AIK AUR PREM KAHANI [Asghr]

by Asghr on January 26, 2009, 07:36:48 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1855 times)
Asghr
Guest
Reply with quote
MAIN BANDA EH NA CHEEZ HOON SAB KA AZIZ HOON
KHUDA KA MUJH PE KARM HAI DIL BADA NARM HAI
KAROBAAR NA KOI DUKAAN HAI CHOTA SA  MAKAN HAI
RAB KI RAZA PEH KHUSH HOON K SLAAMAT MERA IMAAN HAI
MERI MOHABAT KI DARD BHRI KAHANI HAI
JIS MAIN MERE SAPNOO KI IK RAANI HAI
JO AP KO HAR SOORAT SUNAANI HAI
YEH UUN DINOON KI BAAT HAI JAB MAIN JWAAN THA
MERE GHAR KAY SAMNE UHS KA MAKAAN THA
WO MUJH SE MOHABAT KARTI THI MAIN ISS BAAT SE ANJAAN THA
WO MERE DIL KI DHADKAN THI MAIN UHS KI JAAN THA
WO MERI KHUSHI THI MAIN UHS KI MUSKAAN THA
WO MERE ARMANOO KA GULSHAN THI MAIN UHS KA BAGHBAAN THA
IK DOOJE K HO JAHAIN HUM DONO KA ARMAAN THA
MAGR AISA HO NA SAKA
WO AMEER BAAP KI BETI THI AUR MAIN GAREEB INSAAN THA
MAIN UHS KI JUDAI KA GHUM SEH NA PAAYA
ROZI KI TALASH MAIN PARDES CHLAA AAYA
AAJ B UHS K PYAR BHRAY KHAT JO AHATE HAIN
MUJE KHOON K ANSOO RULAATE HAIN
YEH MERI ZINDGANI HAI BUS ITNI SI KAHANI HAI
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Meri Prem kahani ka ajeeb ending tha by shafqatullah in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
CHOTI SI PREM KAHANI [Asghr] by Asghr in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2  All »
Prem ke bandhn mein......Asghr by M.ASGHAR MIRPURI in Shayri for Khumar -e- Ishq
prem ek pawan kahani by ripan dev in Share:Love Poetry
Teri Meri Prem Kahani Ko...........................Soudagar by soudagar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
honeyrose
Guest
«Reply #1 on: January 26, 2009, 08:15:00 PM »
Reply with quote
Asghr bohat khoob  Applause Applause

mein dua karugi ke aapko aapka pyar mile.. 
Logged
Asghr
Guest
«Reply #2 on: January 26, 2009, 11:18:48 PM »
Reply with quote
yeh sab farzi baatein hain meri zindgi ka in se koi talaq nahin, hosla afzai ka shuriya,did u know in comedy version it has different ending last lines are, ik dooje k ho jahain uhs ka yeh armaan tha ,main usay kaise apnaata main pehli biwi se pareshan tha, icon_salut icon_salut icon_salut
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: January 27, 2009, 08:52:20 AM »
Reply with quote
Ek dulhe se ek shaqs ne kaha
Bada ehsan kiya hain aapne mujh par
Dulhe ne jo poocha kaun hain aap
To us shaqs ne kaha
Khadim hain aapki biwi ka pehla shauher Laughing hard Laughing hard

                       -NM-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 02, 2009, 11:28:19 PM »
Reply with quote
Subhan Allah, Subhan Allah, Bohat Bohat Khoob Likha, Sab Kuch Bataa Diya,.
Aur Aakhir Mein Keh Diya, Bas Itni Si Kahaani Hai,.

Great Bhai, Amazing Jo Bolte Hain Wo Ho Aap,.
Mera Bhi Yahi Khissa Hai,.

Allah Khair Kare,.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:45:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer