***Aankhein***

by badnaam_shayar on January 05, 2006, 06:44:26 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 36
ReplyPrint
Author  (Read 28194 times)
badnaam_shayar
Guest
Reply with quote
Dil ki Batain bata deti hain Aankhein

Dhadkanon ko Jaga deti hain, Aankhein

Dil pe chalta nahi Jadoo Chehron ka kabhi

Dil ko tu Deewana bana deti hain Aankhein

Woh hum se baat nahi karti tu na kare

Haal sara un ke dil ka Suna deti hain Aankhein

Gham sada rehta nahi Aadmi ke saath

Ashk bana kar Chalka deti hain Aankhein

Aata hai jab dor - e - Jawani , tu aye Dosto

Sunder Sapne Zehan main Basa deti hain Aankhein

Mana ke Neend aati hai Aankhon hi ke raste

Magar kabhi kabar Neend uda deti hain Aankhein

shukar hai Khuda ne Aata ki Aankhon ki Neyamat humain

Dard -o-Gham sare Dil ke Chupa deti hain Aankhen
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TERI AANKHEIN by BHONDU in Shayri-E-Dard
Tumhari Aankhein...!! by pinky in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 11 12 »
kyon aankhein nam hoti hai..... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
** Teri Aankhein ** RH by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
Teri aankhein by saahill in Share:Love Poetry
anjani_si
Guest
«Reply #1 on: January 05, 2006, 06:53:34 PM »
Reply with quote
thnx!!!! & vry well said

ankhain tu bewafai karti rehti hain
na baatane wali baat baata deti hain
ye tu haar dil ke raaz khol deti hain
akhain tu hoti he badnaam hain
akhar dil ki baat keh dalti hain
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #2 on: January 06, 2006, 04:42:13 AM »
Reply with quote
shukriya anjani ji and gud one u too..................

Meri Ankhon Ke Samandar main Jalan kaisi Hai

Aaj Phir Dil Ko Tadapne Ki LaGan Kaisi Hai

Ab Kisi Chaat Pe Chiraghon Ki Qatarin Bhi Nahi

Ab Tere Shehar Ki Galiyon Main Guthan Kaisi Hai

Baraf Ke Roop Main dhaal Jain Ge Sare Rishte

Mujh se Poocho Ke Muhabbat Main Agan kaisi Hai

Main Tere Wisal Ki Khuwahish Ko na Marne Doon Ga

Us Ki Majboor Si Ankhon Main Kiran Kaisi hai

Mujhe Masoom si Pagal Ladki Pe Taras aata hai

us se Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai
 
 

Logged
JAI_EkAshiq
Guest
«Reply #3 on: January 06, 2006, 05:47:27 AM »
Reply with quote
wah bahut khub.....kya khub kaha hai aap dono ne..

hootone se to na kiya tha kabhi izhar tumne mujhse...
kehagayi dil ki dastan teri ye aakein mujhse...
gar na hoti bewafa ye aakhein teri...
milti na tumhe ye mohabaat meri...
reh jaati baat dil ki dil mein hi...
tapte rehate raat din hum dono hi....
mile hai aaj hum in aakho ke raste.....
kar du jaan mein in aakhon ke sajde...
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #4 on: January 06, 2006, 07:15:04 AM »
Reply with quote
gr8 work badnaam ji ahiq ji and anjani ji!!!!!
anjani ji welcome to yoindia !!!!!!!!!!

Dekhte rahe har pal tumhe;
Behte rahe har pal tummein;
Paate rahein tumko har pal;
Khote rahe khud ko har pal;
Aankhon se aankhen milti hai jab jab;
Saanson se saanse judti hai tab tab
Chein ki kadi judti hai har pal;
Betaabi ghate hue bhi badte rahe har pal
 
Gesu's Ankhein...........
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #5 on: January 06, 2006, 07:17:34 AM »
Reply with quote
Zulfon mein haath pherkar sulado hamein;
Bahon mein aaj gherkar sulado hamein;
Yaadon mein khoye rahe madhosh banado hamein;
Saanson mein baste rahe chupalo hamein;
Yoon na satao ke rote rahein ;
Yahi iltijaa hai tumse ab;
Aankhon ke raste dil mein utar lo hamein...

Gesu...............
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: January 06, 2006, 09:33:34 AM »
Reply with quote
very nice Gesu ji and jai bhai bahoot khoob.................

Kabhi yu bhi aao meri aankhon mein,
Ki meri aankhon ko hee khabar na ho,
Aaapko bhulane ki dua bhi mangu toh,
Meri dua mein koi asar na ho,
Kuch is tarah se basa lo apni aankhon me,
Ke in aankhon doobne ki koi kasar baaki na ho..................... :wink:
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #7 on: January 06, 2006, 11:13:46 AM »
Reply with quote
Aankhon hi aankhon mein ho jaati hain dilwalo ki baatein
Dabe hothon ki har awaaz suna deti hain aankhein
Koi lakh sambhaley dil ko per pyar chalka deti hain aankhein
Tadap ki boondon ko ashq bankar baha deti hain aankhein
Dilbar ki tasweer kheech ke dil mein utar leti hain aankhein.....

gesu...........AANKHEIN...............
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #8 on: January 06, 2006, 05:36:50 PM »
Reply with quote
Jalan si hona lagti hai
Dil udaas sa hona lagta hai
Jab bhi dekhloon
Uske baraar mein koi aur khari hai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #9 on: January 07, 2006, 04:14:54 AM »
Reply with quote
very nice gesu ji and anjani ji good written yaar................ :wink:

Aankh barsi hai tere naam pe sawan ki tarha,
Jism sulgha hai teri yaad me sholoan ki tarha,
Is bulandi se tu ne mujhe nawaza kyun tha,
Girr ke main toot gaya kaanch ke bartan ki tarha,
Mujh se milte hue ye baat to sochi hoti,
Main tere dil mein sama jaaounga dharkan ki tarha,  
Intezar hai kissi mahsoos si aahat ke liye,
Zindagi bethi hai dehleez pe birhan ki tarha...............
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #10 on: January 07, 2006, 05:55:39 AM »
Reply with quote
Badnaam tumne ek dum classic shayari ki basti banali hain..Congrats man..
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #11 on: January 07, 2006, 06:01:31 AM »
Reply with quote
thnx dildaar bhai.......................
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #12 on: January 07, 2006, 06:07:58 AM »
Reply with quote
kuch to aab bhi kasak baki hai .......

kuch teri aankho ki chalak aab bhi kahi baki hai ....

tere hoto pe chaye hai khushiyo k moti........

tere pane ki chahat mujhme abb bhi kahi baki hai .....
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #13 on: January 08, 2006, 10:02:28 AM »
Reply with quote
very nice shot tushaar bhai.........................

Aankhen toh hoti hai Dil ki jubaan,
Inn me kar aaya mein aaj apni jaan qurbaan,
Ab pata nahi kya hai is Dil ka armaaan,
Kehta hai mujhse Ja Gum ho jaa in aankhon ki gehrayi me,
Bhool k is duniya jahan ko,
na rahe ab koi talluq is jahan se,bana le tu ab ise hee apna jahan.............
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #14 on: January 09, 2006, 04:30:44 AM »
Reply with quote
Kyun bluffmaster..shayari se kisse lootne ka irada hain :wink:
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 36
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 07:50:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.146 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer