Aisa Kya Likhen Jisse Mohaabat Aur Nikhar jaaye "Khwaish"

by khwaish on April 12, 2012, 02:50:15 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1861 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Zabaan kehne se ruk jaaye wahi Mohabbat ka hai afsaana
Na puchho Mai kashon se kyon chalak jaata hai Paimaana



Dil mein Teri Hi Tasveer Basee Hai
Par Humein yeh Bataana Nahi Aata

Humari Saanson Ki Raftaar Se Jaan lo
Humein Ehsaaso Ko Chupaana Nahi Aata

Kabhi Dil Ki Dhadkano Ko Mehsoos Karo
Mohabbat LafzoN  Mein Jataana Nahi Aata

Tum Mil jaao Kahee To Tumhe Hi Dekhte Rahe..
Tufan Bhi Aa Jaye To Nazrein Jhukaana Nahi Aata

Tere Honth,Teri Aankhen, Teri Ada..Ufffffff!!
Tareef mein Teri Koi Nagma Bhi Sunana Nahi Aata

"Khwaish" Aisa Kya Likhe Jisse Mohabbat Aur Nikhar Jaaye?
Chand Lafzon Mein,Likhna Mohabbat Ka Afsaana Nahi Aata


                ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
soudagar
Guest
«Reply #1 on: April 12, 2012, 03:12:49 PM »
Reply with quote
bahut umda ..... par aapke pichhli nazam se thoda kam....

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: April 12, 2012, 04:04:16 PM »
Reply with quote
bahut khoob khwaish ji,.. Kya khoob  likkkha hai apne.muhabbat ke khoobbsurat ehsaason se sajee is umda najm par aapke liye   taaliyan..
Logged
theyash
Guest
«Reply #3 on: April 12, 2012, 04:10:08 PM »
Reply with quote
bahut khoob khwaish ji...
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: April 12, 2012, 04:40:07 PM »
Reply with quote
bahut hee laajwaab khyaalaat pesh kiye hain badhaai ho bas ese hee likhte raho mahabbat ke nikhaar ke liye yahaa kaafee hai
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: April 12, 2012, 08:29:43 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause bahut bahut khoob Khwaish ji.... sab bataa ke bhi bataate hain ki bataana nahi aataa... bahut khoob likha hai aapne....!!!
Logged
sbechain
Guest
«Reply #6 on: April 12, 2012, 08:49:11 PM »
Reply with quote
Zabaan kehne se ruk jaaye wahi Mohabbat ka hai afsaana
Na puchho Mai kashon se kyon chalak jaata hai Paimaana
wah wah wah Applause Applause Applause


Dil mein Teri Hi Tasveer Basee Hai
Par Humein yeh Bataana Nahi Aata
oye hoye bade romantic ho rahe ho aaj. haan ji ye to bataana bhi mushkil hai. waise kiski tasweer hai ye icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Humari Saanson Ki Raftaar Se Jaan lo
Humein Ehsaaso Ko Chupaana Nahi Aata
main raftaar nahin jaan sakti. per ehsaas to kabhi chhup hi nahin sakta.jo dil mein ho uske liye insaan ka attention kuch alag hi hota hai. apni gardan tak pyaar se katwaa le icon_flower icon_flower icon_flower
Kabhi Dil Ki Dhadkano Ko Mehsoos Karo
Mohabbat LafzoN  Mein Jataana Nahi Aata
bade nadaad ashiq ho ji.aaj ka daur badal chuka hai.jataana padta hai warna communication gap se nuksaan hota hai ishq mein bhi aur business mein bhi. isliye ab bataa bhi do.... icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent
Tum Mil jaao Kahee To Tumhe Hi Dekhte Rahe..
Tufan Bhi Aa Jaye To Nazrein Jhukaana Nahi Aata
kya baat hai pal bhar ke liye bhi aanko.n se ojhal nahin karna chahte. Applause Applause Applause Applause
Tere Honth,Teri Aankhen, Teri Ada..Ufffffff!!
Tareef mein Teri Koi Nagma Bhi Sunana Nahi Aata
koi baat nahin ye hi kaafi hai.waise mujhe dekh kar aksar aisi haalat ho jaati hai logo.n ki. nayi baat nahin hai Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
"Khwaish" Aisa Kya Likhe Jisse Mohabbat Aur Nikhar Jaaye?
Chand Lafzon Mein ,Likhna Mohabbat Ka Afsaana Nahi Aata
ye to phir sochne wali baat hai.
 mohabbat ko mohabbat hi rahne do afsaana na banaoo
 apni ashiqi ko shahar mein fasanaa na banaao


                ~~~~~Khwaish~~~~~


kya baat hai aap romantic hue jaa rahe ho..........!
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #7 on: April 13, 2012, 03:23:18 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause sundar
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #8 on: April 14, 2012, 08:59:15 AM »
Reply with quote
Nice nice nice nice nice
Logged
dolly
Guest
«Reply #9 on: April 14, 2012, 03:17:45 PM »
Reply with quote
very very nice..khwahishjiii....Usual Smile
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #10 on: April 15, 2012, 04:09:03 AM »
Reply with quote
Wah wah wah.. Kya Baat hai khwaish Bhai.. Mohabbat Me Lafzon me Behad Khubsoorati se Bayaan kiya hai aapne.. Aakhiri jumla to bassssssss jaan hi le gaya.. waqai Mohabbat ka Afsaana Likhne Ke Liye Lafz Kahan Poore Padh Paate Hain.. Applause Applause

Behad Umda aur Lajawab peshkash hai.. daad Hi daad..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley




**~** Mann **~**
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: April 15, 2012, 10:48:11 AM »
Reply with quote
bahut umda ..... par aapke pichhli nazam se thoda kam....

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Ohhhh Thankyou Sooooooooo Much Saudagar Ji..

Pichli nazm Zindagi Ki Sachaiyon Se Rubaroo Thi,Yeh Nazm Mohabbat Se..Koshish To huemsha Yehi Rehti Hai Dost ke Alag-Alag Topics Par likha jaaye..

Aapne Apna Waqt Diya..Aapka Bahuttttt bahutttt Shukriya icon_flower icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: April 15, 2012, 10:49:04 AM »
Reply with quote
bahut khoob khwaish ji,.. Kya khoob  likkkha hai apne.muhabbat ke khoobbsurat ehsaason se sajee is umda najm par aapke liye   taaliyan..


Thankyou Soooooooooo Much Mukesh ji..

Yuhi Humesha Saath Dete rahiyega icon_flower icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: April 15, 2012, 10:50:03 AM »
Reply with quote
bahut khoob khwaish ji...


Bahut Bahut Shukriya Yash ji icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: April 19, 2012, 07:54:59 AM »
Reply with quote
bahut hee laajwaab khyaalaat pesh kiye hain badhaai ho bas ese hee likhte raho mahabbat ke nikhaar ke liye yahaa kaafee hai


Ji Bilkul Saheb!!!!

Aapne Apna Waqt Diya..Aapka Bahut Bahut Shukriya icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:59:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer