Aate jaate lamhon ko dekha hai ...

by diya786 on November 05, 2008, 07:39:23 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1233 times)
diya786
Guest
Reply with quote
Aate jaate lamhon ko dekha hai
maine bhi khwab ek sunehra dekha hai
pal pal takti hoon raah tumhari
haan har khwab mein tumhe dekha hai

Tumhe jaate hue to rok na saki
par khud ko tumhare kadmon ke peeche chalte dekha hai

Jab bhi socha tumhe tanha maine
har lamha tumhe kareeb dekha hai

Din guzarta hai jaane kitne rang lekar
Is hawa mein bhi tumhare ehsaas ko dekha hai

Chahe kitni bhi dooriyaan ho humare beech
aankhein muund kar tumhe hi sabse paas dekha hai

Mujh mein bas gaye ho tum iskadar
aaine mein bhi tumhara deedar dekha hai

Na jaane kaisa yeh pyar hai tumhara
na dekhkar bhi tum he hi baar baar dekha hai

Logged
Sonia01
Guest
«Reply #1 on: November 05, 2008, 08:39:43 AM »
Reply with quote
bahut khoob diya sis... bahut accha likha hai...  Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: November 05, 2008, 01:32:25 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Diya
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: November 05, 2008, 01:39:00 PM »
Reply with quote
Aate jaate lamhon ko dekha hai
maine bhi khwab ek sunehra dekha hai
pal pal takti hoon raah tumhari
haan har khwab mein tumhe dekha hai

Tumhe jaate hue to rok na saki
par khud ko tumhare kadmon ke peeche chalte dekha hai

Jab bhi socha tumhe tanha maine
har lamha tumhe kareeb dekha hai

Din guzarta hai jaane kitne rang lekar
Is hawa mein bhi tumhare ehsaas ko dekha hai

Chahe kitni bhi dooriyaan ho humare beech
aankhein muund kar tumhe hi sabse paas dekha hai

Mujh mein bas gaye ho tum iskadar
aaine mein bhi tumhara deedar dekha hai

Na jaane kaisa yeh pyar hai tumhara
na dekhkar bhi tum he hi baar baar dekha hai


tere jaisa nahi kuch bhi tujse achcha nahi kuch bhi
yeh main nahi kehta woh kehta hain jisne sansar dekha hain
Logged
diya786
Guest
«Reply #4 on: November 06, 2008, 07:35:28 AM »
Reply with quote
BAHUT BAHUT SHUKRIYA SONIA DEAR,
TALAT JI AUR
SAJID SAHAB AAPNE DO HI LINES MEIN KAMAAL KAR DIYA
BAHUT ACCHA LIKHA HAI
Applause Applause
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #5 on: November 13, 2008, 04:06:41 AM »
Reply with quote
Aate jaate lamhon ko dekha hai
maine bhi khwab ek sunehra dekha hai
pal pal takti hoon raah tumhari
haan har khwab mein tumhe dekha hai

Tumhe jaate hue to rok na saki
par khud ko tumhare kadmon ke peeche chalte dekha hai

Jab bhi socha tumhe tanha maine
har lamha tumhe kareeb dekha hai

Din guzarta hai jaane kitne rang lekar
Is hawa mein bhi tumhare ehsaas ko dekha hai

Chahe kitni bhi dooriyaan ho humare beech
aankhein muund kar tumhe hi sabse paas dekha hai

Mujh mein bas gaye ho tum iskadar
aaine mein bhi tumhara deedar dekha hai

Na jaane kaisa yeh pyar hai tumhara
na dekhkar bhi tum he hi baar baar dekha hai



Waah...waqaee aapk ash'aar Mein Kashish Hai..Khumar e Ishq Wali
Bahot Khub Hai Ye Tarana e Ishq..
Andaaz bhi badhiya..diya
Logged
diya786
Guest
«Reply #6 on: November 14, 2008, 07:12:59 AM »
Reply with quote
BAHUT BAHUT SHUKRIYA ASHRAF
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 05:58:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer