Aazmaish

by javedarshad on September 03, 2009, 01:51:45 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2529 times)
javedarshad
Guest
Reply with quote
Hum do ajnabi

Tu apni rooh se pareshaan
main apne wajood se naalan
Tujhe husn ne dasa tha
Mujhe raat ki khamooshi ne

Tu apni zakhmi rooh mein tadapta
Main apne wajood mein wajood dhoote
Is kash ma kashe zindagi ko
Aakhri salam kahne
Sahil per khamoosh khade they

Lekin manjhdhar se pahle
Teri zakhmi rooh ne
Achanak
Mere doobte wajood ko sahara diya

Kaianaat muskura uthi
Kahkashaan ne phool bersaye
Chandni ne bister sajaya
Shabnam ne maang bhari
Chand ne mubarak bad di
Lahroon ne geet gaye

Aur rooh
Wajood mein sama gaiye
Aazmaishe zindagi bhi
Kitni aajeeb hoti hai


Javed

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Waqt-e-aazmaish by faisal314 in Ghazals
Aazmaish e khudawandi kya aa padi by mohd imran in Other Languages
aazmaish hoti hai humsafar ki by soudagar in Miscellaneous Shayri
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: September 03, 2009, 02:11:24 AM »
Reply with quote
Wah wah Javed ji,bahut khoob mindblowing creation.excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #2 on: September 03, 2009, 09:16:40 AM »
Reply with quote
Tx Madhu ji



javed
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: September 03, 2009, 11:55:44 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Javed Sb
Logged
Shayaries_King
Guest
«Reply #4 on: September 03, 2009, 11:57:19 AM »
Reply with quote
Bahot Khub nice Lines
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #5 on: September 03, 2009, 03:20:57 PM »
Reply with quote
shukria Talat





javed
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #6 on: September 03, 2009, 05:37:18 PM »
Reply with quote
Shukria King Ji





Javed
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #7 on: September 03, 2009, 05:44:29 PM »
Reply with quote
Umda nazam hai javed sahab!..
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #8 on: September 03, 2009, 11:37:33 PM »
Reply with quote
shukria Muhtaram



javed
Logged
aaina
Guest
«Reply #9 on: September 04, 2009, 12:03:40 AM »
Reply with quote
Hum do ajnabi

Tu apni rooh se pareshaan
main apne wajood se naalan
Tujhe husn ne dasa tha
Mujhe raat ki khamooshi ne

Tu apni zakhmi rooh mein tadapta
Main apne wajood mein wajood dhoote
Is kash ma kashe zindagi ko
Aakhri salam kahne
Sahil per khamoosh khade they

Lekin manjhdhar se pahle
Teri zakhmi rooh ne
Achanak
Mere doobte wajood ko sahara diya

Kaianaat muskura uthi
Kahkashaan ne phool bersaye
Chandni ne bister sajaya
Shabnam ne maang bhari
Chand ne mubarak bad di
Lahroon ne geet gaye

Aur rooh
Wajood mein sama gaiye
Aazmaishe zindagi bhi
Kitni aajeeb hoti hai


Javed







kya baat hai bhut khoob, bhut hi khoob ehsaasaat yaqeenan aazmaish bhut ajeeb hoti hain chahe.n wo zindagi se jude har warq ki ho ya ke un waro.n pe likhi tehreero.n ki, mashallah, daad hazir hai javed sahab aapki khoobsurat nazm par qubool kare.n
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: September 04, 2009, 02:51:40 AM »
Reply with quote
Waaaah wah... bahut bahut khoob  Applause Applause Usual Smile
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #11 on: September 04, 2009, 12:51:08 PM »
Reply with quote
Shukria aaina Sb

Bas ager her aik hamra ho jaye to zindagee kitni aasan ho jaye




javed
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #12 on: September 04, 2009, 04:10:50 PM »
Reply with quote
Kia baat hai Roja ji


shukria aap ko kuch pasand to aaya




javed
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #13 on: September 04, 2009, 04:49:37 PM »
Reply with quote
Hum do ajnabi

Tu apni rooh se pareshaan
main apne wajood se naalan
Tujhe husn ne dasa tha
Mujhe raat ki khamooshi ne

Tu apni zakhmi rooh mein tadapta
Main apne wajood mein wajood dhoote
Is kash ma kashe zindagi ko
Aakhri salam kahne
Sahil per khamoosh khade they

Lekin manjhdhar se pahle
Teri zakhmi rooh ne
Achanak
Mere doobte wajood ko sahara diya

Kaianaat muskura uthi
Kahkashaan ne phool bersaye
Chandni ne bister sajaya
Shabnam ne maang bhari
Chand ne mubarak bad di
Lahroon ne geet gaye

Aur rooh
Wajood mein sama gaiye
Aazmaishe zindagi bhi
Kitni aajeeb hoti hai


Javed



Wah wah bohat khoob its very touchyyyyy awsome i love it Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #14 on: September 04, 2009, 05:00:33 PM »
Reply with quote
Khushi Saheba

Badi khushi huyee jo aap ko padh ker khushi huyee




javed
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:57:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer