AGAR TUM AAJ MIL JAAO BATANA CHAHTE HAIN HUM (Waquif Ansari)

by waquif ansari on September 11, 2009, 11:09:30 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 6740 times)
waquif ansari
Guest
Reply with quote
Agar tum aaj mil jaao bataana chahte hain hum
Hamein tum se muhabbat hai jataana chahte hain hum

Kahan jaayen kidhar jaayen kaheen bhi jee nahin lagta
Tumhare dil ke aaNgan mein thikaana chahte hain hum

Tumhaari gar ijazat ho to phir mar jaane se pahle
Samundar si nigaahon mein samaana chahte hain hum

Bahut hi beqaraari hai chale aao chale jaana
Tumhare saath kuchh lamhe bitaana chahte hain hum

Tumhein tum se chura lenge muhabbat hi muhabbat mein
Hamara ishq hai aisa dikhana chahte hain hum

Nazar lag jaayegi tum ko na niklo ghar se be-parda
Zamaane ki nigaahon se bachaana chahte hain hum

Mire jeevan mein aa jaao saja daalo mere dil ko
Tumhein humdum dulhan apni banaana chahte hain hum

Yahaan tak aane lagti hai tumhaare ZULF ki khushboo
Yahi to NET ke zariye bataana chahte hain hum

AmeeN hum hain muhabbat ke hum hain URDU ke shaidaai
Kudurat ho kisi DIL mein mitaana chahte hain hum

ZameeN se taa falak jiski sataaish hi sataaish ho
Murassa ik ghazal aisi sunaana chahte hain hum

Tumhein hum se muhabbat ho na ho lekin mire “Waquif”
Tumhaare ishq main jaaN ye lutaana chahte hain hum
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: September 11, 2009, 12:40:06 PM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Ansari ji really beautiful creation.excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
shameem
Guest
«Reply #2 on: September 11, 2009, 01:51:21 PM »
Reply with quote
bhuat achi haaaaaaa....zara hamera muhabbat kya liya b dua karoe na......sachi ap bhuat grat hey.merako bhuat pasand hey ji shayari.......
Agar tum mil jaao bataana chahte hain hum
Hamein tum se muhabbat hai jataana chahte hain hum

Kahan jaayen kidhar jaayen kaheen bhi jee nahin lagta
Tumhare dil ke kone mein thikaana chahte hain hum

Tumhaari gar ijazat ho to phir mar jaane se pahle
Samundar si nigaahon mein samaana chahte hain hum

Bahut hi beqaraari hai chale aao chale jaana
Tumhare saath kuchh lamhe bitaana chahte hain hum

Tumhein tum se chura lenge muhabbat hi muhabbat mein
Hamara ishq hai aisa dikhana chahte hain hum

Nazar lag jaayegi tum ko na niklo ghar se be-parda
Zamaane ki nigaahon se bachaana chahte hain hum

Mire jeevan mein aa jaao saja daalo mere dil ko
Tumhein humdum dulhan apni banaana chahte hain hum

Yahaan tak aane lagti hai tumhaare ZULF ki khushboo
Yahi to NET ke zariye bataana chahte hain hum

AmeeN hum hain muhabbat ke hum hain URDU ke shaidaai
Kudurat ho kisi DIL mein mitaana chahte hain hum

ZameeN se taa falak jiski sataaish hi sataaish ho
Murassa ik ghazal aisi sunaana chahte hain hum

Tumhein hum se muhabbat ho na ho lekin mire “Waquif”
Tumhaare ishq main jaaN ye lutaana chahte hain hum

happy3 tearyeyed love9
Logged
aaina
Guest
«Reply #3 on: September 12, 2009, 04:33:38 PM »

waah waah kya baat hai waquif sahab bhut bhut khoob mashallah se har sher tareef ke qabil daad hazir hai janaab
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #4 on: September 12, 2009, 04:43:44 PM »
Reply with quote
Gr8 lines

Applause Applause Applause
Logged
drpandey
Guest
«Reply #5 on: January 29, 2010, 04:29:30 AM »
Reply with quote
Agar tum mil jaao bataana chahte hain hum
Hamein tum se muhabbat hai jataana chahte hain hum

Kahan jaayen kidhar jaayen kaheen bhi jee nahin lagta
Tumhare dil ke kone mein thikaana chahte hain hum

Tumhaari gar ijazat ho to phir mar jaane se pahle
Samundar si nigaahon mein samaana chahte hain hum

Bahut hi beqaraari hai chale aao chale jaana
Tumhare saath kuchh lamhe bitaana chahte hain hum

Tumhein tum se chura lenge muhabbat hi muhabbat mein
Hamara ishq hai aisa dikhana chahte hain hum

Nazar lag jaayegi tum ko na niklo ghar se be-parda
Zamaane ki nigaahon se bachaana chahte hain hum

Logged
drpandey
Guest
«Reply #6 on: January 29, 2010, 04:30:41 AM »
Reply with quote
Awesome!!!! Very Nice
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #7 on: January 29, 2010, 05:05:07 AM »
Reply with quote
Wah wah Waqif sahab, behtareen ghazal kahi hai aapne. Ghazal ki definition ke liye is ghazal ko pesh kiya ja sakta hai. Bahut waseeA takhayyul ka ye kamaal hai. Very nice. Shukriya ke aapne aise munfarid ghazal se hamein rubaru karaya.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #8 on: January 29, 2010, 05:22:38 AM »
Reply with quote
SubanAllah Ansari ji.. Kya Khoob Likha hai.. Bahoot Khoob!
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #9 on: January 29, 2010, 08:31:28 AM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Ansari ji really beautiful creation.excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Dear madhuwesh ji! aapki hauslaafzai ka bahut bahut shukriya.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #10 on: January 29, 2010, 08:33:05 AM »
Reply with quote
bhuat achi haaaaaaa....zara hamera muhabbat kya liya b dua karoe na......sachi ap bhuat grat hey.merako bhuat pasand hey ji shayari....... happy3 tearyeyed love9
Shameem Saheb! Aap ne naacheez ki ghazal ko saraha, iske liye aapka bahut bahut shukriya.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #11 on: January 29, 2010, 08:34:13 AM »
Reply with quote

waah waah kya baat hai waquif sahab bhut bhut khoob mashallah se har sher tareef ke qabil daad hazir hai janaab
Dear aaina! aap ne daad-o-tehseen ne nawaaza, bahut bahut shukriya.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #12 on: January 29, 2010, 08:35:31 AM »
Reply with quote
Gr8 lines

Applause Applause Applause
Dear thegrimreaper!Aapki hausla-afzaai ka bahut bahut shukriya.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #13 on: January 29, 2010, 08:37:12 AM »
Reply with quote
Awesome!!!! Very Nice
Dear drpandey Saheb! Aapki daad-0-tehseen ka bahut bahut shukriya.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #14 on: January 29, 2010, 08:40:48 AM »
Reply with quote
Wah wah Waqif sahab, behtareen ghazal kahi hai aapne. Ghazal ki definition ke liye is ghazal ko pesh kiya ja sakta hai. Bahut waseeA takhayyul ka ye kamaal hai. Very nice. Shukriya ke aapne aise munfarid ghazal se hamein rubaru karaya.
Dear Riyaz Saheb! Aap ne meri ghazal se mutallique jitne haseeN pairaaye meiN alfaazoN ke guldaste se tareef ke pul baaNdhe haiN, in khoobsurat sataroN ke liye aapka az-hud shukriya.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:02:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer