aaj bhi ek hi soorat dikhti hai ...

by rita mal on June 28, 2013, 03:27:17 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 734 times)
rita mal
Guest
Reply with quote
Dastak deta hai koi raat raat bhar khayaal mein
Ulajh ulajh jate hein uske khamosh sawaalon mein

Raasta takta tha wo mera kabhi modon pe khada hua
aaj khada hai wo masoom barbaadi ke kagaaron mein

Kuch samajh ka fer tha, kuch waqt ka dhokha, warna
Kaun todta hai rishte yun bewajah ke bawaalon mein
 
Muddat baad Harsun aaj bhi ek hi soorat dikhti hai
Basaa hai jo kisi aur kee goshon aur dayaaron mein

Aasmaan par baadlon ki tarah guzarta hai bin barse
ke baarish ka mausam bhi sookh gaya intezaaron mein

Humne dard mol le liya hai bin daam ke bin baat ke
Milti nahi ab dawaa duniya ke saare bazaaron mein
 
Meri gustakhiyon ki sazaa aakhrish maut kyun nahi
Ke hum to yun bhi quaid hein apni hi mazaaron mein
 
Hum nijaat paate nahin, woh kabhi paas aate nahin
Bechaini magar dikhti hai unke bhi hawaalon mein
 
Hasraten ungliyon par gin gin kar thak te na the
Ab toote hein armaan dil ke saikdon hazaaron mein
   
Uske bina andhera hi milta hai door tak faila hua
hum Dhoondhte roshini uske saayon ke ujaalon mein ...
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: June 28, 2013, 03:59:14 PM »

Nice1.
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #2 on: June 28, 2013, 05:53:58 PM »
Reply with quote
Dastak deta hai koi raat raat bhar khayaalon mein
Ulajh ulajh jate hein uske khamosh sawaalon mein

Raasta takta tha wo mera kabhi modon pe khada hua
aaj khada hai wo masoom barbaadi ke kagaaron mein

Kuch samajh ka pher tha, kuch waqt ka dhokha, warna
Kaun todta hai rishte yun bewajah ke bawaalon mein
 
Muddat baad Harsun aaj bhi ek hi soorat dikhti hai
Basaa hai jo kisi aur kee goshon aur dayaaron mein

Aasmaan par baadlon ki tarah guzarta hai bin barse
ke baarish ka mausam bhi sookh gaya intezaar mein here change the kafia

Humne dard mol le liya hai bin daam ke bin baat ke
Milti nahi ab dawaa duniya ke saare bazaaron mein
 
Meri gustakhiyon ki sazaa aakhrish maut kyun nahi
Ke hum to yun bhi quaid hein apni hi mazaaron mein
 
Hum nijaat paate nahin, woh kabhi paas aate nahin
Bechaini magar dikhti hai unke bhi hawaalon mein
 
Hasraten ungliyon par gin gin kar thak te na the
Ab toote hein armaan dil ke saikdon hazaaron mein
   
Uske bina andhera hi milta hai door tak phaila hua
hum Dhoondhte roshini uske saayon ke ujaalon mein
...it could be better if you would write ----- uske wajood ke ujaalon mein

good one,ma'am
Logged
soudagar
Guest
«Reply #3 on: June 28, 2013, 09:23:21 PM »
Reply with quote
wah wa hwah bahut khub janab bahut badhiya
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #4 on: June 28, 2013, 09:50:42 PM »
Reply with quote
waah waah
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:04:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer