AISI BHI HOTI HAIN KHAMOSHIYAAN...

by diya786 on August 31, 2008, 11:11:15 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2324 times)
diya786
Guest
Reply with quote
Dhadkane jab badhne lagein aur saansein bhi shor karne lagein
nazrein jab kisi ki nazaron mein rukne lagein
saare alam ki hulchul jab thamne lage
Aisi bhi hoti hain khamoshiyaan...

Dil mein jab bechaini badhne lage
bin kahe sab kuch samajh aane lage
saari duniya ka hosh jab khone lage
Aisi bhi hoti hain khamoshiyaan...

koi apna jab khud se door hone lage
kehne ko jab koi alfaaz bhi na rahein
kuch hone ki umeed bhi khone lage
Aisi bhi hoti hain khamoshiyaan...

kisi ke sawaal mein har jawaab nagawaar hone lage
band aankhon se bhi tasveer dihayi dene lage
nazrein jab ahista ahista se nam si hone lagein
Aisi bhi hoti hain khamoshiyaan...

koi kisi ke liye hai jeeta
par kisi ko iski khabar bhi nahin
ban ke hawa koi saansein hai deta
aur kisi ko iski kadar bhi nahin
koi sajde lakh karke kisi ke liye dua hai maangta
aur kisi par asar bhi nahin
Aisi bhi hoti hain khamoshiyaan...

chahkar bhi keh nahin payein
aur zara sa sabar bhi nahin
bas samajhne ko hi reh jaaye
aur kehne ko kuch bhi nahin
Aisi bhi hoti hain khamoshiyaan...
[/color]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aisi bhi baaten hoti hain by abdulsamad in Shayri-E-Dard
dosti aisi hoti hai.... by roshni246 in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Dosti Aisi Hi Hoti Hai by Rajesh Harish in Shayri for Khumar -e- Ishq
---ye ladkiyan aisi hoti kyun hain---?? by killbill in Chit - Chat & General Discussion
Talat
Guest
«Reply #1 on: August 31, 2008, 11:16:03 AM »
Reply with quote
Bohot khoobsurat hoti hain Khamoshiyaan .... bohot khoob Diya Applause
Logged
diya786
Guest
«Reply #2 on: August 31, 2008, 11:19:20 AM »
Reply with quote
BAHUT BAHUT SHUKRIYA TALAT JI
ACCHA LAGA KI AAPKO MERI NAZM PASAND AAYI...
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #3 on: August 31, 2008, 11:53:29 AM »
Reply with quote
Wah Wah Kya Baat Hai DIYA.... Bahut-Bahut Khoob..!!!
Behad Pyaar Bhare Alfaaz Likhe Hain aapne..!!

Aaj aapko Ishq-e-Khumaar Me dekh kar accha laga..!! Clapping Smiley Clapping Smiley

**~** Mann **~**
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: August 31, 2008, 05:25:51 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Bahut Bahut Khoob Kashish..aap ne sach mein bahut khoob likha..
Logged
diya786
Guest
«Reply #5 on: September 01, 2008, 01:19:36 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya vicky waise aapka reply dekhkar mujhe bhi accha laga ki finally aap yoindia par online aa gaye itne dino ke baad regular aaya kijiye
khwaishji aapka bhi bahut bahut shukriya ki aapko meri likhi nazm pasand aayi
aage bhi koshish hogi ki likhuon...

Logged
k.shael
Guest
«Reply #6 on: September 01, 2008, 06:15:53 AM »
Reply with quote
WONDERFUL CREATION  Applause
DIYA...
KEEP GOING...
BY. K.SHAEL
Logged
gulzargul
Guest
«Reply #7 on: September 01, 2008, 06:50:19 AM »
Reply with quote
 icon_salut

i like u diya becusae of your thought about khaamoshiyaan

gulzar
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #8 on: September 01, 2008, 07:05:16 AM »
Reply with quote
Superb lines diya dear... Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP
Logged
baadal102
Guest
«Reply #9 on: September 01, 2008, 07:06:59 AM »
Reply with quote
diya ji bahut hi aache se likha hai aap ne




Baadal
Logged
diya786
Guest
«Reply #10 on: September 01, 2008, 07:47:40 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya jaya di, shally, baadalji, gulzaar sahab ki aapko pasand aayi meri shayari
Logged
gulzargul
Guest
«Reply #11 on: September 01, 2008, 07:52:05 AM »
Reply with quote
u r wellcome diya ji


gul
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #12 on: September 02, 2008, 05:07:32 PM »
Reply with quote
Wah, Bohat hi acha likha Diya..
Logged
diya786
Guest
«Reply #13 on: September 04, 2008, 10:05:39 AM »
Reply with quote
SHUKRIYA ARYAAN
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #14 on: September 05, 2008, 04:13:29 AM »
Reply with quote
Dhadkane jab badhne lagein aur saansein bhi shor karne lagein
nazrein jab kisi ki nazaron mein rukne lagein
saare alam ki hulchul jab thamne lage
Aisi bhi hoti hain khamoshiyaan...

Dil mein jab bechaini badhne lage
bin kahe sab kuch samajh aane lage
saari duniya ka hosh jab khone lage
Aisi bhi hoti hain khamoshiyaan...

koi apna jab khud se door hone lage
kehne ko jab koi alfaaz bhi na rahein
kuch hone ki umeed bhi khone lage
Aisi bhi hoti hain khamoshiyaan...

kisi ke sawaal mein har jawaab nagawaar hone lage
band aankhon se bhi tasveer dihayi dene lage
nazrein jab ahista ahista se nam si hone lagein
Aisi bhi hoti hain khamoshiyaan...

koi kisi ke liye hai jeeta
par kisi ko iski khabar bhi nahin
ban ke hawa koi saansein hai deta
aur kisi ko iski kadar bhi nahin
koi sajde lakh karke kisi ke liye dua hai maangta
aur kisi par asar bhi nahin
Aisi bhi hoti hain khamoshiyaan...

chahkar bhi keh nahin payein
aur zara sa sabar bhi nahin
bas samajhne ko hi reh jaaye
aur kehne ko kuch bhi nahin
Aisi bhi hoti hain khamoshiyaan...
[/color]

Waah Re Diya...
aap Ne To Badhiya Tareeqe se Badhiya andaaz Se "Khamoshiyon" k judah judaah Pehluon Ko Oujaagar Kiya Hai

Ek Ulze Hue Shayar Me Jo Baat Hoti Hai Ki Woh Ik LAFZ ko Lekar puri Nazm Banaa Lete Hai bas Usi baat ko Diyaa...aapne Saabit Kardiyaa Hai
Bahot khoob diyaa.....
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 10:02:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.152 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer