AE DIL TU MAHOBAAT

by sandhaya on April 29, 2005, 11:31:21 AM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13 14 ... 37
ReplyPrint
Author  (Read 30524 times)
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #135 on: May 19, 2005, 09:08:17 AM »
Reply with quote
saans bharne ko to jinaa nahin kehate ya rab
dil hi dukhtaa hai na ab asteen tar hoti hai

jaise jagi hui aankhon mein chubhein kaanch ke khvaab
raat is tarah divaano kii basar hoti hai

gam hi dushman hai mera gam hi ko dil dhundta hai
ek lamhe kii judai bhi agar hoti hai

ek markaz kii talaash ek bhatakti khushbu
kabhii manzil kabhii tamhid-e-safar hoti hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ae dil tu mahobaat karta kyun hai by shami in Shayri for Dard -e- Judai
~ ~ Ek mahobaat.... by thinkhattk in Share:Love Poetry « 1 2  All »
~ * MAHOBAAT * ~ I M BACK _DeV by thinkhattk in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
~ * Tu bhi to MAHOBAAT karke dekh * ~_DeV by thinkhattk in Shayri-E-Dard
Mahobaat Ajnabi Si Ho Rahi Hai by FARE in Share Video
sandhaya
Guest
«Reply #136 on: May 19, 2005, 09:14:32 AM »
Reply with quote
kya baaat hai .........chiraag words mujhe samaj nahi aaye mujhe itni urdu nahi aati na kya karun tumhari tarah paaki sayar nahi hun na.......lekin jo samaj main aaya vo acha hai

teri baaaton na samaj paun main kabhi
tuh ye na samajna ki tujhe samajte nahi
ki teri tuh har baat nikalti hia humare hi dil se
dil ke baaton ke chiraagon ko kabhi parkhte nahi
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #137 on: May 19, 2005, 09:21:30 AM »
Reply with quote
jaan ki amaan ho to hum kahen ki hum sarzameen e hindustan se hain ..... aur jahan tak urdu ka masla hai uska hum aage se khayal rakhenge .......


is raat ki nikhari rangat ko
kuch aur nikhar jane de zara
nazaron ko bahak jaane de zara
zulfon ko bikhar jane de zara
kuch der ki hi taskin sahi
kuch der ka hi araam sahi
Logged
amann786
Guest
«Reply #138 on: May 19, 2005, 10:05:56 AM »
Reply with quote
dil yak mandir hai.mandir ki murthi ho tum..
kissina sach kaha hai ke kitni khoobsorrath ho tum
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #139 on: May 19, 2005, 10:07:04 AM »
Reply with quote
Sukhriya CHiraag ji .........

inn julfo ko na bikeo ki tufaan na aa jaye
barsenge jab badal tuh kahin qyamat kar de

nazarien tuh katil hai unki na unse mila nazar
ki kahin tujhe inke vaar se khayal na kar de
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #140 on: May 19, 2005, 10:18:46 AM »
Reply with quote
hume to kuch ata hi nahin ... logon ne jyada siklaya nahin  .. toofaan o kyamat se hum nahi darte ye sab hume shaam o saher salaam hain karte ............



meraa jii hai jab tak terii justajuu hai
zabaan jab talak hai yahii guftaguu hai


Khudaa jaane kyaa hogaa anjaam is kaa
main besabar itnaa hun wo tund e khoon hai
                                        (tamanna e dil)

tamnna hai teri , agar hai tamnnaa
teri arzu hai   ,   agar arzu hai


kiya sair humane gulzaar-e-duniya
gul-e-dosti mein ajab rang-o-boo hai


ganimat hai ye deed waa deed-e-yaaran
                                (dost jis nazar se dekhe)      
jahan mund gayii ankhen, main hun na tu hai
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #141 on: May 19, 2005, 10:30:51 AM »
Reply with quote
Chiraag ji humara bhi SALAM kabul farmaiye ji ...
nice CHiraag

aankhen khuli main mujhe vo nazar aata hai
band aankhon main bhi tuh vahi samata hai

har saan meri abh uth usi ka naam leti hai
vo banke khusbu kyun meri saanon ko mehkata hai

uski har ek baat mujhe bekraar kar jati hai
kyun vo has has ke mujhe baaton main uljata hai

bhulna bhi chaun main kabhi usko agar
vo tuh khwaab banke meri aankhon main chala aata hai
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #142 on: May 19, 2005, 10:36:12 AM »
Reply with quote
is tarah sataya hai pareshan kiya hai
goya ki muhabbat nahin ehasaan kiya hai

socha tha ki tum dusaro jaise nahin hoge
tum ne bhi vahi kam meri jan kiya hai
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #143 on: May 19, 2005, 10:42:09 AM »
Reply with quote
vo sabse mujhko alag nazar aati hai
uski haasin hassi mujhe diwaana banati hai
koi tuh jaadu hai uski aadaon main jarur
na jaane vo Qyamaat mujhse kya chahti hai
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #144 on: May 19, 2005, 10:50:09 AM »
Reply with quote
mahak jaate hain gul jaise saba ke chum lene se
agar laharein mukhatib hon kinaare bol padte hain

zubaa' se baat karane mein jahan rusvai hoti hai
vahan khamosh ankhon ke ishare bol padte hain
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #145 on: May 19, 2005, 10:54:43 AM »
Reply with quote
isharon main mahobaat rang lai
humne ijhaar karne aankhen uthai
unhone ikraar karte nazarein jukai
khush  hokar khuda ne humpe khusian barsai
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #146 on: May 19, 2005, 11:05:55 AM »
Reply with quote
yaar ainaa huaa karate hain yaaron ke liye
teraa cheharaa to abhi tak hai naqabon valaa
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #147 on: May 19, 2005, 11:12:07 AM »
Reply with quote
chehra tuh dokha hai tu dil ko dekh
ki iss naqab ke piche koitufan hai sayad
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #148 on: May 19, 2005, 11:18:03 AM »
Reply with quote
jo nazar aataa hai haasil nahin hotaa 'chirag'
zindagani kaa safar bhi hai saraabon vaalaa

sarabon = mirage ya koi bhulava
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #149 on: May 19, 2005, 12:11:50 PM »
Reply with quote
mey pini hai tuh nigahon se pile kisi ki
ki iska nasha na utrega kabhi bhi.....
Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13 14 ... 37
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:56:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer