"agar tum kaho to apni jaan de du.n mein"

by aaina on August 31, 2009, 01:32:29 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4097 times)
aaina
Guest
Reply with quote
mohabbat ka har ek emtehaan de dun mein
agr tum kaho to apni jaan de dun mein

ye aalam jaanta to hoga waise tumko bhi
 chahta hun tumhe apni pehchaan de dun mein

bahar, gul, maahjabee.n, ye saare hi achay hain
magr dil ye chahta hai alag sa farmaan de dun mein

na ho phr koi tere mere beech mai dewaar
khuli fizaao.n wala tujhay aasmaan de dun mein

ye saare aashaar, nazme.n aur ye ghazle.n
teri nazro.n ko apna saara dewaan de dun mein

mere dil ke nagar pe jab tera hi zor chata hai
to kyun na tujhko is dil ka sultaan de dun mein

Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: August 31, 2009, 01:35:36 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Aaina ji very beautiful creation.really touching. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: August 31, 2009, 02:35:34 AM »
Reply with quote
mohabbat ka har ek emtehaan de dun mein
agr tum kaho to apni jaan de dun mein

ye aalam jaanta to hoga waise tumko bhi
 chahta hun tumhe apni pehchaan de dun mein

bahar, gul, maahjabee.n, ye saare hi achay hain
magr dil ye chahta hai alag sa farmaan de dun mein

na ho phr koi tere mere beech mai dewaar
khuli fizaao.n wala tujhay aasmaan de dun mein

ye saare aashaar, nazme.n aur ye ghazle.n
teri nazro.n ko apna saara dewaan de dun mein

mere dil ke nagar pe jab tera hi zor chata hai
to kyun na tujhko is dil ka sultaan de dun mein

wooow... kya baat hai... "Teri nazro.n ko apna saara dewaan de dun mein..."

Atil sunder ... Bahut accha laga padkar aslam ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: August 31, 2009, 02:37:04 AM »
Reply with quote
WAH WAH KAYA BAAT HAI BAHOOT KHOOB AAINA JI
Logged
salil2002
Guest
«Reply #4 on: August 31, 2009, 07:12:14 AM »
Reply with quote
bahut achche aslam bhai
Logged
aaina
Guest
«Reply #5 on: August 31, 2009, 08:27:05 PM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Aaina ji very beautiful creation.really touching. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

thnxxxx so much madhu ji thnxxx for ur appriciation
Logged
aaina
Guest
«Reply #6 on: August 31, 2009, 08:28:01 PM »
Reply with quote
wooow... kya baat hai... "Teri nazro.n ko apna saara dewaan de dun mein..."

Atil sunder ... Bahut accha laga padkar aslam ji



bhut shukriya dear aise hi hosla afzaai karti rahiye
Logged
aaina
Guest
«Reply #7 on: August 31, 2009, 08:29:04 PM »
Reply with quote
WAH WAH KAYA BAAT HAI BAHOOT KHOOB AAINA JI

thnxx so much pooja ji
Logged
aaina
Guest
«Reply #8 on: August 31, 2009, 08:29:45 PM »
Reply with quote
bahut achche aslam bhai



bhut shukriya dost
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #9 on: September 01, 2009, 11:35:52 AM »
Reply with quote

Bahut khoob.
Ghazal padhkar tumhari apni bhi pahchaan de dun main
Tumhara chahne wala hun tum par jaan de dun main
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: September 02, 2009, 09:37:56 AM »
Reply with quote
Bahut khoob.
Ghazal padhkar tumhari apni bhi pahchaan de dun main
Tumhara chahne wala hun tum par jaan de dun main



thnxxxxxxx so much janaab bhut bhut shukriya aapke is khoobusurat aur jazbe se labrez sher ka, hosla afzaaii ka bhut bhut skhukriya


tumhari jaan nhai bas dua chahaiye
aisi jazbo.n bhari bas ada chahiye
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: September 03, 2009, 07:42:23 AM »
Reply with quote
Wah Wah Wah!!!! Bahut Bahut Khoob Mere Bhai..

Bahut Acha Likhte Ho Aslam Ji Aap.

Har Ek Ashaar Lajawaab!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #12 on: September 03, 2009, 09:11:51 AM »
Reply with quote

thnxxxxxxx so much janaab bhut bhut shukriya aapke is khoobusurat aur jazbe se labrez sher ka, hosla afzaaii ka bhut bhut skhukr


tumhari jaan nhai bas dua chahaiye
aisi jazbo.n bhari bas ada chahiye

Aapke bhi jazbe ki main qadr karta hoon.Aapke sher ki misra saani par aur isi bahr mein ye khayal aa gaya ki:
Aap jaisa hamein nakhuda chahiye
Aap hain saamne aur kya chahiye
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: September 03, 2009, 05:07:15 PM »
Reply with quote
mohabbat ka har ek emtehaan de dun mein
agr tum kaho to apni jaan de dun mein

ye aalam jaanta to hoga waise tumko bhi
 chahta hun tumhe apni pehchaan de dun mein

bahar, gul, maahjabee.n, ye saare hi achay hain
magr dil ye chahta hai alag sa farmaan de dun mein

na ho phr koi tere mere beech mai dewaar
khuli fizaao.n wala tujhay aasmaan de dun mein

ye saare aashaar, nazme.n aur ye ghazle.n
teri nazro.n ko apna saara dewaan de dun mein

mere dil ke nagar pe jab tera hi zor chata hai
to kyun na tujhko is dil ka sultaan de dun mein



Roomani Shayari main to aapka koi jawab hi nahin....Mashallah bohot achcha likha hai aapne...itne khoosurat alfaaz aur jazbaat hain ki ghazal kisi shahkaar se kam nahin !! Bohot Khoob Aslam Ji  Usual Smile
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #14 on: September 03, 2009, 05:18:18 PM »
Reply with quote
mohabbat ka har ek emtehaan de dun mein
agr tum kaho to apni jaan de dun mein

ye aalam jaanta to hoga waise tumko bhi
 chahta hun tumhe apni pehchaan de dun mein

bahar, gul, maahjabee.n, ye saare hi achay hain
magr dil ye chahta hai alag sa farmaan de dun mein

na ho phr koi tere mere beech mai dewaar
khuli fizaao.n wala tujhay aasmaan de dun mein

ye saare aashaar, nazme.n aur ye ghazle.n
teri nazro.n ko apna saara dewaan de dun mein

mere dil ke nagar pe jab tera hi zor chata hai
to kyun na tujhko is dil ka sultaan de dun mein



wah wah wah aaina ji.. bahut hi khoob

jasbir singh
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:00:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer