**************
Abhi woh hai dil ki aarzoo to kya
Ek din haqekat hum banayeinge
Abhi woh ek pyara sa ehsaas hai
Uski yaad humaare dil ke paas hai
Humko hai yakin ki usko hum paayeinge
Madhoshiya, khamoshiyan, khwaishein, hasratein
Tadpati hain jitna is dil ko ye kambakth chahtein
Usko bhi pyar mein ek din utna hum satayeinge
Aayee humko bekhudi diljalon ke dilon se
Seekhi humne aashiqui saawan ke baadlon se
Khud to seekhi aur usko bhi hum sikhayeinge
***************
Kehta hai mera mann, tum nere ho
Kehti hai meri dhadkan, tum mere ho
Kehta hai ambar, kehta hai kaala baadal
Tum ho sabse sundar, tum ho sabse chanchal
Kehta hai ye sama, tum mere ho
Kehti hai chaai ghata, kehti hai behti nadiyan
Tum ho thandi hawa, tum ho chamakta chandrma
Kehta hai ye gagan, tum mere ho
Kehta hai chalakta samundar, Kehto hai koyal kookti
Tum ho mere dilbar, tum ho meri har khushi
Kehta hai khilta "KaMaL", tum mere ho
Log jise KHUDA kehte hain, hum MUSKAAN kehte hain
MUSKAAN humaari AARZOO hai, hum use apni JAAN kehte hain
TAAREEF karoon to woh aise hai, jaisa ki uska NAAM hai
Aur bole to kewal HUM nahin, Mr. CHAAND bhi usko CHAAND kehte hain
Ho na ho tum woh hi ho
Jiska dhundla sa chehra, main
Ab tak, dekhta aaya hoon, jaagte sote
Ho na ho tum woh hi ho
Jo bulaati hai mujhko, aawaaj de kar
Apne paas, Humesha ke liye
Ho na ho tum woh hi ho
Jiski khushboo se, mehak jata hai
Saara aalam, saari ghata
Ho na ho tum woh hi ho
Jiski aankhon se, behta hai
Dariya mai ka
Ho na ho tum woh hi ho
Jo MUSKURAATI hai to, Jeewan ka
Ahsaas hota hai
Ho na ho tum woh hi ho
Jiske honth hain, bilkul "KaMaL"
Ki pattiyon ke jaise
|||
Kya baat hai kamal...all super...
Waha wah..wah wa
Lawa
|||