat ka
zara shor tu suno
seeney pe haath rakh ke
zara zor se kaho!!!!
keh hum hain kahaN..
abb too he kah de,hum hain kahaN
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: February 20, 2006, 08:19:00 AM »
Reply with quote
wah kaya jawaab diya hai....bahoot khoob ahmad ji!!!

Aaah-yah-gum-e ko khumar-e-ishaq mai le ayye hai
muchalty zazbaato ko, sawaalo mai le ayye hai
palko hamari per, tumko sajaye rakha hai
preet ki, ragini mai samaye rakha hai!!
haya ka parda, lubo se lagaye rakha hai
dil ki dharkano mai, tumko basaaye rakha hai!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #14 on: February 20, 2006, 04:43:26 PM »
Reply with quote
Bahot achhe Pooja ji! Ahmad keep writing aap umada shayar ho! Aapke alfazon main wazan hai!
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 08:08:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer