aag paanii me.n lagaa de.nge tum aao to sahii

by divyam on February 21, 2009, 12:43:09 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1623 times)
divyam
Guest
Reply with quote
dosto,

aik Ghazal pesh hai .. jo ki yahaa.n meri pahli Ghazal hai..

**************************************

khol kar dil ko dikhaa de.nge tum aao to sahii
gile-shikawe bhii miTaa le.nge tum aao to sahii

ham amaavas me.n bhii duniyaa ko dikhaa de.n ge chaa.nd
chhat pe ham, tum ko sajaa de.nge tum aao to sahii

ham ne waadaa yeh kiyaa kuchh na chhupaaye.nge kabhii
tum ko aaiinaa banaa le.nge tum aao to sahii

dil to kyaa cheez hai yeh jaan bhee haazir hai sanam
apnee hastii bhii miTaa de.nge tum aao to sahii

haath maa.ngaa hai to ham thaam ke bhee rakkhe.nge
ham-safar tum ko banaa le.nge tum aao to sahii

maa.ngate kyu.n ho charaagar se Gham-e-dil ki davaa
hum tumhe.n Gham ki dawaa de.nge tum aao to sahii

*chaaragar: physician

be-asar apnii-muhabbat ko na samjho, :Ghaafil:!
aag paanii me.n lagaa de.nge tum aao to sahii

-Mayank

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aag lagaa do.................. by Amit Janglan in Shayri for Khumar -e- Ishq
Marham lagaa jaata..... by isha_verma7 in Shayri-E-Dard
Kyon Tadapne Lagaa Hoon.... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Dil lagaa hai, to, baarahaa mileyngey, bichhurheyngey! by abdbundeli in Shayri for Dard -e- Judai
Har shaks jo mirch masaala lagaa ke bolta hai by ParwaaZ in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: February 21, 2009, 01:00:50 PM »
Reply with quote
Nice one Divyam Ji
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #2 on: February 21, 2009, 01:07:41 PM »
Reply with quote
bahut khoob


dad hazir hai



javed
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: February 21, 2009, 03:03:32 PM »
Reply with quote
dosto,

aik Ghazal pesh hai .. jo ki yahaa.n meri pahli Ghazal hai..

**************************************

khol kar dil ko dikhaa de.nge tum aao to sahii
gile-shikawe bhii miTaa le.nge tum aao to sahii

ham amaavas me.n bhii duniyaa ko dikhaa de.n ge chaa.nd
chhat pe ham, tum ko sajaa de.nge tum aao to sahii

ham ne waadaa yeh kiyaa kuchh na chhupaaye.nge kabhii
tum ko aaiinaa banaa le.nge tum aao to sahii

dil to kyaa cheez hai yeh jaan bhee haazir hai sanam
apnee hastii bhii miTaa de.nge tum aao to sahii

haath maa.ngaa hai to ham thaam ke bhee rakkhe.nge
ham-safar tum ko banaa le.nge tum aao to sahii

maa.ngate kyu.n ho charaagar se Gham-e-dil ki davaa
hum tumhe.n Gham ki dawaa de.nge tum aao to sahii

*chaaragar: physician

be-asar apnii-muhabbat ko na samjho, :Ghaafil:!
aag paanii me.n lagaa de.nge tum aao to sahii


It's lovely! Jab aagaaz kee yah parwaaz hai, to janaab kisee din chaand-taaroun tak jaa pahuncheyngey! You're welcome! My best wishes are with you!
           - abd bundeli
Logged
divyam
Guest
«Reply #4 on: February 21, 2009, 05:45:05 PM »
Reply with quote
waah waah Divyam ji...behad acha likha hai.. Applause Applause





shukriyaa saahab,

ummeed hai aage bhi paDhte rahe.nge.....
Logged
divyam
Guest
«Reply #5 on: February 21, 2009, 05:45:36 PM »
Reply with quote
Nice one Divyam Ji
shukriya rajesh jee Usual Smile

Logged
divyam
Guest
«Reply #6 on: February 21, 2009, 05:46:44 PM »
Reply with quote
javed sahaab,

a
bahut khoob


dad hazir hai



javed

Javed ssaahab,

aadaab,

Ghazal pasand farmaane ke liye shukriya.. ummeed hai aap aage bhi waqt nikaalte rahe.nge aur hame paDhte rahe.nge

Logged
divyam
Guest
«Reply #7 on: February 21, 2009, 05:50:59 PM »
Reply with quote
It's lovely! Jab aagaaz kee yah parwaaz hai, to janaab kisee din chaand-taaroun tak jaa pahuncheyngey! You're welcome! My best wishes are with you!
           - abd bundeli


Abd bundeli saahab,

namsate:

saahab Ghazal ki pasandeegi ke liye tah-e-dil se shukriyah!  aap ka comment dekha to socha ki, jin hone itni hausila afzaa'ii ki hai, un ka profile dekha jaaye aur unhe ke kuchh Ghazal paDhe jaaye.n.. aur saahab paDhana kyaa thee deede phailte chale gaye, aap to ek behatariin shaayar hai.n, behad behad khushi huii, aap ki Ghazale.n paDh kar, aur aap ne hamaari is koshish ko sarahaa sirf aap ki husn-e-nazar hai, verna ham aap ke khaak-e-paa bhi nahii.n..

ummed hai aap se aage sekhane ka mauqa bhi milega..

tah-e-dil se shukriyah!

Logged
divyam
Guest
«Reply #8 on: February 22, 2009, 05:35:06 AM »
Reply with quote
Dear Celmira ,

aap ka PM dekha, par 30 post restriction ke liye, mai.n aap ke PM ka reply nahii.n kar sakta...   sry........ icon_silent
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: February 22, 2009, 05:44:10 AM »
Reply with quote
Abd bundeli saahab,
namsate:
saahab Ghazal ki pasandeegi ke liye tah-e-dil se shukriyah!  aap ka comment dekha to socha ki, jin hone itni hausila afzaa'ii ki hai, un ka profile dekha jaaye aur unhe ke kuchh Ghazal paDhe jaaye.n.. aur saahab paDhana kyaa thee deede phailte chale gaye, aap to ek behatariin shaayar hai.n, behad behad khushi huii, aap ki Ghazale.n paDh kar, aur aap ne hamaari is koshish ko sarahaa sirf aap ki husn-e-nazar hai, verna ham aap ke khaak-e-paa bhi nahii.n..
ummed hai aap se aage sekhane ka mauqa bhi milega..
tah-e-dil se shukriyah!
Divyam ji!
Aapki sundar shabdaawalee key liye haardik dhanyawaad!
Aap kaa sadaa swaagat hai!
May HE guide you to all achievable heights!
Namaskaar!
R.P.GARG 'abd bundeli'
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: February 22, 2009, 06:10:15 AM »
Reply with quote
Lajawab...  Applause
Bahut umda likha hai aapne Divyam ji.
Welcome to YOindia and Enjoy your stay
Logged
divyam
Guest
«Reply #11 on: February 22, 2009, 06:16:48 AM »
Reply with quote
Lajawab...  Applause
Bahut umda likha hai aapne Divyam ji.
Welcome to YOindia and Enjoy your stay


thanks roja,

aap ne pasand kiya, jaan kar khushii hiii...  lekin kyaa aap
'Roja Mallar' hai.n?
Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: February 22, 2009, 06:31:23 AM »
Reply with quote
thanks roja,

aap ne pasand kiya, jaan kar khushii hiii...  lekin kyaa aap
'Roja Mallar' hai.n?

haan
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: February 22, 2009, 11:52:55 AM »
Reply with quote
Dear Celmira ,

aap ka PM dekha, par 30 post restriction ke liye, mai.n aap ke PM ka reply nahii.n kar sakta...   sry........ icon_silent


Divyam Ji,

Mujhe apni baat ka jawab aapki posts main mil gaya hai........Aap yunhi iss mehfil ki raunaq badhate rahen, likhte rahen..

Shukriya,

Celmira
Logged
divyam
Guest
«Reply #14 on: February 22, 2009, 12:02:22 PM »
Reply with quote
Divyam Ji,

Mujhe apni baat ka jawab aapki posts main mil gaya hai........Aap yunhi iss mehfil ki raunaq badhate rahen, likhte rahen..

Shukriya,

Celmira

celmira jee,

hello,

zara hame bhi to samjhaa deejiye, ki aap ko kaise jawaab mil gaya aap ki baat ka Shocked Even More jab ki ham ne to kuch bataaya hii nahii.n.. abhi ham forum par dubaara aaye socha ki aap ko kah de.n ki 'aap be-fikr rahe.n ham dost hi hai.n' par dekha ki aap ka jawaab pahle se aaya huaa hai:)

chaliye filhaal aap ke PM ke liye bhi shukriya, 30 post ke baad aap ko jawaab zaruur de.nge.. Usual Smile








Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:13:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer