Aaj achapal hain tumhaarey nain: tum ko kyaa huaa hai?

by abdbundeli on November 19, 2008, 04:04:55 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1090 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Aaj achapal hain tumhaarey nain: tum ko kyaa huaa hai?

            Drushhti apalak, shithil hai gati;
            Adhar pratihat, shithil hai smiti;
            Srast hai sukumaar jyomiti;
            Prakat hai adbhut manah sthiti;
Lag rahey ho aaj kuchh beychain: tum ko kyaa huaa hai?
Aaj achapal hain tumhaarey nain: tum ko kyaa huaa hai?

            Tum rahey pahiley pahunchatey;
            Nawya divyaalok rachtey;
            Din gayaa, par, yah sakuchtey;
            Jhakoroun sey rahey bachtey!
Nirarthak hi beettee hai rain: tum ko kyaa huaa hai?
Aaj achapal hain tumhaarey nain: tum ko kyaa huaa hai?

            Kaho, itney khinna kyoun ho?
            Sahajataa sey bhinna kyoun ho?
            Pranaya-path hai: wighna kyoun ho?
            Kshitij tak udwign kyoun ho?
Kab khileyngey fir tumhaarey wain: tum ko kyaa huaa hai?
Aaj achapal hain tumhaarey nain: tum ko kyaa huaa hai?  

            Kyaa karoon: kuchh to bataaou?
            Ritu madhur hai: maan jaaou!
            Wyathit hoon, sannikat aaou!
            Muskuraaou! Geet gaaou!!
Mat karo fir sey mujhey beychain: tum ko kyaa huaa hai?
Aaj achapal hain tumhaarey nain: tum ko kyaa huaa hai?

                    - Ram Prakash Garg 'Ramwatiya'  
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dil-e-naadaa.N tujhe huaa kyaa hai by aziz hijazi in Ghazals
Ham sey aisaa kyaa huaa? by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
Baag ko fir sey kyaa huaa hai, zaraa deykho to? by abdbundeli in Shairi for Manzar -e- Kudrat « 1 2  All »
Daaman ko kyaa huaa hai, ki, aa deykhtey hain log? by abdbundeli in Ghazals
TERE NAIN TERE NAIN by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #1 on: November 19, 2008, 08:00:43 PM »
Reply with quote
bahoot jayada gehari Hindi ho gai... kai baar parr kar samjh main ayya Abd ji!!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: November 20, 2008, 02:31:01 AM »
Reply with quote
bahoot jayada gehari Hindi ho gai... kai baar parr kar samjh main ayya Abd ji!!
Pooja ji!
Most of my works are in Literary Hindi. I've just posted one for an introductory change! I hope, to find at least a dozen  Hindi-knowing readers on yoindia!
                   - abd bundeli
Logged
suman59
Guest
«Reply #3 on: April 02, 2013, 12:16:15 AM »
Reply with quote
Aaj achapal hain tumhaarey nain: tum ko kyaa huaa hai?

            Drushhti apalak, shithil hai gati;
            Adhar pratihat, shithil hai smiti;
            Srast hai sukumaar jyomiti;
            Prakat hai adbhut manah sthiti;
Lag rahey ho aaj kuchh beychain: tum ko kyaa huaa hai?
Aaj achapal hain tumhaarey nain: tum ko kyaa huaa hai?

            Tum rahey pahiley pahunchatey;
            Nawya divyaalok rachtey;
            Din gayaa, par, yah sakuchtey;
            Jhakoroun sey rahey bachtey!
Nirarthak hi beettee hai rain: tum ko kyaa huaa hai?
Aaj achapal hain tumhaarey nain: tum ko kyaa huaa hai?

            Kaho, itney khinna kyoun ho?
            Sahajataa sey bhinna kyoun ho?
            Pranaya-path hai: wighna kyoun ho?
            Kshitij tak udwign kyoun ho?
Kab khileyngey fir tumhaarey wain: tum ko kyaa huaa hai?
Aaj achapal hain tumhaarey nain: tum ko kyaa huaa hai? 

            Kyaa karoon: kuchh to bataaou?
            Ritu madhur hai: maan jaaou!
            Wyathit hoon, sannikat aaou!
            Muskuraaou! Geet gaaou!!
Mat karo fir sey mujhey beychain: tum ko kyaa huaa hai?
Aaj achapal hain tumhaarey nain: tum ko kyaa huaa hai?

                    - Ram Prakash Garg 'Ramwatiya' 


wow yes you are right. I also think there may be many readers in this forum and read this poem aur shudda hindi ka lufth lenge. (abdbundli ji aapka naam ram prakash garg hai kya?
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: April 02, 2013, 02:13:40 PM »
Reply with quote
wow yes you are right. I also think there may be many readers in this forum and read this poem aur shudda hindi ka lufth lenge. (abdbundli ji aapka naam ram prakash garg hai kya?


Dhanyawaad Suman ji! Main English (G.R.Prakash), Hindi (Ramwatiya) tathaa Urdu (abd bundeli)mein alag-alag 'upnaamoun' sey likhtaa huun! Aap kaa anumaan theek hai, meyraa naam Ram Prakash Garg hai! Kabhi meyree profile par nazar daaliyegaa ('yo' par profile kaa aakhiree peiz)!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:47:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer