AE DIL TU MAHOBAAT

by sandhaya on April 29, 2005, 11:31:21 AM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 37
ReplyPrint
Author  (Read 30535 times)
Aryaan
Guest
«Reply #150 on: May 20, 2005, 12:38:33 AM »
Reply with quote
Bohat khoob Chiraaaag & Sandhaya.......

Ghamon ki dhoop seh kar bhi main pathar ban nahi sakta
Main woh hamdard hoon jo har aankh ke paani se nikloon ga
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ae dil tu mahobaat karta kyun hai by shami in Shayri for Dard -e- Judai
~ ~ Ek mahobaat.... by thinkhattk in Share:Love Poetry « 1 2  All »
~ * MAHOBAAT * ~ I M BACK _DeV by thinkhattk in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
~ * Tu bhi to MAHOBAAT karke dekh * ~_DeV by thinkhattk in Shayri-E-Dard
Mahobaat Ajnabi Si Ho Rahi Hai by FARE in Share Video
sandhaya
Guest
«Reply #151 on: May 20, 2005, 04:12:43 AM »
Reply with quote
sukhriya Aryaan Ji .........nice nice lines as always

pathar ban gaye hai pathorn ke sahar aa ke
ki yahan koi bhi insaan-e-dil nazar nahi aata
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #152 on: May 20, 2005, 07:39:50 AM »
Reply with quote
"woh hamdard hoon jo har aankh ke paani se nikloon ga" hmmmm .. kya kahen bahut touching lines hain janab Aryan sahab

hazaar gam the merii zindgi akeli thi
khushi jahan ki mere vaste paheli thi

vo aaj bach ke nikalate hain mere saaye se
ki main ne jin ke liye gam kii dhuup jheli thi

chadha rahe hain vo hi aaj aastiin mujh par
ki jin ki piith pe kal tak meri hatheli thi

ab unki qabr pe jalata nahin chirag koi
ki jin kii dahar me.n roshan bahut havelii thii

dahar=duniya

vo jhuk ke phir merii turbat pe kar rahe hain salaam
isi ada ne to "chirag" ki jaan le li thi

turbat=kaabr
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #153 on: May 20, 2005, 07:50:13 AM »
Reply with quote
kya baat hai Chiraag ji really amazing

Jinke dil main koi aas hoti hai
unke dil ko kisi ki talash hoti hai

dete hai yun tuh hume lag duaian
par unki dua main ek ajab si baat hoti hai

karte hi rahe hum ijhar apni mahobat ka usse
vo jiski yaad main aaj bhi meri kabar roti hai

main mangta hi raha usse rehm-e-mahobaat
par usne kaha husan valon ki aisi hi jaat hoti hai
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #154 on: May 20, 2005, 08:04:00 AM »
Reply with quote
aapke aalfaazoon ke liye to mere pas lafz hi nahin hain sandhya ji is liye hum vah vah karte reh jate hain dil hi dil mein
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #155 on: May 20, 2005, 08:10:47 AM »
Reply with quote
acha ji kyun aap tuh aap hai aap ki kya baat hai ...hun

tuh kyun chupata hai apne lafz-e-roshni ko dil main
ki Chiraagon ki roshni tuh saare aam felhtoi hai
Logged
kaish lative
Guest
«Reply #156 on: May 20, 2005, 11:17:37 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
Ae dil tu mahobaat karta kyun hai
jo karta hai tuh phir tadapta kyun hai

jo beth gaya hai dil main pyar ka dard banke
vo aankhon ke raste nikalta kyun hai
Ae dil tu..........................

main tere saath hun har raah mein mujhse kehta tha vo
tuh phir aaj ye rasta mujhe sunsaan lagta kyun hai
Ae dil tu..........................

main dhadkan hum uske dil ki vo kehta tha mujhse
phir aaj uska dil mere bina dhadkta kyun hai
Ae dil tu..........................

vo mera nahi hai ye janti hun main phir bhi
kisi aur ke saath dekh ke usko dil machalta kyun hai
Ae dil tu..........................

Ye dil bhi ajeeb hota hai dosto
kabhi kehta hai ja tham le uske haathon ko
phir reh reh ke sambalta kyun hai
Ae dil tu..........................


thats nice. dard hai aap ki ghazal me per hum ye kehte hain

Mat puchiye janab ki mohabbat kya chiz hai
agar mil hi jaye wo chiz kya maohabbat hai
Logged
kaish lative
Guest
«Reply #157 on: May 20, 2005, 11:34:31 AM »
Reply with quote
mat puchiya janab ki mohabbat kya chiz hai
agar mil hi jaye wo chiz kya mohabbat hai
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #158 on: May 21, 2005, 05:09:46 AM »
Reply with quote
sukhriya Kaish ji .............

mahobat ka milna aur pana alag hai
ki milke tuh aksar bichad jate hai log
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #159 on: May 21, 2005, 02:47:05 PM »
Reply with quote
ishq main jaan se guzarate hain guzarane vaale
maut kii raah nahin dekhate marne vaale

aakhri vaqt bhi puraa na kiyaa vadaa-e-vasl
aap aate hii rahe mar gaye marne vaale
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #160 on: May 23, 2005, 08:07:35 AM »
Reply with quote
mahobaat koi cheez nahi ye bhi ek ibadat hai
jahan yaar ko puja jata hai khuda ki tarah
Logged
HumTum
Guest
«Reply #161 on: May 23, 2005, 08:26:18 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
Apno se ache tuh dusmann hote hai
ki jo juban main hai vahi dil main rakhte hai
aur apno ki tuh baat hi nirali hai dosto
vo tuh chehre pe mahobat aur dil main nafrat rakhte hai


Bhoot khoob sandhaya ji ...

Yeh siishe yeh sapne yeh rishte yeh dhaage,
kise kiya khabar hai kahan toot jayein,
mohabbat ke dariya mein tinke wafa ke,
na jaane yeh kis mod par doob jayein
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #162 on: May 23, 2005, 09:48:34 PM »
Reply with quote
wafa kya hoti hai unko samjhaye koi
jo kuchal gaye magan apnaypan main
khushi laynay aur is duniya ki
ghamon ko chor gaye woh kisi kay daamun main
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #163 on: May 24, 2005, 04:18:42 AM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
Quote from: "sandhaya"
Apno se ache tuh dusmann hote hai
ki jo juban main hai vahi dil main rakhte hai
aur apno ki tuh baat hi nirali hai dosto
vo tuh chehre pe mahobat aur dil main nafrat rakhte hai


Bhoot khoob sandhaya ji ...

Yeh siishe yeh sapne yeh rishte yeh dhaage,
kise kiya khabar hai kahan toot jayein,
mohabbat ke dariya mein tinke wafa ke,
na jaane yeh kis mod par doob jayein


sukhriyaaa Humtum ji and nnice one .......... and faree

mahobat ke ye andikhe se dage
tuttke bhi kabhi tutte nahi hai
na jane ye kaisi baatein hai
jinhe bhulakar bhi hum bhulte nahi hai
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #164 on: May 24, 2005, 05:51:11 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
Ae dil tu mahobaat karta kyun hai
jo karta hai tuh phir tadapta kyun hai

jo beth gaya hai dil main pyar ka dard banke
vo aankhon ke raste nikalta kyun hai
Ae dil tu..........................

main tere saath hun har raah mein mujhse kehta tha vo
tuh phir aaj ye rasta mujhe sunsaan lagta kyun hai
Ae dil tu..........................

main dhadkan hum uske dil ki vo kehta tha mujhse
phir aaj uska dil mere bina dhadkta kyun hai
Ae dil tu..........................

vo mera nahi hai ye janti hun main phir bhi
kisi aur ke saath dekh ke usko dil machalta kyun hai
Ae dil tu..........................

Ye dil bhi ajeeb hota hai dosto
kabhi kehta hai ja tham le uske haathon ko
phir reh reh ke sambalta kyun hai
Ae dil tu..........................


dil leker tarpana,..
rato ko neend ,
din me chain na aana,..
bhukha rekhta hu mai,.
or deta hu gam bhi,..
kar deta hu aakhe nam bhi,..
mai ishq hu badnaam bhi hu,..
deta hu dard e zehar deta pyar ka jaam bhi hu,..
aa jaye jo mere aagosh me sama jata hai mujhme,..
koi milta hai aapne pyar se ,..
koi karta hai deedar maut k,...
ishq hai mera naam ,deta hu pyar bahut deta hu bahut dard e sitam,,....
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 37
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 07:26:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer