Aapka Intezar

by Akash Basudev on February 03, 2014, 08:09:15 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 888 times)
Akash Basudev
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
1 days, 14 hours and 21 minutes.

Posts: 353
Member Since: Jan 2014


View Profile
Reply with quote


Pehle ki ek likhi huyi yeh rachna hai jise kaafi dil se likha tha ...

Aapke aane se pehle....Aapke jaise ka intezaar sad5

jalte bujhte the pehle armaano ke diye, zindagi gujera karti thi andheri raaton mei
kuch karne ki mujhme taaqat to thi,par umeed qaid thi gumshuda salakhon mei

kisi fariste ke aane ka intezaar tha ,mera sabr de raha jawaab tha
meri falak se toote sitaare the ,gehre zakhm hi bache hamare the

seene mei jalti huyi ek aag thi,kisi saahil ki mujhe talash thi
zindagi lagti muskil paheli thi ,bebasi hi uski bachi saheli thi

veeraniyaan dil ki mehmaan thi,hairaaniyan dil ki pehchaan thi
gam ne har taref pankh failaaye the ,mujhko bachaane tab tum aaye the


Aapko janene ke baad ....Aapse milene ka intezaar  Usual Smile


dil mei ek bechaini ho rahi hai,aapse milene ka waqt paas aa raha hai
meri zindagi ka sabse haseen lamha ,palkon pe anginat khwaab saja raha hai

jugnoo andheri raaton ko roshan karne lage hain,har ek lafz aapka, jaise phool barsa raha hai
kisi saahir ka yeh koi jadoo sa lagta hai,jo aapki raahon ko mujhse milwa raha hai

us ajeem-o-shaan khuda se fariyaad karta hun,kuch karne ka hausla saath rakhta hun
apni taqdeer ko to mei badal nahin sakta ,par umeed ko hamesha paas rakhta hun

mei waaqif hun waqt ki ada se ,is rishte ko zaroor waqt aajmayega
par aapse mulaqaton ka jo silsila suru hoga, wo roke se na kabhi ruk payega


is intezaar ka bhi ek maza hai ,betaabi ka yeh aalam naya hai
bewajeh mujhko satane wala,aaj gam bhi mujhse juda hai
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: February 03, 2014, 09:37:07 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: February 04, 2014, 04:30:45 AM »
Reply with quote


Pehle ki ek likhi huyi yeh rachna hai jise kaafi dil se likha tha ...

Aapke aane se pehle....Aapke jaise ka intezaar sad5

jalte bujhte the pehle armaano ke diye, zindagi gujera karti thi andheri raaton mei
kuch karne ki mujhme taaqat to thi,par umeed qaid thi gumshuda salakhon mei

kisi fariste ke aane ka intezaar tha ,mera sabr de raha jawaab tha
meri falak se toote sitaare the ,gehre zakhm hi bache hamare the

seene mei jalti huyi ek aag thi,kisi saahil ki mujhe talash thi
zindagi lagti muskil paheli thi ,bebasi hi uski bachi saheli thi

veeraniyaan dil ki mehmaan thi,hairaaniyan dil ki pehchaan thi
gam ne har taref pankh failaaye the ,mujhko bachaane tab tum aaye the


Aapko janene ke baad ....Aapse milene ka intezaar  Usual Smile


dil mei ek bechaini ho rahi hai,aapse milene ka waqt paas aa raha hai
meri zindagi ka sabse haseen lamha ,palkon pe anginat khwaab saja raha hai

jugnoo andheri raaton ko roshan karne lage hain,har ek lafz aapka, jaise phool barsa raha hai
kisi saahir ka yeh koi jadoo sa lagta hai,jo aapki raahon ko mujhse milwa raha hai

us ajeem-o-shaan khuda se fariyaad karta hun,kuch karne ka hausla saath rakhta hun
apni taqdeer ko to mei badal nahin sakta ,par umeed ko hamesha paas rakhta hun

mei waaqif hun waqt ki ada se ,is rishte ko zaroor waqt aajmayega
par aapse mulaqaton ka jo silsila suru hoga, wo roke se na kabhi ruk payega


is intezaar ka bhi ek maza hai ,betaabi ka yeh aalam naya hai
bewajeh mujhko satane wala,aaj gam bhi mujhse juda hai



Great work.
Logged
Akash Basudev
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
1 days, 14 hours and 21 minutes.

Posts: 353
Member Since: Jan 2014


View Profile
«Reply #3 on: February 04, 2014, 03:27:48 PM »
Reply with quote
Thanks Ravi ji and Saini ji
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #4 on: February 04, 2014, 06:52:26 PM »
Reply with quote
bahut khoob.. Usual Smile
Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Akash Basudev
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
1 days, 14 hours and 21 minutes.

Posts: 353
Member Since: Jan 2014


View Profile
«Reply #5 on: February 05, 2014, 01:48:46 AM »
Reply with quote
Shukriya Touhid ji Usual Smile
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:30:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer