Aapke Liye

by Daredevil on October 22, 2008, 03:56:43 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1007 times)
Daredevil
Guest
Reply with quote
Us ko chaha to boht magar wo mila hi nahin
lakh koshish ki magar wo dil se mita hi nahin

us ko zamane ne majboor is qadr kar diya
ki wo meri kisi sada par ruka hi nahin

khuda se johli pehla- pehla kar manga tha use
magar khuda ne meri kisi dua ko suna hi nahin

har ek se poocha sabab uske na milne ka
har ek ne bataya ki wo tere liye bana hi nahin

mein tmam umar ki koshishon ke bavjood bhi nakam ho gaya
aur wo mil gayi usko jise usne kabhi MANGA hi nahin


Not Mine
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aapke Liye by gstyagi in Shayri for Dard -e- Judai
Aapke Liye by gstyagi in Shayri for Dard -e- Judai
Aapke Liye by rakeshthp in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Aapke Liye by rakeshthp in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aapke Liye by rakeshthp in Shayri for Khumar -e- Ishq
Daredevil
Guest
«Reply #1 on: October 22, 2008, 03:57:29 PM »
Reply with quote
Apne Seeney Se Laga Ke Mujhe,
Dooriyaan Kabhi Mitta Toh Sahi,

Na Shikwa Na Gilla Hai Tujhse,
Mehfil Mein Hamein Bula Toh Sahi,

Kyu Anjaan Hai Mere Pyar Se Tu,
Dil Ko Dil Ke Kareeb Laa Toh Sahi,

Dekh Tu Bhi Mere Saath Haseen Sapne,
Tanha Raat Mein Kabhi Gungunaa Toh Sahi,

Apni Judaai Mein Ek Baar Phir Se,
 mujKo Tu Rula Toh Sahi....

Not Mine
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #2 on: October 22, 2008, 03:57:53 PM »
Reply with quote
Aapne Mujhe Iss Qadar Apna Samjha Ke,
Aapne Mujhe Ek Jeene Ka Sahaara De Diya..

Dekhti Thi Jo Khawaab Mein Raaton Mein,
Vo Khawaab Aapne Mera Aaj Poora Kar Diya..

Yeh Raasta Toh Aage Abhi Door Tak Jaata Hai,
Acha Hua Ke Aapne Yun Mera Saath De Diya..

Saath Saath Bas Yunhi Chalte Rahe Humtum,
Pata Bhi Na Chala Yeh Waqt Kahan Guzar Gaya..

Himmat Toh Nahin Thi Aapse Kuch Keh Paane Ki,
Naajane Kaise Meine Aapse Yun Izhaar Kar Diya..

Sochti Thi Ke Kya Jawaab Aayega Aapka,
Intezaar Hi Intezaar Mein Aapne Apna Jawaab De Diya..

Not Mine
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #3 on: October 22, 2008, 03:58:29 PM »
Reply with quote
Chaaha Hai Tumhe Har Chaahat Se Ziyaada,
Maanga Hai Tumhe Har Mannat Se Ziyaada..

Ab Toh Khuda Se Dua Yahi Hai Bas,
Umar Ho Tumhaari Mujhse Bhi Ziyaada..

Not Mine
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #4 on: October 22, 2008, 04:02:00 PM »
Reply with quote
aaye the raqeebon ke shahar ghadi bhar ko
vohi rafeeqon ki mahfilen dikhi dekha jidhar ko

aurangzeb tune noor'e'ishq to dekhne dia
yahan kisko maloom noor kahte hain kisko

ye gham cheez badi umda! milta naseeb se
isi jahan me sab mila kya dekhe us jahan ko

apne paas jo kuchh bhi nahi rakhta
kya milega kisi ko use satane ko

dekhen kab tak milta hai tu hume
hum to thhaan chuke khud ko mitane ko

ashk girta hai janam uska ishq nahi
aa jate hai kitne ashk use bulane ko

unki zindagi me meri jagah koi kya lega
ek hum hi to rah gaye unhe bhulane ko

aazma le vaqt'e'daur tu bhi zakhmo par haath apne
hum chahenge tab bhi nafaraton ke zamane aane do

jise bhi dekhie vafaon ka maseeha bana hai
goya ishq nahi koi patang shaam ki hai ladane ko


Not Mine
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #5 on: October 22, 2008, 04:02:15 PM »
Reply with quote
aur tum bhi shauk'e'ishq aur rakhte ho
hume hi chuna aasteen'e'khanjar khane ko

unhe chahte han unhe poojte hain dil me vohi hain
kaise rokun vo jate hain hume nazar se girane ko

vo khanjar haath me leke dar pe baithhe hain
dhaar bhi nahi uspe betaabi nahi aati chhupaane ko

lautna "kaash" ab mumkin na raha yahan se
ab to raaste bhi tyaar nahi hote teri vaapsi ko

Not Mine
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #6 on: October 22, 2008, 04:02:27 PM »
Reply with quote
aur kitne dard kitne sitamgar milenge
aur kis kis se hum apnepan ki aas karenge

jisko bhi humne chaha usi se zakhm khaya
mere khuda kahin aap bhi to aise na niklenge

ek to pehle se ghamzada uspe tumne ruswa kar dia
arsa hua par aaj bhi bhi hum sir na uthha sakenge

unhe paake saare gham hume hume ghamon ko bhoole
navaqif the unke baad purane dard bhi naye nazar aayenge

dard to subah'o'shaam ka dia usne par itna na bataya
kisi kisi roz ye had se zyada badh chalenge

aap se apnapan bhi kum na mila humko
laakh tadpen par har gham sah hi jayenge

hume bhulake tumne apna haq to jata diya
hum itna jante hain aapko hum na bhula sakenge

ho sakta hai use kabhi mere saaye se bhi nafrat ho jaye
"kaash" hum phir bhi har zindagi me unki berukhi chunenge

Not Mine
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #7 on: October 22, 2008, 04:02:44 PM »
Reply with quote
chaand taaron ko yun hum aapko de denge
aapke lie naye aasmano ka jahan bana denge

aap khush raho bus yahi ummeed bachi hai
hum aapki har nakaami ko apna bana lenge

apna maanke kuchh log hume duaaen dete hain
hum unki duaen bhi tere ghar me saja denge

bebasi janam hamare zameer ko yun raunde hai
aap kahen hum ghulaami bhi manzoor kar lenge

junoon ki halat bekas hai par shaan'o'shaukat behtareen
laakh tadpen par dekhne ki hasrat se jee hi lenge

guroor ne naye muqaam hasil nahi khud banaye hain
hum aapke saath ki khatir aapse rishta badal lenge

mere sabr ko humdum kabhi to bharosa dijiye
aapki kasam hum zyada din ab na jee sakenge

faqat likhne ki baat jo tumne bhi soch li
phir taumr hum kuchh bhi na likh sakenge

dhandkane muntazir hain shauk'e'ehsaas'e'dard se yun "kaash"
shayad is janam me hum ab na muskura sakenge

Not Mine
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #8 on: October 22, 2008, 04:02:59 PM »
Reply with quote
khuda tu mohabbat ka naam kuchh aur rakh de
maaseeha'e'nafrat rakh ya deewana'e'nafrat rakh de

E qalam aaj tu bhi fizaaon ke saath khel jee bhar ke
dard'e'sehra me saba kabhi sard kabhi betahasha garm kar de

kal unhe bhi aur hume bhi kahin le hi jayega
e vaqt tu unki zulfon me zindagi ki shaam kar de

gham'e'yaad ke aane se pehle zara E hayaat
dil'e'shaad ko badguma na kar nashaad kar de

Not Mine
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #9 on: October 22, 2008, 05:06:30 PM »
Reply with quote
Nice sharing Daredevil Ji

Kuch apna bhi likhiye
Apne andar ki raaj ubhariye
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #10 on: October 22, 2008, 05:17:38 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: October 22, 2008, 05:35:29 PM »
Reply with quote
Very Nice Sharing, Daredevil
Logged
roshini
Guest
«Reply #12 on: October 22, 2008, 06:49:22 PM »
Reply with quote
alle wah kaun hai wo khush naseeb jiii...
.
[/i][/b]

Chaaha Hai Tumhe Har Chaahat Se Ziyaada,
Maanga Hai Tumhe Har Mannat Se Ziyaada..

Ab Toh Khuda Se Dua Yahi Hai Bas,
Umar Ho Tumhaari Mujhse Bhi Ziyaada..

Not Mine
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 01:56:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer