-----/// Aaj fir se pyaar aaya mujhe /// -----

by ~Hriday~ on October 12, 2010, 05:32:27 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1920 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote


uffff kisi se aaj yun pyaar se bulaya mujhe,
ki mera wo pehla pyaar fir yaad aaya mujhe,
wo aankhon ki shaitaaniyaan kya batayen hum,
kisi ki aankhon ne ek baar fir tadpaaya mujhe,

kyun kisi ke chehre me koi aur nazar aata hai,
kyun kisi ke dur chale jaane se wo yaad aata hai,
mohabbat zanzeer nahi jo baandh ke rakh de kisi ko,
aaj us chehre ko dekh ye sach samajh aaya mujhe,

wo aankhen mujhe apne paas bula rahi hain firse,
ye honth un geeton ko gunguna rahe hain firse,
sach is mohabbat ka ehsaas bhi ajeeb sa hota hai,
dekho na kyun kisi ajnabi pe pyaar aaya hai mujhe,

dekha uska chehra wo aankhon me bas gaya hai jaise,
kuch pal jo thehra to ye waqt tham gaya hai jaise,
na aage badh paaya hoon na hi peechhe hat paaya hoon,
ufff kisi ki nashili aankhon ne hai aaj behkaaya mujhe,

mohabbt kya hai, kyun hota hai, na samajh aaya mujhe,
kisi se duur hoke bhi wo kyun paas nazar aaya mujhe,
kisi ne apne sharbati aankhon se yun bulaaya mujhe,
kyun un aankhon pe ek baar fir pyaar aaya mujhe....


*****HRIDAY*****
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: October 12, 2010, 05:59:32 AM »
Reply with quote
OYEEEEEEEEE.....AB YE KAUN HAI JISNE AANKHON SE PILA DIYA....KAPIL JI...

bhtttttttttttttttttttttt mastammmmmmmmmmmmmmmmmm poem re.......
reply ka wait kijiye ji...........
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #2 on: October 12, 2010, 06:04:56 AM »
Reply with quote
wah kapil ji bahut khoob likha he aapne...

specially coordination bahut badhiya he words kaa~dheeeeeer saaari daad
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: October 12, 2010, 06:08:03 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Kasak ji... aapke khoobsurat se jawaab ka intezaar rahega mujhe... waiting waiting waiting....


OYEEEEEEEEE.....AB YE KAUN HAI JISNE AANKHON SE PILA DIYA....KAPIL JI...

bhtttttttttttttttttttttt mastammmmmmmmmmmmmmmmmm poem re.......
reply ka wait kijiye ji...........

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: October 12, 2010, 06:09:25 AM »
Reply with quote
main aapka tahe dil se shukriya adaaa karta hoon Abhi ji... bahut bahut shukriya jo aapne ise waqt diya, padha aur pasand kiya... thanks a lot...!!!

wah kapil ji bahut khoob likha he aapne...

specially coordination bahut badhiya he words kaa~dheeeeeer saaari daad
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #5 on: October 12, 2010, 06:13:51 AM »
Reply with quote
kapil ji shukragujar he to bas mere nam se "ji" hata dijiye, sirf "Abhi" kahiyeee.....

 
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #6 on: October 12, 2010, 06:14:40 AM »
Reply with quote
haan sahi hai abhi ji ko abhi ji kehna ka haq sirf mujhe hai kyun hai na abhi ji
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #7 on: October 12, 2010, 06:16:17 AM »
Reply with quote
nahi heee aap to jabrdasti kehete hoo~
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: October 12, 2010, 06:23:04 AM »
Reply with quote
Abhi ji aapki ye guzaarish hum nahi maanenge... Sir nahi kehne dete thik hai.. ab ji nahi chhodenge hum.. chaahe aapko bura lage tab bhi.. hum jarur kahenge... Abhi ji...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #9 on: October 12, 2010, 06:24:27 AM »
Reply with quote
mera reply ready hai kapil ji......

Dekhke unko na jane kya hua mujhe
Kho gai unki aankhon me kuch aise
Na keh pain a sun pai kuch unki
Bas unn aankhon ne apna banaya mujhe

Ladkhada gai main bas ek hi nazar me
Kuch iss trah unn aankhon ne nihaara mujhe
Jane kyat ha unn shararati aankhon me
Jaane kaunsa jam unhone pilaya mujhe

Wo aankhein jo kuch na keh k bhi har baat kehti hain
Wo aankhein jo sirf mere aage jhukti hain
Wo aankhein jinme sirf apne liye pyaar nazar aata hai
Unn aankhon ne hayeee deewaani banaya mujhe

Aankhon se chhhalakkar jab pyaar hothon pe aata hai
Wo pyaara nazara ufff kya sitam dhaata hai
Kya bataun main tumhe ee sakhi meri pyari
Bas ek pal me sama leta hai khudme mujhe

Natkhat si wo baatein uski wo shaitaniyan
Ek  pal me hi mere bht kareeb aajata hai wo
Jaana jo chahaun durr usse kabhi khudme simatkar
Mujhme khokar apna bana leta hai wo mujhe…!!!
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #10 on: October 12, 2010, 06:24:50 AM »
Reply with quote
nahi heee aap to jabrdasti kehete hoo~

hahahahha......par main to kahungi hi......
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #11 on: October 12, 2010, 06:28:55 AM »
Reply with quote
Abhi ji aapki ye guzaarish hum nahi maanenge... Sir nahi kehne dete thik hai.. ab ji nahi chhodenge hum.. chaahe aapko bura lage tab bhi.. hum jarur kahenge... Abhi ji...
bura to mujhe kabhinahi lagta par ye ji bahut ajeeb nahi lagta ...eisa feel hota he jaise bahut umar ho gayi heee~
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: October 12, 2010, 06:36:40 AM »
Reply with quote
Wow wow wow... ek dum mastammmmmmmmmmmmmmmm.... bahut khoobsurat aur pyaar bhara jawaab likha hai aapne Kasak ji... bahut hi pyaaraa....  thank you so much for this sweet reply... mujhe lamba nahi ban paaya .. jitna bana utna hi post kar raha hoon...

ye pyaar nahi paagalpan hai jaana,
ye tumse milke aaj hai maine jaana,
tanha khud se baatein karta hoon main,
aur akele hi muskuraata hoon jaana,

hoti nahi ho tum paas mere par,
paas tumhe mehsoos karta hoon jaana,
khoke tumhaari aashiqui me main,
bas tumko yaad karta hoon jaana...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: October 12, 2010, 06:37:18 AM »
Reply with quote
Usual Smile main tab bhi kahunga... itna adjustment kar lijiye pls...

bura to mujhe kabhinahi lagta par ye ji bahut ajeeb nahi lagta ...eisa feel hota he jaise bahut umar ho gayi heee~
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #14 on: October 12, 2010, 06:44:24 AM »
Reply with quote
Usual Smile main tab bhi kahunga... itna adjustment kar lijiye pls...

Wow wow wow... ek dum mastammmmmmmmmmmmmmmm.... bahut khoobsurat aur pyaar bhara jawaab likha hai aapne Kasak ji... bahut hi pyaaraa....  thank you so much for this sweet reply... mujhe lamba nahi ban paaya .. jitna bana utna hi post kar raha hoon...

ye pyaar nahi paagalpan hai jaana,
ye tumse milke aaj hai maine jaana,
tanha khud se baatein karta hoon main,
aur akele hi muskuraata hoon jaana,

hoti nahi ho tum paas mere par,
paas tumhe mehsoos karta hoon jaana,
khoke tumhaari aashiqui me main,
bas tumko yaad karta hoon jaana...
mera reply ready hai kapil ji......

Dekhke unko na jane kya hua mujhe
Kho gai unki aankhon me kuch aise
Na keh pain a sun pai kuch unki
Bas unn aankhon ne apna banaya mujhe

Ladkhada gai main bas ek hi nazar me
Kuch iss trah unn aankhon ne nihaara mujhe
Jane kyat ha unn shararati aankhon me
Jaane kaunsa jam unhone pilaya mujhe

Wo aankhein jo kuch na keh k bhi har baat kehti hain
Wo aankhein jo sirf mere aage jhukti hain
Wo aankhein jinme sirf apne liye pyaar nazar aata hai
Unn aankhon ne hayeee deewaani banaya mujhe

Aankhon se chhhalakkar jab pyaar hothon pe aata hai
Wo pyaara nazara ufff kya sitam dhaata hai
Kya bataun main tumhe ee sakhi meri pyari
Bas ek pal me sama leta hai khudme mujhe

Natkhat si wo baatein uski wo shaitaniyan
Ek  pal me hi mere bht kareeb aajata hai wo
Jaana jo chahaun durr usse kabhi khudme simatkar
Mujhme khokar apna bana leta hai wo mujhe…!!!

are yaar achha mat mano meri bat ....

anu jiii reply dene me to aap master hooo...mast reply diyela he bole to bhiduuu...

kapil ji aaap bhi anu ji ko reply dete dete grand master bante ja rahe hooo~ mast likhela he bhiduuuuu..bindaas~
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:06:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer