Allah Ke Mahboob Ke Sadqe

by syednaami on August 25, 2008, 03:19:30 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3579 times)
syednaami
Guest
Reply with quote

Main khaaksaar ahqar na ishq karna aaya,
Par sadiqa-e-Habib ne aafaat se bachaaya.

Jab bhi padi museebat ho gaya pareshaan,
Vird-e-durood se hi main ne sukoon paya.

Raahat na mile dil ko becheniyan satayen,
Bas Unki shafqaton ne dil ko mere sahlaya.

Insaan hun nasamajh jata hun main bhatak,
Quraan-o-ahaadees ne sahih rasta dikhaya.

Yeh Naami namukammal  haisiyat hai adna,
Nayi zindagi mili jo Khuda ne mu’ujiza dikhaya. -

**Syed Naami**

Dosto, Khumar-e-ishq men likhne ka maqsad yahi hai ki us afzal ishq ko paish karna jo hum log karte hi nahin yaani Allah Rab-ul-izzat aur us ke Mahboob (Sallallah-o-Alaih-Wasallam) se.
         Yeh ishq woh hai jiski intaha honi hi nahin hai.
         Kuchh waqiaat aise hote hain jin men insaan kuchh nahin karta par agar jis haal men ho Rab se dil se rabta kare dua mange to mu'ujize (Miracles) ho jaate hain, pas parda ya zaahiri insaan ko nayi zindangi nayi raah de jaate hain.

Allah hum sab ko apne Habeeb ke sadqe hifz-o-amaan men rakhe. Aameen
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ALLAH ALLAH kya Josh Hay by Delicate_Doll in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
Teri Nigah Ke Sadqe... by majid in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Teri Nigaah Ke Sadqe....(Shihab) by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
.. Sadqe mein Dil sambhale ... .. . /annu/ by annu_genis in Shayri for Khumar -e- Ishq
sadqe mein tere by shahida.manha in Shayri-E-Dard
honeyrose
Guest
«Reply #1 on: August 25, 2008, 05:14:17 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Wah Wah kamaal ka likha hai aapne Syed ..superb post...   Thumbs UP Thumbs UP
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: August 26, 2008, 03:21:56 AM »
Reply with quote
masha_allah
Logged
syednaami
Guest
«Reply #3 on: August 26, 2008, 05:56:07 AM »
Reply with quote
Sajid miyan, Shukriya, Allah ki rahmaton se hum sab nahaate rahen.

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Wah Wah kamaal ka likha hai aapne Syed ..superb post...   Thumbs UP Thumbs UP

Honeyrose jee, bahut bahut shukriya, aap bhi hamare liye dua karen.
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #4 on: August 26, 2008, 06:03:39 AM »
Reply with quote

Main khaaksaar ahqar na ishq karna aaya,
Par sadiqa-e-Habib ne aafaat se bachaaya.

Jab bhi padi museebat ho gaya pareshaan,
Vird-e-durood se hi main ne sukoon paya.

Raahat na mile dil ko becheniyan satayen,
Bas Unki shafqaton ne dil ko mere sahlaya.

Insaan hun nasamajh jata hun main bhatak,
Quraan-o-ahaadees ne sahih rasta dikhaya.

Yeh Naami namukammal  haisiyat hai adna,
Nayi zindagi mili jo Khuda ne mu’ujiza dikhaya. -

**Syed Naami**

Dosto, Khumar-e-ishq men likhne ka maqsad yahi hai ki us afzal ishq ko paish karna jo hum log karte hi nahin yaani Allah Rab-ul-izzat aur us ke Mahboob (Sallallah-o-Alaih-Wasallam) se.
         Yeh ishq woh hai jiski intaha honi hi nahin hai.
         Kuchh waqiaat aise hote hain jin men insaan kuchh nahin karta par agar jis haal men ho Rab se dil se rabta kare dua mange to mu'ujize (Miracles) ho jaate hain, pas parda ya zaahiri insaan ko nayi zindangi nayi raah de jaate hain.

Allah hum sab ko apne Habeeb ke sadqe hifz-o-amaan men rakhe. Aameen

bilkul sahi kaha sami ......sachcha ishq sirf us uparwale se hi hota hai...lekin ye kuch waisa hi hai......jise bataya nahi ja skta..bayan nahi kiya ja sakta........tumhaari baat par ek brahmgyani gurudev ki baat yaad aa gai.....aksar ishwar ke baare me sawal karne par bahoot mazakiya dhang se wo ek mash-hoor "ad" ki ye line dohra dete hain..."melody khao khud jaan jao".......us uperwale ko na bataya ja sakta hai na samjhaya ja sakta hai ye to sirf..mahsoos karne ki baat hai...

bahoot achcha likha hai aapne ....likhte rahen
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #5 on: August 26, 2008, 06:11:43 AM »
Reply with quote

Main khaaksaar ahqar na ishq karna aaya,
Par sadiqa-e-Habib ne aafaat se bachaaya.

Jab bhi padi museebat ho gaya pareshaan,
Vird-e-durood se hi main ne sukoon paya.

Raahat na mile dil ko becheniyan satayen,
Bas Unki shafqaton ne dil ko mere sahlaya.

Insaan hun nasamajh jata hun main bhatak,
Quraan-o-ahaadees ne sahih rasta dikhaya.

Yeh Naami namukammal  haisiyat hai adna,
Nayi zindagi mili jo Khuda ne mu’ujiza dikhaya. -

**Syed Naami**

Masha-Allah.. Usual Smile Bahut khoob likha hai aapne Syed Ji.. Applause

Bahut sahi kaha hai aapne..
Tah-e-dil Dua hai Aapka yeh maqsad jaroor kamyaab ho..
Logged
k.shael
Guest
«Reply #6 on: August 26, 2008, 06:17:55 AM »
Reply with quote
 Applause  Applause
BAHUT KHOOB LIKHA HAI AAPNE
SYEDNAMI JI,
SUPERAB GR8...
BY. K.SHAEL
Logged
syednaami
Guest
«Reply #7 on: August 26, 2008, 07:00:59 AM »
Reply with quote
bilkul sahi kaha sami ......sachcha ishq sirf us uparwale se hi hota hai...lekin ye kuch waisa hi hai......jise bataya nahi ja skta..bayan nahi kiya ja sakta........tumhaari baat par ek brahmgyani gurudev ki baat yaad aa gai.....aksar ishwar ke baare me sawal karne par bahoot mazakiya dhang se wo ek mash-hoor "ad" ki ye line dohra dete hain..."melody khao khud jaan jao".......us uperwale ko na bataya ja sakta hai na samjhaya ja sakta hai ye to sirf..mahsoos karne ki baat hai...

bahoot achcha likha hai aapne ....likhte rahen

Bekarar bhai, jee bilkul, Uss Zaat-e-paak ne farmaaya hai ki Woh insaan ke shahrag se bhi ziyada qareeb hai, hamare andar hamare dilon men.
Par insaan laga hai apni besabab ki karistaaniyon men magan.
Allah hamen sahih raah ki hidaayat de. Aameen

Shukriya bahut achhi baaten kahin aapne bhaijaan.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #8 on: August 26, 2008, 07:04:48 AM »
Reply with quote

Masha-Allah.. Usual Smile Bahut khoob likha hai aapne Syed Ji.. Applause

Bahut sahi kaha hai aapne..
Tah-e-dil Dua hai Aapka yeh maqsad jaroor kamyaab ho..

Mahiya, aap ki karam navaazi ka dil se mamnoon hun.
Aap ki duaaen hamesha hamare saath rahen. Rab-ul-izzat aap ko bhi sab kuchh ata farmaayen jo aapne chaaha.

Shukriya.

Applause  Applause
BAHUT KHOOB LIKHA HAI AAPNE
SYEDNAMI JI,
SUPERAB GR8...
BY. K.SHAEL

Bahut bahut mahirbaani, Krishna.
Aap yahan aaye bahut masarrat huey. Shukriya
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: August 27, 2008, 11:08:28 AM »
Reply with quote

Main khaaksaar ahqar na ishq karna aaya,
Par sadiqa-e-Habib ne aafaat se bachaaya.

Jab bhi padi museebat ho gaya pareshaan,
Vird-e-durood se hi main ne sukoon paya.

Raahat na mile dil ko becheniyan satayen,
Bas Unki shafqaton ne dil ko mere sahlaya.

Insaan hun nasamajh jata hun main bhatak,
Quraan-o-ahaadees ne sahih rasta dikhaya.

Yeh Naami namukammal  haisiyat hai adna,
Nayi zindagi mili jo Khuda ne mu’ujiza dikhaya. -

**Syed Naami**

Dosto, Khumar-e-ishq men likhne ka maqsad yahi hai ki us afzal ishq ko paish karna jo hum log karte hi nahin yaani Allah Rab-ul-izzat aur us ke Mahboob (Sallallah-o-Alaih-Wasallam) se.
         Yeh ishq woh hai jiski intaha honi hi nahin hai.
         Kuchh waqiaat aise hote hain jin men insaan kuchh nahin karta par agar jis haal men ho Rab se dil se rabta kare dua mange to mu'ujize (Miracles) ho jaate hain, pas parda ya zaahiri insaan ko nayi zindangi nayi raah de jaate hain.

Allah hum sab ko apne Habeeb ke sadqe hifz-o-amaan men rakhe. Aameen

Aapne sach kaha...ye Ishq tamam ishq se behtar hai...!!

Bohot hi khoobsurat peshkash S. Naami Applause
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #10 on: August 27, 2008, 11:20:27 AM »
Reply with quote
X?X?X?
Logged
baadal102
Guest
«Reply #11 on: September 02, 2008, 11:24:44 AM »
Reply with quote
bahut hi umda bahut hi khubsurat
wah NAAMI JI wah

Baadal
Logged
syednaami
Guest
«Reply #12 on: October 08, 2008, 08:09:50 AM »
Reply with quote
Baadal miyan bahut bahut shukriya.
Logged
diya786
Guest
«Reply #13 on: October 08, 2008, 10:03:08 AM »
Reply with quote
bahut umda likha hai Syed sahab
accha laga aapki is post ko dekhkar
aapka shukriya ki aapne hum sabko aisi nazm aur baatein baayi jinpar hum gaur karein aur apni zindagi mein amal karein...
Applause Applause Applause
Logged
syednaami
Guest
«Reply #14 on: October 08, 2008, 11:06:16 AM »
Reply with quote
Diya muhtarma, Haq aur sach hi se insaan ko sahih rah mil pati hai aur jo us rah pe amal men aage honge kamyaab honge.
Allah rabu-ul-izzat hamen har shar se bachaye aur hifz-o-aman men rakhe.

Bahut bahut mamnun hun aapka.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:15:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer