AAAh...YE GUM-E-......!!!

by ahmad_rd on February 16, 2006, 02:00:46 PM
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Author  (Read 3494 times)
ahmad_rd
Guest
«Reply #45 on: March 17, 2006, 09:58:47 AM »
Reply with quote
are ye kia kaiynath ji aap kuchh likhe beghair he chal di.  
=====================
woh tere nainoN ke teer
aur meri aah-e- dilgeer

rokey hooay hai hum ko
teri zulfoN ki zanjeer

ishq k sholoN maiN jalna
hai parwane ki taqdeer

hum ne tu saja rakhi hai
munMunder main teri tasweer
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AAAH (ALLAH NA KARE)....... by clicksahil in Shayri for Dard -e- Judai
Aaah Ko Chaahiye Ak Umar Asar Hone Tak by Masoom Shahzada in Mirza Asadullah Baig Khan
chitra
Guest
«Reply #46 on: March 17, 2006, 10:19:46 AM »
Reply with quote
ahmad ji
Hosh mein aaiye.............kaiynath ki tasveer sajayi hai......ab to gye aap kaam se.....
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #47 on: March 17, 2006, 03:55:56 PM »
Reply with quote
Quote from: "chitra"
ahmad ji
Hosh mein aaiye.............kaiynath ki tasveer sajayi hai......ab to gye aap kaam se.....


are chitra ji , hum ne kisi ka naam tu nahi liya ,ye tu just aik shayrana koshish hai
aur haaN aik baat aur shayri aur ishq tu hum se meeloN door hai ,sukhen-o-ishq tu kismet waloN ko naseeb hota hai.
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #48 on: March 21, 2006, 06:05:58 AM »
Reply with quote
rakh de tu ager mere dill per dast-e-misihaai
mere jeene ko bohet hai ye andaz-e-dilrubaai

aik hum haiN aur dasti hooe ye shaam-e-tanhai
aik tum aur sheher maiN hazaroN tere tamanaai
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #49 on: March 21, 2006, 09:01:48 AM »
Reply with quote
woh shaam ki vahshet thi keh mera jnooN
parchhayoN ka yooN dewaar per larzaN hona

ye tere furaaq ka aser he tu hai mujh per
sard raatoN maiN khwaboN ka pareshaN hona
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #50 on: March 22, 2006, 03:31:41 PM »
Reply with quote
na janay tum konsi manzil pe ja ke theher gaiy
keh dhoondhna bhe chahooN tu rasta na milay
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #51 on: March 22, 2006, 04:02:33 PM »
Reply with quote
kitne rishtay kitne raahi kitne log
dil k shehr ka aik he basi hota hai
ye sub natay tu bundhn hotay haiN
dil maiN basne wala saathi hota hai
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #52 on: March 25, 2006, 06:59:53 AM »
Reply with quote
andaz-e-wafa aisa zamane ka nahi tha
woh badle ga yooN kabhi socha nahi tha

dukh oos ki judai ka bohet hai liken
dil aaj bhi kehta hai woh jhoota nahi tha
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #53 on: April 04, 2006, 07:44:10 AM »
Reply with quote
woh kasmaiN woh waday
sub yaad haiN mujh ko
wo untootay bandhen
prame ke kachay dhagay
sub yaad haiN mujh ko
bhoolne ko bohet kuchh hai
kaise bhoolooN mugher
teri nigahoN ke shokh isharay
tere woh be-imaan iraday
sub yaad hai mujh ko
haaN
akser mera tujh se kitab mangna
aur bina parhay wapis kerna
woh nadaaN se bhanay
sub yaad haiN mujh ko
haan
tujhe bhi tu intazaar rehta tha
kitaab maiN chhupay khut ka
teri ik kitaab
abb bhi mere paas parri hai
unwaan tha jis ka
"wafa ke taqaazay"
oos maiN likhe afsanay
sub yaad haiN mujh ko
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #54 on: April 17, 2006, 09:38:51 AM »
Reply with quote
mujhe bhoolne walo
tum salamet raho
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #55 on: April 17, 2006, 09:43:42 AM »
Reply with quote
SOCH!

ajeeb baat hai
maiN abhi tuk
oos ke khiyaloN maiN hooN
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #56 on: April 17, 2006, 09:46:51 AM »
Reply with quote
MOHABET!

badan ka kia!
badan mar jatey haiN liken
mohabet zinda rehti hai
mere dil maiN bhi abhi tuk
mohabet ka haseeN ihsaas zinda hai
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:20:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer