Aafat me aa gayee hai

by sidra04 on October 09, 2013, 03:59:16 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 1579 times)
sidra04
Guest
Reply with quote
Aafat me aa gayee hai meri jaan dekhiye,
Mehboob ne pakDe hue haiN kaan dekhiye..

Ammaa jo gayeeN ghar ke dareeche se nikal ke,
chupke se khaa gayee main unka Paan dekhiye.

Duniyaa badal rahi to ye bhi marhale hue,
haivaan se hone lagey insaan dekhiye.

yoon to tumhe bichRe hue beeta hai zamaana,
Ab tak machal rahe mere Armaan dekhiye.

Hum chal paDe haiN ishq ki raahoN me dostoN,
Ab kyaa khabar kathin hai ke Aasaan dekhiye..!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #1 on: October 09, 2013, 04:21:03 PM »
Reply with quote
Mohtarma tak Taish ka salaam pahuNche,

ek muskurahat si aa gayi laboN pe aapki kaavish padh kar, mere khayaal se ise khumaar-e-ishq ke bajaaye hazl men daalna behtar hoga... Mohabbat se jyada to shararat ki boo aa rahi hai is kalaam se... Usual Smile Chupke se khaa gayi main unka paan dikhiye... sahi hai, alag hai aur original hai, yahi khaas baat hai kalaam me.. aage bhi yuNhi likhte rahiye... aur hum mukhatib hote raheNge...!! Usual Smile
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #2 on: October 09, 2013, 04:30:10 PM »
Reply with quote
Aafat me aa gayee hai meri jaan dekhiye,
Mehboob ne pakDe hue haiN kaan dekhiye..
WAAAH WAAH WAAH Clapping Smiley Clapping Smiley
Ammaa jo gayeeN ghar ke dareeche se nikal ke,
chupke se khaa gayee main unka Paan dekhiye.
BOHUT KHOOB Laughing hard Laughing hard
Duniyaa badal rahi to ye bhi marhale hue,
haivaan se hone lagey insaan dekhiye.
SHANDAAR Applause Applause Applause
yoon to tumhe bichRe hue beeta hai zamaana,
Ab tak machal rahe mere Armaan dekhiye.
LAJWAAB Clapping Smiley Clapping Smiley
Hum chal paDe haiN ishq ki raahoN me dostoN,
Ab kyaa khabar kathin hai ke Aasaan dekhiye..!!
ZABARDAST Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
WAAH WAAH SIDRA SAHIBA BOHUT HI UMDA KALAAM
PESH KIYA HAI AAPNE ,,, LAJAWAAAB
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
vb
Guest
«Reply #3 on: October 09, 2013, 04:35:36 PM »
Reply with quote
 Applause
Logged
sidra04
Guest
«Reply #4 on: October 09, 2013, 05:21:32 PM »
Reply with quote
Mohtarma tak Taish ka salaam pahuNche,

ek muskurahat si aa gayi laboN pe aapki kaavish padh kar, mere khayaal se ise khumaar-e-ishq ke bajaaye hazl men daalna behtar hoga... Mohabbat se jyada to shararat ki boo aa rahi hai is kalaam se... Usual Smile Chupke se khaa gayi main unka paan dikhiye... sahi hai, alag hai aur original hai, yahi khaas baat hai kalaam me.. aage bhi yuNhi likhte rahiye... aur hum mukhatib hote raheNge...!! Usual Smile

aapka bahot bahot shukriyaa taish ji... mujhe bahot khushi hui ye jaankar ke aapko ye accha laga.

ar rhi baat sharaarat ki to binaa sharaarat ke muhabbat muqammal kahaan. padhte rahiyega hame.. thanks
Logged
sidra04
Guest
«Reply #5 on: October 09, 2013, 05:22:43 PM »
Reply with quote
WAAH WAAH SIDRA SAHIBA BOHUT HI UMDA KALAAM
PESH KIYA HAI AAPNE ,,, LAJAWAAAB
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


thank you very very much sahel jee. padhte rahiyegaa...

Sidra
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: October 09, 2013, 05:26:49 PM »
Reply with quote
bahut pur lutf kalaam hai . Sidra saheba bahut mubarakbad . Likhti rahye.
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #7 on: October 09, 2013, 05:46:18 PM »
Reply with quote
Aafat me aa gayee hai meri jaan dekhiye,
Mehboob ne pakDe hue haiN kaan dekhiye..

Ammaa jo gayeeN ghar ke dareeche se nikal ke,
chupke se khaa gayee main unka Paan dekhiye.

Duniyaa badal rahi to ye bhi marhale hue,
haivaan se hone lagey insaan dekhiye.

yoon to tumhe bichRe hue beeta hai zamaana,
Ab tak machal rahe mere Armaan dekhiye.

Hum chal paDe haiN ishq ki raahoN me dostoN,
Ab kyaa khabar kathin hai ke Aasaan dekhiye..!!

Bahut Umda.!!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: October 09, 2013, 06:14:43 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
sidra04
Guest
«Reply #9 on: October 09, 2013, 06:26:01 PM »
Reply with quote
Applause

thnkssss vb
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #10 on: October 09, 2013, 06:55:49 PM »
Reply with quote
Aafat me aa gayee hai meri jaan dekhiye,
Mehboob ne pakDe hue haiN kaan dekhiye..

Ammaa jo gayeeN ghar ke dareeche se nikal ke,
chupke se khaa gayee main unka Paan dekhiye.

Duniyaa badal rahi to ye bhi marhale hue,
haivaan se hone lagey insaan dekhiye.

yoon to tumhe bichRe hue beeta hai zamaana,
Ab tak machal rahe mere Armaan dekhiye.

Hum chal paDe haiN ishq ki raahoN me dostoN,
Ab kyaa khabar kathin hai ke Aasaan dekhiye..!!




ha ha ha nice,ma'am this poem shold be either in misallaneous shayri or mazahiya shayari
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #11 on: October 09, 2013, 07:18:03 PM »
Reply with quote
bahot khoooob aapke Rau ki bismillah karen khaas kar is sher ke liye...
Duniyaa badal rahi to ye bhi marhale hue,
haivaan se hone lagey insaan dekhiye.
Rau pesh'e'khidmat hai...

yoon to tumhe bichRe hue beeta hai zamaana,
Ab tak machal rahe mere Armaan dekhiye.

Hum chal paDe haiN ishq ki raahoN me dostoN,
Ab kyaa khabar kathin hai ke Aasaan dekhiye..!!
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sidra04
Guest
«Reply #12 on: October 09, 2013, 08:25:24 PM »
Reply with quote
bahut pur lutf kalaam hai . Sidra saheba bahut mubarakbad . Likhti rahye.

Mashkoor hui main, aapki inaayaton se Siddiqui saahab. Hausla afzaai ke liye aage bhi muntazir rahungee. shukriya
Logged
sidra04
Guest
«Reply #13 on: October 09, 2013, 08:26:50 PM »
Reply with quote
Bahut Umda.!!

ji bahot shukriyaa aapka....
Logged
sidra04
Guest
«Reply #14 on: October 09, 2013, 09:08:53 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob

aapka bahot bahot shukriyaa Saini saahab. aage bhi aapka intzaar rahegaa
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:38:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer