AE DIL TU MAHOBAAT

by sandhaya on April 29, 2005, 11:31:21 AM
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 37
ReplyPrint
Author  (Read 29845 times)
tauhid_siddiqui786
Guest
«Reply #165 on: May 24, 2005, 06:21:27 AM »
Reply with quote
Mere baad kidhar jayegi tanhai,
Main jo mar jaoonga to mar jayegi tanhai,
Jab main ro-ro kar dariya ban jaoon ga,
Uas din paar uatar jayegi tanhaai,
Tanhai ko gher se rukhasat kar to doon,
Soncho mager kisake gher jayegi tanhai..

Kucch is tarah kar bewafai mere sath,
Ki fir tere baad koi bewafa na lage..

Muddat huai bicchade us shaks ko lekin,
Ab tak daro diwar pe khushabo ka asar hai....
   
     TAUHID A. SIDDIQUI  
     Mob. no: 09319054831.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ae dil tu mahobaat karta kyun hai by shami in Shayri for Dard -e- Judai
~ ~ Ek mahobaat.... by thinkhattk in Share:Love Poetry « 1 2  All »
~ * MAHOBAAT * ~ I M BACK _DeV by thinkhattk in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
~ * Tu bhi to MAHOBAAT karke dekh * ~_DeV by thinkhattk in Shayri-E-Dard
Mahobaat Ajnabi Si Ho Rahi Hai by FARE in Share Video
kaish lative
Guest
«Reply #166 on: May 24, 2005, 07:17:18 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
mahobaat koi cheez nahi ye bhi ek ibadat hai
jahan yaar ko puja jata hai khuda ki tarah



Jinke hothon pe hansi paon me chhale honge
han wohi log tere chahne wale honge

Meh barsi hai fazaon pe nasha tazi hai
mere saki ne kahin jaam uchhale honge

shamma kahe jalwa laye hain hum janam se
ab to aalam me ujale hi ujale honge

hum bare naj se aaye the teri mehfil me
kya khabar thi labe izhar pe tale honge

by someone unknow to me but sung by Gulam ali
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #167 on: May 24, 2005, 10:34:25 AM »
Reply with quote
kya baat hai very nice ................tushar , tauhid, and kaish..........bahut ache.........keep writing.....

Hume tere husan ke didar chaihiye
mar rahe hai unke bina bemout hum
hume ye didar beshumar chahiye
kyun karti hai duniya itni sakti asiqhon ke saath
aaj uske dardaar se hume ye javab chahiye
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #168 on: May 24, 2005, 10:40:44 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
kya baat hai very nice ................tushar , tauhid, and kaish..........bahut ache.........keep writing.....

Hume tere husan ke didar chaihiye
mar rahe hai unke bina bemout hum
hume ye didar beshumar chahiye
kyun karti hai duniya itni sakti asiqhon ke saath
aaj uske dardaar se hume ye javab chahiye


na Hume tere husan ke didar chaihiye ,...
mar jaye jo unhe bina dekhe na wo maut chaiye,...
karti hai duniya issliye k sath kyuki unko bhi kisi  ka pyar chaiye,...
aaj unke hume pyar ka aaitbar hona chaiye ,.....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #169 on: May 25, 2005, 03:22:02 AM »
Reply with quote
very very nice All.....

Samander mein jitna paani hai, woh surahi mein bhar nahi sakta
Mere dil mein jitni mohabbat hai, woh khat mein likh nahi sakta
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #170 on: May 25, 2005, 04:46:46 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
kya baat hai very nice ................tushar , tauhid, and kaish..........bahut ache.........keep writing.....

Hume tere husan ke didar chaihiye
mar rahe hai unke bina bemout hum
hume ye didar beshumar chahiye
kyun karti hai duniya itni sakti asiqhon ke saath
aaj uske dardaar se hume ye javab chahiye


husn hai jo tera wo mere kis kam ka hai,...

mujhe to bus  tera thoda pysr chaiye,...

khushiya hai jo teri wo mere kis kam ki,...

mujhe to tera gam yaar chaiye,....
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #171 on: May 25, 2005, 09:43:38 PM »
Reply with quote
Umeedo ki manjil toot gayi
aankho se ashqo ki dhara beh gayi
are tumahri bhi kya izaat reh gayi
jab class ki ladki bhaiya keh gayi....
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #172 on: May 28, 2005, 08:28:55 AM »
Reply with quote
good tushar and faree..........

zindagi ek boj si lagne lagi hai mujhko
koi saath mera chod ke ja raha hai sayad..
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #173 on: May 28, 2005, 11:04:06 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
good tushar and faree..........

zindagi ek boj si lagne lagi hai mujhko
koi saath mera chod ke ja raha hai sayad..



hey hey hey

aisa kehne ki himmat bhi kaise ki tumne..
mera khyaal tak na aaya tumhe..
zindgi jo bhoj hai toh mujhse kaha kyon nahi
main bhi iska aadha haqdaar hun, yeh yaad na aaya tumhe...
sang rahunga sada har waqt har dum..
Logged
HumTum
Guest
«Reply #174 on: May 28, 2005, 01:08:32 PM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "HumTum"
Quote from: "sandhaya"
Apno se ache tuh dusmann hote hai
ki jo juban main hai vahi dil main rakhte hai
aur apno ki tuh baat hi nirali hai dosto
vo tuh chehre pe mahobat aur dil main nafrat rakhte hai


Bhoot khoob sandhaya ji ...

Yeh siishe yeh sapne yeh rishte yeh dhaage,
kise kiya khabar hai kahan toot jayein,
mohabbat ke dariya mein tinke wafa ke,
na jaane yeh kis mod par doob jayein


sukhriyaaa Humtum ji and nnice one .......... and faree

mahobat ke ye andikhe se dage
tuttke bhi kabhi tutte nahi hai
na jane ye kaisi baatein hai
jinhe bhulakar bhi hum bhulte nahi hai


 sandhaya  :thumb:

aksar muhhobat mein aisa hota hai
yeh dil dilbhar ke kwaab sanjota hai
sachi muhoobat marti nhi kabhi
iska to hamesha khushnuma anjaam hota hai !!
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #175 on: May 28, 2005, 01:09:26 PM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
good tushar and faree..........

zindagi ek boj si lagne lagi hai mujhko
koi saath mera chod ke ja raha hai sayad..





sath tera chor ker ye ja nahi sakti ,....

tujhe thode gam deker belha nahi sakti,...

tere her faislay per sath tere hu,..

magar ki jo phir batt aaisi phir,...

 tere se pelhe mar jayunga mai,....
Logged
HumTum
Guest
«Reply #176 on: May 28, 2005, 01:14:55 PM »
Reply with quote
kya baat hai tushaar bhai ...... :thumb:

muhhobat karney waley yun marney ki batein nhi kertey
woh to har lamha khushi se guzara kertey hai !!
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #177 on: May 28, 2005, 01:17:15 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
kya baat hai tushaar bhai ...... :thumb:

muhhobat karney waley yun marney ki batein nhi kertey
woh to har lamha khushi se guzara kertey hai !!


marne ka hume kis batt ka dar hai,.....

ye bhi chali jaye unke pass aane k baad,........
Logged
Tosha
Guest
«Reply #178 on: May 28, 2005, 01:18:48 PM »
Reply with quote
kar raha hu gunah mai teri duniya mai
gunah mere, aur mai tera E Khuda..[NM]
................................................. ........
Logged
HumTum
Guest
«Reply #179 on: May 28, 2005, 01:18:58 PM »
Reply with quote
gham na ker dost woh yaqeenan ayigi tere pass
sachii muhoobtien parwaan chadti hai hamesha !!
Logged
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 37
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 03:54:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer