AAYA PYAR KA DIN SUHANA.....(valentine's poem)

by CoolGirl on February 07, 2007, 04:55:07 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1951 times)
CoolGirl
Guest
Reply with quote
hello everybody
here u can post ur valentine day poems
so hurry up dont wait..................
lets start with me
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pyar aaya ishq aaya,Aur aaya intzaar by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
pyar se ki bewafai..andaaz pasand aaya by Devdas_online in Shayeri for Dard -e- Bewafai
pyar karna na aaya by zafarzeeshan in Shayri for Khumar -e- Ishq
PYAR KARKE BHULNA NA AAYA HUME by chetanmamtora in SMS , mobile & JOKES
pyar simat aaya hai....... by yati_om in Ghazals
CoolGirl
Guest
«Reply #1 on: February 07, 2007, 04:55:37 PM »
Reply with quote
aaya pyar ka din suhana
mausam bhi hai bhara mastana
dilwalo ka hai yeh zamana
kerlo kerlo pyar ki baatein
phir na milegi yeh sunhani raatein
aaj tham lo apne dilbar ka hath
aur khul do chahat ki kitabein
na gavao aaj yeh waqt
bejichik kerdo izhar-e-muhabbat
na milega aisa saathi kabhi
aaj merban hai tum pe kismat
bhool jao har gham ko
bas aage bharao kadam ko
aaj kerlo tum ye waada
tanha na choroge humdam ko
aaya pyar ka din suhana
mausam bhi hai bhara mastana
chahat walo ka hai ye tarana......
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #2 on: February 08, 2007, 02:29:20 PM »
Reply with quote
kese karen muhabbat ko beyan aik din main
kya kya batein apna haal aik din main
dil main tumari hamiyat kya hai
ye tumko kese samjhain aik din main
mahjabeen,nasneen,dilnaseen
kis kis naam se tumhe pukaron aik din main
tera chera to hai bhara afreen
jese chand zameen mein uttar aaya aik din main
tu hi meri zindagi tu hi meri bandagi
tere bina maar hi jayenge hum aik din main
ab to tum hi ho meri dilki RANI
bas yehi keh sakte hain hum aik din main....
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #3 on: February 08, 2007, 07:36:58 PM »
Reply with quote
very nice post  Cool Girl
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #4 on: February 09, 2007, 08:55:36 AM »
Reply with quote
pyar ke hain hum deewane
yar bina ye dil na maane
aaj tumse kehna hai kuch
hum to hogaye ab tumare



chahat ke phool khile hain
dilwale aaj mile hain
sunhani ye shaam bhari hai
her hoton pe hai bas yeh tarane
pyar ke hain hum deewane




kal ka kuch sochon nahi tum
dil main jo hai kehdo abhi tum
milega na ye waqt phir kabhi
aaj khulo tum saare afsaane
pyar ke hain hum deewane
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #5 on: February 09, 2007, 08:58:57 AM »
Reply with quote
Nice lines....Descibing the Love....Marvalous....Keep it up... Usual Smile
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #6 on: February 10, 2007, 03:37:54 AM »
Reply with quote
aaj ke dinh yeh dil nahi sambhalna
behak jana hai isse,,,,aur sajna ki bahoin mein hai basna

barsoon takh hai isse dinh ka intezaar kiya
haar lamha ussi ke naam hai maine kiya

koyi sarhad nahi hogi...koyi majboori nahi
humhe isse rangh mein rangh jana

karoge tum koyi guzarish tu hum bikhar jayenge....
ssoh jayenge teri bahoin mein,,,aur yeh lamha yaad karenge :D
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #7 on: February 10, 2007, 08:57:56 AM »
Reply with quote
thnx everybody
anjani u r also great
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #8 on: February 11, 2007, 07:49:44 AM »
Reply with quote
DIL MAIN BASTI HAI TU....
SANSO KA YAHI BAYAN HAI ....
PYAR BEPANAH TUJHSE KARTAY HAI....
BATATAY HUAY HUM YE DARTAY HAI....
PAR YE JANTAY HAI K CHAHAT LAFZO KI MOHTAJ HAI....
IKRAR SUNANAY KO TUMHARA DIL B BEKARAR HAI ....
MOHLAT DO HUMAY KUCH LAMHO KI....
TANHAYI MAIN KAHAY GAY JO PYAR KI BAAT HAI ....
TUJHSE MIL K TUJHKO BATAYEE GAY....
K HA TUJHI SE PYAR HAI....
TERE LIYE HI DIL BEKARA HAI....
IN SANSO KA TU HI HAKDAR HAI....
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #9 on: February 14, 2007, 08:26:27 AM »
Reply with quote
Piyaar hi who jazba hey jo sab key dil mey basta hey
Piyaar hi key dam sey insaan rotey rotey hansta hey,

Piyaar hi apni kamzori, piyaar hi apni taaqat hey
Piyaar hi her aik ki manzil ko janey wala rasta hey,

Piyaar hi aayyashi hey, piyaar hi zaroorat hey
Piyaar hi anmol hey sab sey, piyaar hi sab sey sasta hey,

Piyaar kisi key jeeney ka maqsad, kisi key jeewan ka amrat hey
Piyaar hi kisi ko naag ki manind, baar baar dasta hey,

Piyaar hi who jazba hey jo sab key dil mey basta hey
Piyaar hi key dam sey insaan rotey rotey hansta hey
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #10 on: February 14, 2007, 08:28:31 AM »
Reply with quote
Koi Dil ko choo kar guzar gaya abhi abhi
 Khamosh Dil main woh shor kar gaya abhi abhi

 Dil main sakoon  tha us se milne se pehle
Dil ki khizaon pe koi bahar kargaya abhi abhi

Yeh kya hogaya hum ne kabhi socha na tha
 Pursakoon raaton ko koi besakoon kargaya abhi abhi

 Ab to har pal us hi ki yaadein hain
 Mujhe  apno se bhi koi paraya kar gaya abhi abhi

Hum to sapne pehle bhi dekhte the
In sapno ko koi Haseen kargaya abhi abhi
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 09:51:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer