aag

by chitralsony on February 18, 2009, 05:50:05 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1078 times)
chitralsony
Guest
Reply with quote
 aag mairay seenay may eshq nay jo lagayi thi
 rafta rafta os may hum khod ko hi pighla baithay

 ghyron ki kiya juirat thi hum ko wo saza daitay
 yay tu apnay thay jin say hum yay zakhm kha baithay

 jiski piyari sorat daikh kay piyar ki abtida ki thi
os say hi faraib kha kr hum dil apna turwa baythay
 

 
Logged
divyam
Guest
«Reply #1 on: February 19, 2009, 06:49:16 AM »
Reply with quote
aag mairay seenay may eshq nay jo lagayi thi
 rafta rafta os may hum khod ko hi pighla baithay

 ghyron ki kiya juirat thi hum ko wo saza daitay
 yay tu apnay thay jin say hum yay zakhm kha baithay

 jiski piyari sorat daikh kay piyar ki abtida ki thi
os say hi faraib kha kr hum dil apna turwa baythay
 

 

hello chitral,

nice poetry,

aag mairay seenay may eshq nay jo lagayi thi
 rafta rafta os may hum khod ko hi pighla baithay

aag se pighalna?? aag se jalna sahii hota hai, aisa likha jaa sakta hai

aag mairay seenay may eshq nay jo lagayi thi
 rafta rafta os may hum khod ko hi jalaa baithay


 
Quote
ghyron ki kiya juirat thi hum ko wo saza daitay
 yay tu apnay thay jin say hum yay zakhm kha baithay

good 1.

take care, keep writing



Logged
javedarshad
Guest
«Reply #2 on: February 19, 2009, 05:12:39 PM »
Reply with quote
bahut khoob

doosri baat main divyam ki tayeed kerta hun


javed
Logged
ANAAMIKA
Guest
«Reply #3 on: February 19, 2009, 06:30:24 PM »
Reply with quote
Sach kaha tumne chot hamesha apno se he milti hai...
Jin per hota hai akhand vishwaas wo he daga dete hai...
aag mairay seenay may eshq nay jo lagayi thi
 rafta rafta os may hum khod ko hi pighla baithay

 ghyron ki kiya juirat thi hum ko wo saza daitay
 yay tu apnay thay jin say hum yay zakhm kha baithay

 jiski piyari sorat daikh kay piyar ki abtida ki thi
os say hi faraib kha kr hum dil apna turwa baythay
 

 
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #4 on: February 19, 2009, 10:21:45 PM »
Reply with quote
thanks for comments all friends,aur aag ka kaam jalana hota yay may bi janti hun lakin may nay eshq ki aag kay mutaliq likha hay jo bharkti aag nahi hoti yay tu wo aag hay jo rafta rafta insaan ko khatum kr daiti hay ,aur pigla ka lafz may nay is maqsad kay liyay istimaal kiya hay,baqi app loagon ka atiraaz sr ankhon pr
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #5 on: February 19, 2009, 10:35:53 PM »
Reply with quote
YEH AITRAAZ NAHIN HAI , JISM PIGHALTA NAHIN HAI , SHAMA PIGHALTI HAI

JISM  GALTA HAI YA PHIR JALTA HAI , AB YEH AAP PER HAI CHAHE JALAIN YA PIGHLAIN

BAHUT KHOOB KAHA HAI AAP NE
SHUKRIA

JAVED

Logged
chitralsony
Guest
«Reply #6 on: February 20, 2009, 03:13:51 AM »
Reply with quote
wo mom si lerki tu safr ki
 aag  may pigal kay mr  gayi
yay jo ashkara wajood hay maira
ismay burf ki guriya hi bach gayi
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #7 on: February 20, 2009, 07:43:42 AM »
Reply with quote
aap sahi hain ista'araat aur tashbeehat alg cheez hain ,is ke sath sath mazmoon kia hai , ager main in cheezon ke bare mein likhne baithon ga to aik saal chahiye aur phir us meyaar ke knowledge ke kafi mehnat derkaar hooti hai. bas itna kafi hai aap sahi hain yahan zid bahas nahin hai , sirf unwan aur mazmoon ke taqaze ki baat hai
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #8 on: February 20, 2009, 10:00:50 AM »
Reply with quote
javed sahib muafi chahti hun ,app asko zid samaj baythay jub kay may nay just ek sher likha hay ,jo ghayel ji kay ek comment kay jawab may zehen may aya tha and itifaq say yahan is topic say bi mutabiqat rakhti thi so likh liya.
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: February 20, 2009, 10:06:30 AM »
Reply with quote
aag mairay seenay may eshq nay jo lagayi thi
 rafta rafta os may hum khod ko hi pighla baithay


 ghyron ki kiya juirat thi hum ko wo saza daitay
 yay tu apnay thay jin say hum yay zakhm kha baithay

 jiski piyari sorat daikh kay piyar ki abtida ki thi
os say hi faraib kha kr hum dil apna turwa baythay
 

 

Bohot Khoob..bohot achcha likha hai aapne Chitral  Applause Applause Applause

Mera khyaal hai, Chitral Ji ne aag se pighalna isliye kaha hai kai baar hum kehte hain ki humara dil mom sa hai...ya kisi ka wujood mom sa hai jo zara si aanch main pighal jaata hai...jaise ki Ishq ki dheemi aag main.....Baaqi na main koi shayari ki jaankar hoon na urdu zubaan ki.....  Usual Smile
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #10 on: February 20, 2009, 12:04:53 PM »
Reply with quote
CHITRALSONYJI AAP KI AAG KA KAMAAL
ACHHE ACHHE JHULAS RAHE IS GARMI ME

SONI TOU SONE KO PIGHLA KAR ZEWAR BANATE
SAJAANE KO GALA UNKA TAPA TAPA KUNDAN BANATE
AAG SE KHELNE WALE SONYJI ISHQ KI AAG ME KHUD PIGHAL BAITHE
PYAR JO JEEVAN KA ZEWAR HAI YU HE TURWA BAITHE

aag mairay seenay may eshq nay jo lagayi thi
 rafta rafta os may hum khod ko hi pighla baithay

 ghyron ki kiya juirat thi hum ko wo saza daitay
 yay tu apnay thay jin say hum yay zakhm kha baithay

 jiski piyari sorat daikh kay piyar ki abtida ki thi
os say hi faraib kha kr hum dil apna turwa baythay
 

 
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:40:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.172 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer