aaj ki raat lab khaamosh sahi... Intezar !

by Intezar on March 30, 2011, 08:14:44 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 5577 times)
Intezar
Guest
Reply with quote


bhool jaane de har baat, tu khud me aaj mujhe simatne de
aaj ki raat lab khaamosh sahi saanso ko har baat kehne de

Phir to duniya ki rawaayat hogi lautne ka bhi koi ahad nahi
lambe safar ka musaafir hu kuch der apne saaye me rehne de

karwaton mein gujaari hai maine tujh bin ab tak kayi raatein
Bas aaj apni aagosh mein mujhe is raat ka safar tay karne de

Jo rawaan hai silsila apne darmayaan in saanso ka kya hai
Jalti ik aag hai to is aag mein mujhe bhi aaj tabaah rehne de

Thak gayi hain teri aankhen kayi roz yunhi aansu bahaakar
aaj tu apne khwaab, saare armaan meri in aankho se behne de

kabhi jawaab teri baaton kaa hum aankhon se de diya karte the
jo hai andhera aaj to phir labo ko milkar labo se sawaal karne de

bikhar jaane de aaj sab aarzuyein tamaam ke phir jaane kya ho
aaj hun kareeb to mujhe kuch der tera wazood ban kar rehne de

rakh mera yakeen ke ab ye raahe na hongi kabhi tujhse juda
ke faasle kam kar ‘Intezar’ ke aur aaj mujhe had se gujarne de… !

Shukriya
Intezar !


[/size][/color]
Logged
dead heart
Guest
«Reply #1 on: March 30, 2011, 08:26:16 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
"Hadd se guzar jane de.."
Oho kya baat hai..
Khush rahiye..!
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #2 on: March 31, 2011, 05:39:55 AM »
Reply with quote
bht bht khoob intezar ji......
Logged
kamal aggarwal
Guest
«Reply #3 on: March 31, 2011, 06:08:59 AM »
Reply with quote


kabhi jawaab teri baaton kaa hum aankhon se de diya karte the
jo hai andhera aaj to phir labo ko labo se milkar sawaal karne de

bikhar jaane de aaj sab aarzuyein tamaam ke phir jaane kya ho
aaj hu kareeb to mujhe thodi der tera wazood ban kar rehne de

rakh mera yakeen ke ab ye raahe na hongi kabhi tujhse juda
ke faasle kam kar ‘Intezar’ ke aur aaj mujhe had se gujarne de… !

bhut khub intezar ji

Logged
nirala
Guest
«Reply #4 on: March 31, 2011, 06:25:38 AM »
Reply with quote
intezaar!!!
sach me bot intezaar karwate he aap.
lekin intezaar ka fal meetha hota h suna tha…itna meetha hota he aaj dekha:)Usual Smile
””
jesa mene pehle hi kaha he ki aapki kavitao ki har line next line ka aagaaz hote he…aisi khobi ko bahot kam shayr bakhobi nibhate he.
aap un tamaam beskimti shayaro me shumaar he jinhe ham sar pe bithate hain ji.
gahri soch gahri baate aur gahre ehsaas se bharpoor aapke iss nagme ko mere jese aira gaira daad dene ki kabiliyat nai rakhte ji.
bas hats off
aate rahiye
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #5 on: March 31, 2011, 07:10:43 AM »
Reply with quote
bahut khoob Intezar ji..

apki post ka bada intezaar reheta he ...ek alag andaz he apka likhne ka..

yunhi likhte rahiye..

dher saari daad`
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #6 on: March 31, 2011, 04:39:44 PM »
Reply with quote
Bahut Khub Intezar Ji
Logged
Intezar
Guest
«Reply #7 on: March 31, 2011, 05:12:16 PM »
Reply with quote
Shukriya Rahim bhai Dil se bahut bahut shukriya...

Intezar !
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
"Hadd se guzar jane de.."
Oho kya baat hai..
Khush rahiye..!
Logged
Intezar
Guest
«Reply #8 on: March 31, 2011, 05:42:27 PM »
Reply with quote
Manzil ji shukriya aapka...

Intezar !

bht bht khoob intezar ji......
Logged
Intezar
Guest
«Reply #9 on: March 31, 2011, 05:58:52 PM »
Reply with quote
kamal sahab shukriya aapka... dil se bahut bahut shukriya aapka...

Intezar !


kabhi jawaab teri baaton kaa hum aankhon se de diya karte the
jo hai andhera aaj to phir labo ko labo se milkar sawaal karne de

bikhar jaane de aaj sab aarzuyein tamaam ke phir jaane kya ho
aaj hu kareeb to mujhe thodi der tera wazood ban kar rehne de

rakh mera yakeen ke ab ye raahe na hongi kabhi tujhse juda
ke faasle kam kar ‘Intezar’ ke aur aaj mujhe had se gujarne de… !

bhut khub intezar ji


Logged
Intezar
Guest
«Reply #10 on: March 31, 2011, 06:38:57 PM »
Reply with quote
itni izzat nirala ji... hum kisi kaabil to nahin... lekin aapne hume dil se pasand kiya... Khuda aapko khush aur mehfooz rakhe... hum to shukriya adaa bhi nahi kar sakte aap ki baaton ka.... khushi huyi aap ke lafz padh kar...

Intezar !

intezaar!!!
sach me bot intezaar karwate he aap.
lekin intezaar ka fal meetha hota h suna tha…itna meetha hota he aaj dekha:)Usual Smile
””
jesa mene pehle hi kaha he ki aapki kavitao ki har line next line ka aagaaz hote he…aisi khobi ko bahot kam shayr bakhobi nibhate he.
aap un tamaam beskimti shayaro me shumaar he jinhe ham sar pe bithate hain ji.
gahri soch gahri baate aur gahre ehsaas se bharpoor aapke iss nagme ko mere jese aira gaira daad dene ki kabiliyat nai rakhte ji.
bas hats off
aate rahiye
Logged
Intezar
Guest
«Reply #11 on: March 31, 2011, 06:45:33 PM »
Reply with quote
Abhi ji Shukriya aapka...bahut bahut shukriya... aapne pasand kiya... aur kisi kaabil samjha hume...

Intezar !

bahut khoob Intezar ji..

apki post ka bada intezaar reheta he ...ek alag andaz he apka likhne ka..

yunhi likhte rahiye..

dher saari daad`
Logged
Intezar
Guest
«Reply #12 on: March 31, 2011, 06:47:47 PM »
Reply with quote
Rishi ji aapka tahe dil se shukriya...

Intezar !

Bahut Khub Intezar Ji
Logged
Intezar
Guest
«Reply #13 on: March 31, 2011, 06:57:17 PM »
Reply with quote
Shihab ji... aapne hum par ek nazar ki Shukriya aapka bahut bahut shukriya...

Intezar !

Bahut Khub Intezar Ji...

Shad o Aabad Rahiye...


~Shihab~
Logged
Tamnna
Guest
«Reply #14 on: April 01, 2011, 05:26:15 AM »
Reply with quote
nice.... intzarji...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:59:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer