-----/// Achcha lagaa /// ----- Hriday

by ~Hriday~ on April 30, 2012, 04:57:30 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1525 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote
har baar ki tarha tumhaara yahaan aana achcha lagaa,
aake hamaare seene se lag jaana humein achcha lagaa,
aajaati ho to kuch pal baatein kar lete hain tumse,
tumhaaraa aake mere paas baith jaanaa achcha lagaa,

thaamke tumhaare haath kho jaate hain tumhaari aankhon me,
tumhaare aankhon ke samundar me doob jaanaa achcha lagaa,
sharmaake, aankhen jhukaa ke tumne humse apna haath chhuraaya,
tumhaaraa is tarha se apna haath chhuraanaa humein achcha lagaa,

chhuraake apne haath humse jab dekha usko tumne bahut gaur se,
apne haathon ko dekhte huye tumhaara muskuraana achcha lagaa,
ye kaisi kashish hai, ye kaisa ehsaas hai jaan nahi paate hain,
par har baar tumse is tarha se milna humein bahut achcha lagaa,

laal ek gulaab diya humne tumhe pyaar ki nishaani bataake,
us gulaab to tumhaaraa apne seene se lagaanaa achcha lagaa,
badi pyaar bhari nazron se dekha tumne us gulaab ko us pal,
fir us gulaab ko dekhte huye tumhe dekhna achcha lagaa,

kuch pal hamaare saath reh ke tumhe laut jaana tha har baar,
jaate huye tumhaaraa mud mud ke humein dekhna achcha lagaa,
saalon ke baad mila tumse aaj magar bas kuch lamho ke liye,
us intezaar ke baad tumse milna humein bahut achcha lagaa....


*****HRIDAY*****
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #1 on: April 30, 2012, 05:12:35 PM »
Reply with quote
achha  laga . congrats.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: April 30, 2012, 05:16:12 PM »
Reply with quote
thank you sooooooooooooo much Hasan ji....!!!

achha  laga . congrats.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #3 on: April 30, 2012, 05:18:52 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob, hamein bhi achha laga.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: April 30, 2012, 05:20:33 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaa Iftakhar ji...!!!

Bahut Khoob, hamein bhi achha laga.
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #5 on: April 30, 2012, 06:10:10 PM »
Reply with quote
Bhai aap ne gaur ki jagah gaud likh rakhkha H.
Churake apne hath ko jo dekha usne.....
Es waali line..
Jra ak baar or read kare or es mistake ko theek kare...
....
Ye to baat ki mene aapki mistake ki ab aap ki es poetry pe aate h.
Lagta h aaj aaj apne seene ke saare jajbat nikaal ke hmare samne pesh kar diye h.
Es kalam pe jitni bhi daad di jaye kam h...
Chalo aap meri daad kabool kare or m aapka ak RaU brata hu
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: April 30, 2012, 07:13:45 PM »
Reply with quote
Kapil Jee Aadaab!

Kia baat hai janab, badi khush mijazi meiN nazar aa rahe hai... Usual Smile
bahut khoob janab bade achche ahsaas o khayaal kahe
hai... bahut khoob... Usual Smile

Humari daad o mubbarakbad kabul kijiye...Usual Smile

Likhte rahiye... aate rahiye...
Shaad o aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
sbechain
Guest
«Reply #7 on: April 30, 2012, 07:18:05 PM »
Reply with quote
har baar ki tarha tumhaara yahaan aana achcha lagaa,
aake hamaare seene se lag jaana humein achcha lagaa,
aajaati ho to kuch pal baatein kar lete hain tumse,
tumhaaraa aake mere paas baith jaanaa achcha lagaa,

thaamke tumhaare haath kho jaate hain tumhaari aankhon me,
tumhaare aankhon ke samundar me doob jaanaa achcha lagaa,
sharmaake, aankhen jhukaa ke tumne humse apna haath chhuraaya,
tumhaaraa is tarha se apna haath chhuraanaa humein achcha lagaa,

chhuraake apne haath humse jab dekha usko tumne bahut gaur se,
apne haathon ko dekhte huye tumhaara muskuraana achcha lagaa,
ye kaisi kashish hai, ye kaisa ehsaas hai jaan nahi paate hain,
par har baar tumse is tarha se milna humein bahut achcha lagaa,

laal ek gulaab diya humne tumhe pyaar ki nishaani bataake,
us gulaab to tumhaaraa apne seene se lagaanaa achcha lagaa,
badi pyaar bhari nazron se dekha tumne us gulaab ko us pal,
fir us gulaab ko dekhte huye tumhe dekhna achcha lagaa,

kuch pal hamaare saath reh ke tumhe laut jaana tha har baar,
jaate huye tumhaaraa mud mud ke humein dekhna achcha lagaa,
saalon ke baad mila tumse aaj magar bas kuch lamho ke liye,
us intezaar ke baad tumse milna bahut achcha lagaa....


*****HRIDAY*****

hriday mujhebhi acha laga.............!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: May 01, 2012, 04:32:10 AM »
Reply with quote
bahut achhaaa laga
Logged
smitha singh
Guest
«Reply #9 on: May 01, 2012, 04:56:22 AM »
Reply with quote
Hriday ji, aap bht khubsurat likhte hain, hmesha ese hi likhte rahiyega, pdna acha lgta hai.
pyar dil me hai, ise dekh kr bht acha lga,
chhup chhup k use dekhna acha lga,
kisi din ka aapko jo intzaar hai,
wo dekh kr acha lga...



*****HRIDAY*****
[/quote]
Logged
dolly
Guest
«Reply #10 on: May 01, 2012, 07:54:21 AM »
Reply with quote
bahut bahut badiyaaa...hridayjiii....Usual SmileUsual SmileApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: May 01, 2012, 11:25:08 AM »
Reply with quote
thanks a lot bhaai...!!!

Bhai aap ne gaur ki jagah gaud likh rakhkha H.
Churake apne hath ko jo dekha usne.....
Es waali line..
Jra ak baar or read kare or es mistake ko theek kare...
....
Ye to baat ki mene aapki mistake ki ab aap ki es poetry pe aate h.
Lagta h aaj aaj apne seene ke saare jajbat nikaal ke hmare samne pesh kar diye h.
Es kalam pe jitni bhi daad di jaye kam h...
Chalo aap meri daad kabool kare or m aapka ak RaU brata hu
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: May 01, 2012, 05:46:16 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaa Parwaaz ji....!!!

Kapil Jee Aadaab!

Kia baat hai janab, badi khush mijazi meiN nazar aa rahe hai... Usual Smile
bahut khoob janab bade achche ahsaas o khayaal kahe
hai... bahut khoob... Usual Smile

Humari daad o mubbarakbad kabul kijiye...Usual Smile

Likhte rahiye... aate rahiye...
Shaad o aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
himanshuIITR
Guest
«Reply #13 on: May 03, 2012, 11:29:06 AM »
Reply with quote
achaa laga
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: May 04, 2012, 04:16:50 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaaa Sheba ji... maine aapke suggestion accept karke correction kar liya... thanks for that...!!!

hriday mujhebhi acha laga.............!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:36:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer