Aaj woh khwaab mein qareeb aaye!

by abdbundeli on November 07, 2008, 06:29:56 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1223 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Aaj woh khwaab mein qareeb aaye:
Ta’ajjub, saath mein habeeb naheen!
Kal hi un ney kahaa thaa, “Aayengey!
Saath mein laayengey raqeeb naheen!!”

                     - abd bundeli

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tere qareeb aake bari uljhanoon mein hoon by muneeb in Shayri-E-Dard
Khwaab Chhupane Nahi Aaye by kamran_bombay in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek khwaab Ko Hakeekat Mein ...... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
khwaab mein dekha hai... by sushiljain in Shayri for Khumar -e- Ishq
ek khwaab ko hakeekat mein...... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: November 07, 2008, 06:42:51 AM »
Reply with quote
Aaj woh khwaab mein qareeb aaye:
Ta’ajjub, saath mein habeeb naheen!
Kal hi un ney kahaa thaa, “Aayengey!
Saath mein laayengey raqeeb naheen!!”

                     - abd bundeli


khwabo ki batein karte ho
kuch haqeeqat ke kisse sunao abd
ab to karo unko beparda
sath unke kabhi milne aao abd
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: November 07, 2008, 07:15:47 AM »
Reply with quote
sajid_ghayel ji!
Abhi deir hai, fir kabhi hogaa pardah:
Abhi koyee pardah naheen hai kisee sey!
Zaraa dil ki aankheyn to kholo, uthhaa kar;
'Abd' hai muhaajir waheen par, isee sey!
!
                        - abd bundeli
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: November 07, 2008, 07:30:30 AM »
Reply with quote
sajid_ghayel ji!
Abhi deir hai, fir kabhi hogaa pardah:
Abhi koyee pardah naheen hai kisee sey!
Zaraa dil ki aankheyn to kholo, uthhaa kar;
'Abd' hai muhaazir waheen par, isee sey!
!
                        - abd bundeli
Baat abd ke parde ki kisne ki
baat to unki hain jinke liye parda hain
unko dekhne ki hasrat me tuje dekha
kise kya padi jo abd beparda hain
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: November 07, 2008, 08:43:02 AM »
Reply with quote
sajid_ghayel ji!
Unhain deykhnaa hai, to, khwaaboun mein jaaou:
Kisee jheel key paas unko bulaaou!
Woh aayengey beypardah kohrey sey baahar,
B-shartey ki tum khoob unko manaaou!!

                     - abd bundeli
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: November 07, 2008, 03:07:38 PM »
Reply with quote
apne mehboob ka husn abd ne aam kar diya
tauba tauba mohabbat ko tune badnam kar diya
humse gunah karate ho yeh kaisi dosti
kaha bulana hain kaise bulana hain yeh charcha tune sareaam kar diya  DOH
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: November 07, 2008, 03:54:21 PM »
Reply with quote
sajid_ghayel ji!
Us noor mein wo taab hai, uyoon kyaa kareyn?
Woh hai ayaan jagah-jagah, numaayaan par naheen!
Koshish karo, aa jaaye nazar zarrah eik hee:
Deykhey tamaam dar, na milaa us kaa ghar kaheen!!

                             - abd bundeli
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: November 07, 2008, 07:06:21 PM »
Reply with quote
Good lines Abd Ji, Sajid ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: November 08, 2008, 02:58:00 AM »
Reply with quote
Shukriyah Celmira ji!
         - abd bundeli
Logged
malli
Guest
«Reply #9 on: January 29, 2010, 03:50:19 PM »
Reply with quote
Aaj woh khwaab mein qareeb aaye:
Ta’ajjub, saath mein habeeb naheen!
Kal hi un ney kahaa thaa, “Aayengey!
Saath mein laayengey raqeeb naheen!!”

                     - abd bundeli

Pyar mere bas mein nahi hai lekin fir bi
Tum keh do mujhe ki tujhe pyar kaur ya na karu?
Khwaab mein aakar, meri tamannawon ko jagaya hai tumne
Un tamannawon ka izhaar karu ya na karu?
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: January 31, 2010, 03:06:08 PM »
Reply with quote
Pyar mere bas mein nahi hai lekin fir bi
Tum keh do mujhe ki tujhe pyar kaur ya na karu?
Khwaab mein aakar, meri tamannawon ko jagaya hai tumne
Un tamannawon ka izhaar karu ya na karu?


Khudaa naheen wo: jaan ley
Kiye binaa izhaar!
Beyhtar hai jaao, milo,
Torh dar-o-deewaar!!

    - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:48:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer