~~*Amar Prem*~~

by badnaam_shayar on June 21, 2006, 01:01:15 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4076 times)
badnaam_shayar
Guest
Reply with quote
Ek Pyar hai mera jo mera suroor hai......
Nashe me uske yeh Shayar aaj choor hai......

Kahani na kehna ise dastaan me likhna chahata hoon......
Lage hai mele khushion ke toh gum aaj door hai......

Ek Pyar hai mera jo mera Suroor hai.......

Aankhein jiski Shabnami Dil thoda masoom jaroor hai.....
Nahi Samajhti iss bedard dunia ko uske liye toh yahan harr koi Huzoor hai......

Na Samajh sahi par Pyar hai mera jo mera Suroor hai.......

Chahata hoon use main kitna yeh khud pata lagana Numumkin hai......
Chand sa Chamakta uska Chehra toh Khawabon se bhara uska Jabeen hai.......

Timtimati Chandani me thandi hawa se uska lehrata aanchal......
Saath hoti hai jab woh mere toh hota mujhe bhi guroor hai......

Haan Chahana kisi ko koi Gunha nahi.....Ek Pyar hai mera jo mera Suroor hai.........

Maut bhi na kar payegi kabhi Judaa hume......
Dekhna Dhoondke milayegi harr Raah hume......

Koi toh hamari Chahat ki bhi Kabr ko sajayega.....
Kehlayegi yeh Dastaan Amar.....yeh Prem bhi ~~*Amar Prem*~~ kehlayega........!!!!!!!!!!
[/color]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
amar prem by ankit20 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Prem che fakt prem maan by swati_teena in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hamare Is Amar Prem Ko Kya Naam Doon?? by Devdas_online in Shayri for Khumar -e- Ishq
Muhabbat Ki Amar Ye Dastaan Kijiye by Rajnish.raaj in Shayri for Khumar -e- Ishq
Amar Prem by Amit Singh Suryavanshi in Share: Poetry of Pain
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #1 on: June 21, 2006, 01:17:28 PM »
Reply with quote
bahut khub gaurav bhai ..........aapka surur dil per hamare bhi chad raha hai......

 woh chale gaye jab hame chodke kisi aur ke saath
  dil mai reh gaya amar prem ka sapna ,prem ke saath

................@fahi@...............
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #2 on: June 21, 2006, 01:24:45 PM »
Reply with quote
Shukriya Fahi bhai.....Do lines me bhi bahut kuch keh gaye

Amar Prem marne baad bhi Zinda hua karte hai.....
Jaise Shahjahan or Mumtaaz ka log aaj bhi naam liya karte hai......

Likhi jaati hai Dastaan inki deewano ke Dilon me.....
Karte ho woh basar harr Masjid or Majaar me....!!!!!!!!!
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #3 on: June 21, 2006, 01:33:19 PM »
Reply with quote
gaurav bhai pata hai aaj aapne kalam se kahi na kahi meri zindagi ko chu liya hai ..............very nice

   mehfilo mai apne pyar ko banakar nazm
   dard-e-dil se bhi sabko hasate rahe
   woh chod gaye raah-e-zindagi mai hame tanha
  per hum tanhayi mai bhi unhe hi chahte rahe.

.............@fahi@...............
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: June 21, 2006, 06:10:08 PM »
Reply with quote
ek dassatan pyaar ki fir se shru hui
yeh kahaani thee ek fir haqaikat kaise hui

dil se dil jab mile toh ek pyaar ka deep jalne laga
dil se ek jhankaar hui aur AMER PREM dil mein palne laga

yougo yougo ki dastaan fir se dohayri jaane lagi
MUMTAAZ ban ke koi kali fir se SHAHJAHAN  ke dil mein samane lagi

fir se pyaar ka  ek TAJMEHAL kahin per jasie  banane laga
chandani  raato mein koi fir se chup chup ke milne laga
 
phool pyaar ke fir se dil main kahi khilne lage
mosam fir se pyaar ke rango mein dhalne laga

chhaa gya ek khumar sa sabke dilo mein kahi geharayi tak
lo aaj se koi AMAR PERM  ki kahaani apne shabado mein likhne laga
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #5 on: June 21, 2006, 06:47:14 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
ek dassatan pyaar ki fir se shru hui
yeh kahaani thee ek fir haqaikat kaise hui

dil se dil jab mile toh ek pyaar ka deep jalne laga
dil se ek jhankaar hui aur AMER PREM dil mein palne laga

yougo yougo ki dastaan fir se dohayri jaane lagi
MUMTAAZ ban ke koi kali fir se SHAHJAHAN  ke dil mein samane lagi

fir se pyaar ka  ek TAJMEHAL kahin per jasie  banane laga
chandani  raato mein koi fir se chup chup ke milne laga
 
phool pyaar ke fir se dil main kahi khilne lage
mosam fir se pyaar ke rango mein dhalne laga

chhaa gya ek khumar sa sabke dilo mein kahi geharayi tak
lo aaj se koi AMAR PERM  ki kahaani apne shabado mein likhne laga


Lajawaab.....Ranju kamal kar ditaa oye kudiye......Burrrrrrrrraaaaaa
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: June 21, 2006, 06:55:29 PM »
Reply with quote


Dekha jo tumhe toh humne tha Prem rachaya......
Chahana Shuru kia toh tumhe har Mushkil se ladke apni bahon me sajaya......

Poochna na kiss kadar thi rukawatein par yeh Khuda bhi na rok paya......
Chaha tumhe Akaash se Zameen talak aur aaj ek Amar Prem ka bandhan hai banaya......!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: June 21, 2006, 07:02:46 PM »
Reply with quote
shukriya ji ........bahut khub hain aap bhi...........

jab ek prem ka dhaga judta hai,
dil ka kamal tab hi khilta  hai

dekhata hai khuda bhi aasman se jameen per
jab koi ek dil dusre se bepanha mohabbat karta hai

sulagane lagta hai tb dharti ka seena bhi
jab koi aasmaan ban ke baahoo mein pighalta hai

likhi jaati hai tab ek dastaan-e -mohabbat
tab kahi ja kar AMER PREM  logo ke doli mein utarata hai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #8 on: June 21, 2006, 07:10:07 PM »
Reply with quote


Samet lo mujhe hum bhi teri Chaha me bhatakta ek Tara hai.....
Karta hai koi Dua mere tootne par toh koi kehta mujhe awaara hai.....

Saabit kardo yeh dunia ko ki nahi galti Parwane ne Shama me jalke.....
Aakhir me bas Prem hee toh kismat ka ek Sahara hai......

Marr mito Chaho jo tum kisi ko uska Pyar haasil karna aakhiri HaQQ tumhara hai.....
Dekho door sahi tumse par phir bhi aaj Amar Prem hamara hai.......!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: June 22, 2006, 02:07:56 AM »
Reply with quote
hai ek naam hi unka is dil mein likha hua
lagta hai jaise koi deeya mandir mein jalta hua

karte rahe hum ek khamosh mohabbat unse
unke liye bas hai yahi dil mera ek tadpata hua

likhi jaayengi na jaane  kitni kahaaniya is mohabbat per
jab tak rehega dilo mein yeh AMER PREM khilta hua........
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #10 on: June 22, 2006, 02:23:15 AM »
Reply with quote
nice posting... good creation... BS...
well replied... PJAG, Ranjana...

yeh prem jo hain woh ek madhurakshar hain
aur yeh yugon yugon talak ajaraamar hain...
Logged
Anushka
Guest
«Reply #11 on: June 22, 2006, 04:23:42 AM »
Reply with quote
Gaurav kamal kerdiya likhkay.... aur Ranjan... hai kya jawab aap ka bhi.... bahut khub mehfil bahut seji hui hai :D
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #12 on: June 22, 2006, 06:41:26 AM »
Reply with quote
very nice gaurav bhai & gud reply ranjana ji.........

 
armaan aaj AMAR PREM ke sajne lage  hai phir se
aankhon ke dariya se ashk nikalne lage hai phir se
 
 behte ashko mai bhi aaj hai khusiyo ka manzar
ek duje se milne ko jism tadapne lage hai phir se

 ban rahe hai tajmahal phir mumtaaz ki khatir
 ishq ki aag se MAKBARE chamkne lage hai phir se

 kahi bujh na jayee AMAR PREM ki roshni kabhi
 shama ko apne lahoo se parwaane jalane lage hai phirse.

................@fahi@................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: June 22, 2006, 06:58:03 AM »
Reply with quote
shukriya ANU jaan, MKji. ........Fahi its really very beautiful...........

mili jab nazaro se nazare ek ishara sa hone laga
dil se dil mil gaye jeene ka sahara hone laga

chhaa gaya ek khumar sa mehfil mein
jab zikar hamre pyaar ka wahan hone laga

beqarari jab had se badne lagi do dilo ke beech
toh fasala do dilo ka fir kam sa hone laga

aake sama gaye jab woh hamare pehlu mein
toh  mosam     saara   rangeen  sa hone laga
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #14 on: June 22, 2006, 10:37:30 AM »
Reply with quote
=D>  =D>  =D>  =D>  =D>  =D>  =D>  =D>  =D>  =D>  =D>  =D>
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:51:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer