Aapko Dekhkar

by Miss Kismat on November 18, 2004, 01:18:49 PM
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13]
ReplyPrint
Author  (Read 12633 times)
Soheb_Khan
Guest
«Reply #180 on: December 06, 2004, 01:27:47 PM »
Reply with quote
i know yaar ... was gud  :wink:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Sirf Dekhkar Hi Khush Hai by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Auron ke Dard Dekhkar Phir Muskurayin na Kabhi by @kaash in Ghazals
Is daron deewar ko dekhkar... by daljeet_faqeer in Shayri for Dard -e- Judai
dekhkar hi tujhko by saahill in Share:Love Poetry
tujhe dekhkar tujhe dekhkar by saahill in The forum only for "Forum Gaming"
Miss Kismat
Guest
«Reply #181 on: December 06, 2004, 02:15:38 PM »
Reply with quote
Quote from: "Soheb_Khan"
i know yaar ... was gud  :wink:


Haha oke Thanks, i was just joking too yaar... :lol:
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #182 on: December 06, 2004, 02:28:38 PM »
Reply with quote
Quote from: "Miss Kismat"
Thnxx Soheb and Myheart...it was just a shayari...(hahah  :lol: ... :oops: )



poori rart meine apni khaali khopdi ghumayi
jab padha tera msg tab baat samajh me aayi
koi luv letter hota to samajh bhi lete
par ye to kambakht shayari hai mere bhai


 :wink:
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #183 on: December 06, 2004, 06:45:07 PM »
Reply with quote
Ye  shaam  tanhaai  gale  lagaye  hue
khadi  hai  mere  darwaze  pe  muskuraye  hue

Ye  berang  zindagi  bhi  kya  rang  layi  hai
Har  ghadi,  har  pal  bhi  gaya  sar  jukaye  hue

Dil  ne  sapno  se  bhari  mehfilee  tarashi  thi
Lo  chale  dil  ke  armaan  bhi  mu  chupaye  hue

Kaun  kehta  hai,  gumo  ke  koyi  saathi  nahi
mere  gumo  ke  saathi  hi  mere  saaye  hue
 :oops:
Logged
lovebites
Guest
«Reply #184 on: December 06, 2004, 07:41:20 PM »
Reply with quote
Samandar ki hawaa-oN per tumhara naam likh dooN ga
maiN saahil per, maiN lehroN per, tumhara naam likh dooN ga


mehak utthay ga aangan phir mera, aangun kay phooloN sey
main jub aangun kay phooloN per tumhara naam likh dooN ga


asa hoga na meray haath maiN jub paar kernay ko
maiN derya kay kinaaroN per tumhara naam likh dooN ga


Khala maiN jaaoN ga maiN aik shab aur apnay haathoN sey
falak kay sub sitaaroN per tumhara naam likh dooN ga


Khushi sey ro paRaiN gi daikh layna baylay ki kalyaaN
maiN jub baylay ki kalyoN per tumhara naam likh dooN ga


tumhara naam haatoN maiN jo qudrat nay nahiN likha
to maiN khud apnay haathoN per tumhara naam likh dooN ga


dhanak ubhray gi jub hanza ek gehray sey baadal per
dhanak kay saaray rungoN per tumhara naam likh dooN ga
]
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #185 on: December 07, 2004, 09:05:34 AM »
Reply with quote
Bahot Ghoob Myheart and LoveBites... :lol:

Dil ke rishte ajeeb hote hai
Dur rehkar bhi kareeb hote hai
Jo loog aapko roz deekhte hai
Woh loog to kitne khush naseeb hote hai

Zindagi bar karungi aitebar tera,
Jaise yeh deewani dil nahin raha mera.
Uparwaley ke nahin thi marzi,
Kar diya humé judaa kitne chaldi
Ab aa kar dam thak yaad karungi tera
Kash aghley janam mein mulaqat hogi humari.
 Puzzled !
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #186 on: December 10, 2004, 11:12:51 PM »
Reply with quote
Pyaar..

Do nayan mile,
Do nayan jhuke,
bas pyaar ho gaya,
jaan nahi pehchaan nahi,
woh yaar ho gaya,
duniya uthi diwar bani,
woh marne ke liye tyaar ho gaya
 

Floral Wounds!

Logon ne kaanton se zakham khaye hain,
Humne kaanton ko galey lagaya hain,
Log phoolon pey muskuratey hain,
Humne phoolon se zakham khaye hain!

Husn-o-jawani

Husn-o-jawani ho to har ik ko garoor aata hai
tere in bahar aadaon ko dekh kar hamain saroor aati hai
tujhe bahar kaha to faqat is liye kay har mousam
shajar se rooth bhi jaaye to loot kar zaroor aata hai
 :oops:
Logged
lovebites
Guest
«Reply #187 on: December 11, 2004, 12:48:36 PM »
Reply with quote
aabro-e-ishq ki tamanna tu woh hee karey ga
seekha na ho jis nein ishq mein khud ko mitana



abhi to musam khushk buhat hai barish ho to sochain ge
hum ne apnay armanoan ko kis matti mein bona hai



Is Dyaare Chasm o Lub mein dil kee yeh Tanhyahaan
In Bharey shehron mein bhee Shaam e Ghareeban dekhiye
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #188 on: December 11, 2004, 02:07:05 PM »
Reply with quote
Quote from: "Miss Kismat"
Ye  shaam  tanhaai  gale  lagaye  hue
khadi  hai  mere  darwaze  pe  muskuraye  hue

Ye  berang  zindagi  bhi  kya  rang  layi  hai
Har  ghadi,  har  pal  bhi  gaya  sar  jukaye  hue

Dil  ne  sapno  se  bhari  mehfilee  tarashi  thi
Lo  chale  dil  ke  armaan  bhi  mu  chupaye  hue

Kaun  kehta  hai,  gumo  ke  koyi  saathi  nahi
mere  gumo  ke  saathi  hi  mere  saaye  hue
 :oops:

wah!!!!  miss kismat.........lovebite.........nice work..........
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #189 on: September 05, 2006, 02:13:34 AM »
Reply with quote
Quote from: "Soheb_Khan"
Kyun itne udaas ho kyun itne gumsum.....

kyun lagate ho dil ko in haseen pathhron se........

 

dil lagate hain unse jinke seene mein bhi dil ho........

dil milate hain unse jinke seene mein bhi dard ho...

 

har kisi ko milta hai apna humsafar zindagi mein.....

udaas tu bhi na ho is zindagi-ki-mahfil mein.......


gum na apna chupa tu isse mehfil mein
humbhi ussi safar ke mehmaan hain

ansu tu chupa maath....hum bhi sabh dhoobhe hain ghum mein
yeh muskuarahatein dooh dinh ki mehmaan hain

khoya raah hai tu inh yaadoin mein
abbh yehi tere zindagi baar ke liye saach saathi hain :D:D:D:D
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #190 on: November 30, 2008, 01:36:12 PM »
Reply with quote


gum na apna chupa tu isse mehfil mein
humbhi ussi safar ke mehmaan hain

ansu tu chupa maath....hum bhi sabh dhoobhe hain ghum mein
yeh muskuarahatein dooh dinh ki mehmaan hain

khoya raah hai tu inh yaadoin mein
abbh yehi tere zindagi baar ke liye saach saathi hain :D:D:D:D



GUM KA CHUPANA KOI KHEL NAHI
AASOO OH KOH CHUPANA KOI KHEL NAHI
DARD MEH DOOBA HAI DIL MERA
DARD SAB KOH BATANA KOI KHEL NAHI


KHOYA KHOYA HI REHTA HU
MEHFILEY SAJANA KOI KHEL NAHI
MUSKURAHAT KAHA HAI ABB HOTOH PEH
MEHFIL MEH HASANA KOI KHEL NAHI


JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #191 on: May 13, 2011, 08:30:09 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower
Logged
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:34:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer