Abul Asad
Maqbool Shayar
Rau: 3
Offline
Waqt Bitaya:7 days, 50 minutes.
Posts: 773 Member Since: Dec 2011
|
|
|
Adaaein Fitnaah Khaiz Si Meanings are at the bottom
Jawaani ki rawaniyaan, voh ashiqi ki kahaniyan Mehfilen haseenon ki, nigahein unki fitnaah khaiz bhi Samaan gulon ke bahaar ka, Ashiqi ke khumaar ka Saaz-o sur hawaon men, tarannumen hazaron se Hawaein bhi eitr baiz thii, tera jalwa raiz hova jaise kissi haseen hoor ka, ufaq se hova ho ayaan Kare shauq tez aur, tere zulf ki ye badliyan Voh kaali kaali lehriyaan, kamar ki le bosiyaan yeh aisi kaisi sis-kiyaan, haal-e dil ko hala-e youn Jawaan khoon josh le, teri nigaahon ko dekh kar Voh kareen badan ke zer-o-bam, har modh par ruke jo dam Saanse meri ruki rahin, zamin meri hale abhi Abhi hale, sabhi hale, Yeh gasht nigaahon ka tera Bhari hovi jawaaniyan, ab rukh se hata Pardaa tera, gira toh zaraa , parda tera, jigar me aag laga, lagaa de aag aur zara Aag tuu youn lagaa, har aik kali ko rashk ho Gulon ko bhi dikhaen zara, husn ka jalwa kabhi Dekhe jo tu idhar, utha ke palken teri, nigahon se peelon main, ke hon mere havas gum duniya ko bhula-dun men, Tere shauq-o-shabaab men phir. Jawaani ki rawaniyan voh ashiqi ki kahaniyan Abul Asad
Ye nazm, Malika pukhraj ne gayi hovi "abhi to main jawaan hon" se inspire hokar likhi gayi hai.
Please feel free to ask any meaning of words, sentances, translations, I would be happy to post them.
Fitna khaiz: jo fitna (jhagda) kara de Khumaar: intoxication, nasha (here, ashiqi ka nasha) Eitr baiz: eitr men bhari hovi, perfume ladden, Ufaq: horizon, asmaan, skyline lehriyaan: to sway, halke se lehrana (new word, i made up ) Bosa: is a peck, or a light kiss, bosiyaan: baar bar chumna. Siskiyan: rone ke baad jo siski aye, the crying hiccup Kareen: young, lighted. rays of light Zer-o-bam: utar chadhaov. the ups and downs. havas: senses, Hosh o havas. Shabab; Jawaani, youth
|