Aapko Dekhkar

by Miss Kismat on November 18, 2004, 01:18:49 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 13
ReplyPrint
Author  (Read 12495 times)
Miss Kismat
Guest
«Reply #90 on: November 26, 2004, 06:44:48 PM »
Reply with quote
Quote from: "Nedura!"
miss kismet i love that song


Tnxx Nedura...me too.

Kabhi aansun, kabhi khusbu,

Meri Aankhon ko bakhse hai aansu....
Dil ko daawe alam de gaye hai..
Ish ki Nayak pe qurbaan jaawu
Pyaar manga tha, magar gham de gaye…
Dene aaye the humko Tasalli, woh tasalli to kya humko denge...??
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Sirf Dekhkar Hi Khush Hai by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Auron ke Dard Dekhkar Phir Muskurayin na Kabhi by @kaash in Ghazals
Is daron deewar ko dekhkar... by daljeet_faqeer in Shayri for Dard -e- Judai
dekhkar hi tujhko by saahill in Share:Love Poetry
tujhe dekhkar tujhe dekhkar by saahill in The forum only for "Forum Gaming"
Miss Kismat
Guest
«Reply #91 on: November 26, 2004, 11:26:57 PM »
Reply with quote
Likh diya apne dar pe kisine
Is jaga pyar karna mana hai,
pyar agar ho bhi jayen kisiko to iska izhaar karna mana hai...?
Unki Mehfil mein jab koi jaaye pehle,
nazarein woh apni zukaien.
Woh sanam joh khudda ban gaye hai..
unka deedar karna mana hai?

Jazbat aur ahsasat ki woh haseen tasveer hai joh har
insan ki zindagi mein kabhi na kabhi uske dil mein zarur paida hoti hai
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #92 on: November 27, 2004, 07:12:56 AM »
Reply with quote
very nice miss kismat...gr8..

Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain
Par Dilon Ke Shehar To Ujadte Nahi..
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To
Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi..
(NM)
Logged
lovebites
Guest
«Reply #93 on: November 27, 2004, 07:43:13 AM »
Reply with quote
Jaate jaate mujhee ilzaam to dete jaao
Dil ke rishtee ko to koi naam dete jaao
Dum nikal jayee jo uth kar sabee - tunhai mein
Mujko wapas dil e nakam to dete jaao
Main kisi aur ka ayesas toh le nahi sakta
Meri kismat mera anjaam to dete jaao
Phool mehekaao ki daman mein sajoo kaate
Mere hise ka mujhee kaam to dete jaao
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #94 on: November 27, 2004, 11:51:02 AM »
Reply with quote
Sandeepparker and Lovebites...you guys are amazing, keep it up...My compliments...!!!

Jee to chahe milein tumse, batein karein.
Tumse rishte hain kuch tumse nate hain kuch...
Sham ki chay ek saath milkar piyen hum..
Khatm ho jayen dil mein jo sikhwe hain kuch
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #95 on: November 27, 2004, 12:05:38 PM »
Reply with quote
very nice sandeep bhai......miss kismat........lovebites....

yoonhi tanhaee mein hum dil ko saza dete hain
naam tera likhte hain, likh ker mita dete hain  (nm)
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #96 on: November 27, 2004, 12:16:46 PM »
Reply with quote
thnxx Waheed....great poem
Logged
lovebites
Guest
«Reply #97 on: November 27, 2004, 12:37:25 PM »
Reply with quote
akela dekh k tum ko
humey ehsaas hota hai
kabhi hum bhi akeley they

agarchey sheher mai
dil k liye
lakho jhameley they
hazaro rang meley they
magar itni bahoot c ronako mai
hum akaley they

akela dekh k tum ko
humey ehsas hota hai
kabhi hum bhi akeley they

phir ek din hum ne in tanhaiyo se dosti kar li
akeley reh k jiney ka qareena aagaya hum ko
koi bhi rot ho

apni aankh hargiz nam nahi rakhtey
ye aalam hai k abb
tanhaiyo ka ghum nahi rakhtey
magar phir bhi humey tanha nazar aata hai jab koi
to phirr ehsas hota hai

kabhi hum bhi akeley they.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #98 on: November 27, 2004, 04:32:17 PM »
Reply with quote
thanx miss kismat...........nice lovebites,,,,,,,,
Logged
lovebites
Guest
«Reply #99 on: November 28, 2004, 04:51:37 AM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
thanx miss kismat...........nice lovebites,,,,,,,,


thanks Waheed.....!

Souchta hoon mohabbbat se kinara kar loon
Dil ko begana-e-terghieb-o-tamana kar loon

Souchta hoon ke mohabbat hai junoon-e-ruswa
Chand bekar se behuda khayalon ka hujoom
Aik azad ko paband bananey ke hawas
Aik beganey ko apnaney ke sa'ee muhoom

Souchta hoon mohabbat hai suroor-o-masti!
Iss ke tanveer se roshan hai faza-e-hasti

Souchta hoon ke mohabbat hai bashar ke fitrat
Iss ka mit jana mita dena bohat mushkil hai
Souchta hoon ke mohabbat hai tabinda-e-hayat
App ye shama bujha dena bohat mushkil hai

Souchta hoon ke mohabbat pe kari shartien hien
Iss tamad'dun me musarrat pe bari shartien hein

Souchta hoon mohabbat hai aik afsurda se laash
Chaddar-e-izzat-o-namoos me kafnai hui
Daur-e-sermaya ke ro'ondi hui ruswaa hasti
Dergah-e-mazhab-o-ikhlaq ke thukrai hui

Souchta hoon ke bashar aur mohabbat ka junoon
Aaise booseeda tamad'dun me hai ik karzaboon

Souchta hoon ke mohabbat na bachey ge zinda
Paish'azaan waqt ke sar jaye ye gaalti hui lash
Yahi behtar hai ke begana-e-ulfat ho kar
Apney seeney me karoon jazba-e-nafrat ko talash

Souchta hoon ke mohabbat se kinara kar loon
Dil ko begana-e-targheeb-o-tamanna kar loon
Logged
Pooja
Guest
«Reply #100 on: November 28, 2004, 07:14:44 AM »
Reply with quote
nice!!!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #101 on: November 28, 2004, 08:01:41 AM »
Reply with quote
Tum ney bhi thukra hi dya hai D u n y a sey bhi duur huey..
Apni ana key sarey seshay aakhir chakna choor huey

Hum ney jin per ghazlein sochein un ko chaha logoon ney..
hum kitney badnam huey woh kitnay mashoor huey

Tark-e-wafa ki sari kasmein un ko dekh key toot gayein..
Un ka naz salamat tehra hum hi zara majboor huey

Ik ghari ko ruk ker poocha us ney to ahwal magar..
baqi umer na murr ker dekha hum aesey maghroor huey

Ab key in ki bazm mein janey ka gurr mohsin izn miley..
zakhm hi in ki nazar ghuzarein,askh to na manzoor huey
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #102 on: November 28, 2004, 02:59:30 PM »
Reply with quote
wowowowowo lovebites.............. u r genius....
Logged
lovebites
Guest
«Reply #103 on: November 28, 2004, 03:46:52 PM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
wowowowowo lovebites.............. you r genius....


Yo........isn't it 2 much 4 me any hows thanks a  billion,trillion
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #104 on: November 28, 2004, 04:54:42 PM »
Reply with quote
nice lovebites..........miss kismat......
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:28:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer