"aap aayenge to"

by aaina on June 29, 2009, 04:47:04 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 946 times)
aaina
Guest
Reply with quote
Aap aayenge to fizao.n ki ada kuch aur hogi
Mehkegi har simt khushbu rang e hina kuch aur hogi

Ye jo mousam abhi mujhse katra ke nikla jate hain
Mujhme samayenge ye, inki waza kuch aur hogi

Har qadam mere jaanib jab badhega tera
Rang har gul pe chadhega fiza kuch aur hogi

Tujhse milne ko betaab sabhi honge ey nadiya
Gungunaate huway dariyao.n ki nida kuch aur hogi

Tere aane ki khabar lay ke aayegi jo
Wo mehki hui baad e saba kuch aur hogi

Is dil pe chalega phir tumhara jaadu
Meri hi dhadkan mujhse bewafaa kuch aur hogi

Chala bhi aa ke har sitam manzoor tera
Tu baho.n mai hoga to aslam ki saza kuch aur hogi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
}"}"}AATE JAATE HUWE{"{"{ by Dr.Saira999 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
/////////"""HAAL-E-BAYAAN"""/////////////// by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
""Hamein Jab Alwida Kehne Lago"" by angel4u in Shayri-E-Dard
Woh Lautkar Phir Naa Aayenge "Khwaish" by khwahish in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: June 29, 2009, 05:29:46 AM »
Reply with quote
Wah wah Aaina ji,excellent,bahut khoob,keep it up. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: June 29, 2009, 10:47:33 AM »
Reply with quote
MashAllah Aslam bhaijan bahaut bahaut acha likha hai yaar...Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: June 29, 2009, 11:54:35 AM »
Reply with quote
Aap aayenge to fizao.n ki ada kuch aur hogi
Mehkegi har simt khushbu rang e hina kuch aur hogi

Ye jo mousam abhi mujhse katra ke nikla jate hain
Mujhme samayenge ye, inki waza kuch aur hogi

Har qadam mere jaanib jab badhega tera
Rang har gul pe chadhega fiza kuch aur hogi

Tujhse milne ko betaab sabhi honge ey nadiya
Gungunaate huway dariyao.n ki nida kuch aur hogi

Tere aane ki khabar lay ke aayegi jo
Wo mehki hui baad e saba kuch aur hogi

Is dil pe chalega phir tumhara jaadu
Meri hi dhadkan mujhse bewafaa kuch aur hogi

Chala bhi aa ke har sitam manzoor tera
Tu baho.n mai hoga to aslam ki saza kuch aur hogi


Bohot hi pyaari aur mohabbat se choor ye ghazal....Bohot Khoob Aslam Ji
Logged
HumTum
Guest
«Reply #4 on: June 29, 2009, 01:11:37 PM »
Reply with quote
waah .. bahut aaccha likha hai aap ne....   do lines kissi Shayar ki likhi yaad aa gyin.

Shamma jalaye rakhna jab tak ke mein na aau
kudh ko bchaye rakhna jab tak ke mein na aau !!


Kucch arz hai .....


Door kissi des mein bulata hai koi
Rahoon mein palkein bichata hai koi

Rasta na rokein yeh fizaoon se keh do
Pyaar bhariii bahien failata hai koi

Kaseey na jau ke bahut der se mujhko
Muhhobat ki gazalein sunata hai koi !!


HumTum

Logged
shayara
Guest
«Reply #5 on: June 30, 2009, 06:54:45 AM »
Reply with quote
Aaina Ji,

Bohot Khoob

Shayara

Logged
shayara
Guest
«Reply #6 on: June 30, 2009, 06:55:33 AM »
Reply with quote
HumTum Ji,

Very nice

Shayara
Logged
aaina
Guest
«Reply #7 on: June 30, 2009, 08:18:36 AM »
Reply with quote
Wah wah Aaina ji,excellent,bahut khoob,keep it up. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

thnxxxx so much madhu
Logged
aaina
Guest
«Reply #8 on: June 30, 2009, 08:19:26 AM »
Reply with quote
MashAllah Aslam bhaijan bahaut bahaut acha likha hai yaar...Applause
bhut bhut shukriya bro is hosla afzaai ka
Logged
aaina
Guest
«Reply #9 on: June 30, 2009, 08:20:49 AM »
Reply with quote
waah .. bahut aaccha likha hai aap ne....   do lines kissi Shayar ki likhi yaad aa gyin.

Shamma jalaye rakhna jab tak ke mein na aau
kudh ko bchaye rakhna jab tak ke mein na aau !!


Kucch arz hai .....


Door kissi des mein bulata hai koi
Rahoon mein palkein bichata hai koi

Rasta na rokein yeh fizaoon se keh do
Pyaar bhariii bahien failata hai koi

Kaseey na jau ke bahut der se mujhko
Muhhobat ki gazalein sunata hai koi !!


HumTum



thnxxxx so much humtum, nd bhut khoob kaha aane bhi keep writing, very nice
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: June 30, 2009, 08:22:06 AM »
Reply with quote
Aaina Ji,

Bohot Khoob

Shayara



bhut bhut shukriya shayara ji
Logged
aaina
Guest
«Reply #11 on: June 30, 2009, 08:23:03 AM »
Reply with quote
Bohot hi pyaari aur mohabbat se choor ye ghazal....Bohot Khoob Aslam Ji
shukriya talat
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #12 on: January 11, 2010, 01:23:25 AM »
Reply with quote
bahut hi accha likha hai aaina jee
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #13 on: January 11, 2010, 06:18:38 AM »
Reply with quote
Sach mea bahoot umda likha hai Aslam ji.. Bahoot Khoob!
Logged
leena loves kamlesh
Guest
«Reply #14 on: January 11, 2010, 06:28:48 AM »
Reply with quote
wah wah!! very toching poetry Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:11:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer