AAPKE CHEHRE KO DIN RAAT PADHA KARTE HAIN

by waquif ansari on March 22, 2010, 10:24:01 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2600 times)
waquif ansari
Guest
Reply with quote
GHAZAL

Na koi shikwah, shikaayat, na gilah karte haiN
Haq muhabbat ka shab-o-roz ada karte haiN

Ishq ki raah meiN Khanjar pe gala karte haiN
Is tarah farz muhabbat ka ada karte haiN

Ho jafa unko mubaarak jo jafa karte haiN
Hum muhabbat ke poojaari haiN wafa karte haiN

Ik Khata bas yahi sarkar kiya karte haiN
Aapke chehre ko din raat paDha karte haiN

Ishq ki rasm ko is Tarha ada karte haiN
Haath thaame hue kuchh door chala karte haiN

Subh se shaam talak, shaam se yuN subh talak
“Saans ke saath tujhe yaad kiya karte haiN”

Is liye unko kisi gham ne sataaya hi nahiN
Istefaadah jo mire gham se kiya karte haiN
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Raat din ghar me raha karte the by Dewana_Badal in Shayri-E-Dard
Darte hain kyunki tujhe pyar karte hain by Ricky in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
*@*Tere haseeN chehre meiN aesa rubaab haiN..."Ek Nazm& by Paigam_A_Ishq in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aaj Hain Hum, Kal Naye Chehre Honge...(Shihab) by majid in Miscellaneous Shayri
Usi Chehre Ko Har Chehre MeiN Dhundhe HaiN.... by Bishwajeet 'Musaahib' in Ghazals
brokenbyluv
Guest
«Reply #1 on: March 22, 2010, 10:28:22 AM »
Reply with quote
bahut hi khoob...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: March 22, 2010, 10:35:07 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob!!!!
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #3 on: March 22, 2010, 11:05:22 AM »
Reply with quote
bahut hi khoob...
Aapka bahut bahut shukriya brokenbyluv.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #4 on: March 22, 2010, 11:07:01 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob!!!!
khwaish ji! aapka bahut shukriya k meri ghazal pasand aayee.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #5 on: March 22, 2010, 11:15:18 AM »
Reply with quote
Wah wah wah....Waqif sahab kya shandaar ghazal likhi hai ke daton tale ungli daba li. Kitne saare matle likh diye aapne, kitna mushkil kaam hai. Kaash hum bhi kabhi aise ghazal likh payen. Agar mumkin hota to aapke paas rah kar kuchh din ilm-e-shayari hasil karta. Har lihaaz se khoobsurat aur taghazzul se bharpoor is ghazal se dil mehzooz ho gaya. Marhaba, afreen.

Sochney waale to bas sochtey reh jaate hain
Ishq ki raah mein dil waale badhaa karte hain


GHAZAL

Na koi shikwah, shikaayat, na gilah karte haiN
Haq muhabbat ka shab-o-roz ada karte haiN

Ishq ki raah meiN Khanjar pe gala karte haiN
Is tarah farz muhabbat ka ada karte haiN

Ho jafa unko mubaarak jo jafa karte haiN
Hum muhabbat ke poojaari haiN wafa karte haiN

Ik Khata bas yahi sarkar kiya karte haiN
Aapke chehre ko din raat paDha karte haiN

Ishq ki rasm ko is Tarha ada karte haiN
Haath thaame hue kuchh door chala karte haiN

Subh se shaam talak, shaam se yuN subh talak
“Saans ke saath tujhe yaad kiya karte haiN”

Is liye unko kisi gham ne sataaya hi nahiN
Istefaadah jo mire gham se kiya karte haiN

Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #6 on: March 22, 2010, 12:04:31 PM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #7 on: March 22, 2010, 12:10:36 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley  Applause  icon_thumleft
Logged
limra
Guest
«Reply #8 on: March 22, 2010, 01:13:03 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob wah wah
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: March 22, 2010, 02:00:31 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Waquif Ji
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #10 on: March 22, 2010, 02:18:46 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


Aapke kalaam ko hum baar baar padha karte hain
Koi likhe hamare liye,Man-he-man socha karte  hain
Logged
drpandey
Guest
«Reply #11 on: March 22, 2010, 05:55:06 PM »
Reply with quote
GHAZAL

Na koi shikwah, shikaayat, na gilah karte haiN
Haq muhabbat ka shab-o-roz ada karte haiN

Ishq ki raah meiN Khanjar pe gala karte haiN
Is tarah farz muhabbat ka ada karte haiN

Ho jafa unko mubaarak jo jafa karte haiN
Hum muhabbat ke poojaari haiN wafa karte haiN

Ik Khata bas yahi sarkar kiya karte haiN
Aapke chehre ko din raat paDha karte haiN

Ishq ki rasm ko is Tarha ada karte haiN
Haath thaame hue kuchh door chala karte haiN

Subh se shaam talak, shaam se yuN subh talak
“Saans ke saath tujhe yaad kiya karte haiN”

Is liye unko kisi gham ne sataaya hi nahiN
Istefaadah jo mire gham se kiya karte haiN

Wah..Wah..bahut hi umda ghazal Ansari Sahab..aur kuchh nahin apni tamanna ko haqeer se alfazon mein aapko samarpit karta hun..

Toottey falak ke taaroN se kaha kartey haiN
Aapke bazm mein Aane ki duva kartey haiN..
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #12 on: March 23, 2010, 04:06:00 AM »
Reply with quote
Wah wah Ansari ji,bahut khoobsurat gazal likha aapne.great work.bahut achi lagi aapke ye gazal.excellent Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #13 on: March 23, 2010, 09:59:12 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Ansari Ji
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #14 on: March 23, 2010, 10:01:58 AM »
Reply with quote
Wah wah wah....Waqif sahab kya shandaar ghazal likhi hai ke daton tale ungli daba li. Kitne saare matle likh diye aapne, kitna mushkil kaam hai. Kaash hum bhi kabhi aise ghazal likh payen. Agar mumkin hota to aapke paas rah kar kuchh din ilm-e-shayari hasil karta. Har lihaaz se khoobsurat aur taghazzul se bharpoor is ghazal se dil mehzooz ho gaya. Marhaba, afreen.

Sochney waale to bas sochtey reh jaate hain
Ishq ki raah mein dil waale badhaa karte hain


Wah bhai wah! kin kin alfaaz se aapne ghazal ki taareef ki hai, ye sub dekh kar khoob se khoobtar likhne ki tamanna dil meiN jaagrit hone lagti hai. Aap jaise qadrdaan hi hausloN ko jila bakhshte haiN. Isi tarah himmat-afzaayee kijiye aur is khaaksaar ko duaaoN meiN yaad karte rahiye.
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:13:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer