Aadaab Janab!
Aapki kalaam par nazar gayi.... DekheN ke kafi umdaa ahsaas o khayaal hai aapke aur aapne lafzoN meiN bhi achche se pirone ki achchi koshish ki hai daad....
Aapki kalaam se judaa Kuchh kahna chaheNge gar humari baat durust lage to rakhiyeNga nahi to.... chor dijiyeNga.... Par dil ko nahi lagaiyeNga...
Chaliye aapki kalaam par aate haiN......
Uski Duaaon Ka Ehsaan!!!!
Agar uski duaaon ka ehsaan nahi hota
Toh mera zamane mein pehchaan nahi hota...
Sher ka khayaal behad achcha hai daad.. par pehchaaN lafz zanaana shaksiyat ko bayaaN karta hai... iske liye "hota" kahna munasib nahi hai, aapne iske liye "Hoti" kahna chahiye tha... Chalna hai abhi sholo par,katon se gujarna hai
Hai Raah-e-Mohabatt, yeh asaan nahi hota...
Yeh sher bhi achcha laga hume... par yahaaN bhi same baat huyi... App jaisa sa banjata hai kabhi haiwaan sa banjata hai
Insaan Mohabatt Mein, insaan nahi hota...
Hmm khayaal achccha hai daad.. Jaakar toh nahi kehta hur baat zamane mein
Aisa koun hai duniya mein, jo paresaan nahi hota..
Kia baat hai bahut achcha sher kaha hai Janab... daad Gur apni tamannaaon ko hum rok ke rakh pate
Har mod par bikta phir imaan nahi hota..
Waah janab kafi gehri soch ka muzahera kiya hai aapne daad .... Jalta raha hurdum auro ke liye warna
"AshFaq" ka zamane mein yeh shaan nahi hota
Hmmm yahaaN to hum khayaal bhi nahi samjh paye mazarrat chahte hai... aur Shaan word bhi usi caregeory meiN aata hai... Aapki koshish achchi hai daad.....
Agar humari koi baat galat lagi to mazarrat chahte hai
Likhate rahiye.....
Khush rahiye.....
Khuda Hafez......